Jump to content
In the Name of God بسم الله

¤¤mukhtar E Saqfi And His Revenge ¤¤


Syedazhar

Recommended Posts

  • Advanced Member

Mukhtar e Saqfi Ali a.s ke Muhiban may se thy. ‎طوایف‎ may paida howy Madina mai perwarish howi. Walid ka naam Abu ubaida Saqfi tha. Mukhtar jageerdar, zameendar thy bahadri ke jangi maharat ke waja se bhi mashhoor thy. Madina aur kufa zameen aur ghar thy. Mukhtar ki aik behan ki shadi Abdullah bin umer aur dosri behan ki shadi umr ibne saad (laeen) ke sath howi thi. Ibne saad ki bv bhi uss ke humkhayal thi.

(* mukhtar ke muta'liq may nay bahut tahqeeq ki hai 2 saal tak Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam ka jo bara kaam anjam ko pouncha ya iss ke sath kuch Sawallat (Question) aur Tanazat ka shekar bhi hain.*)

next ......

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam siyasi maqsad ke laye leya gaya ya hub e Hussain a.s tha?

Agar Intiqam takhat ke laye nahi tha tu Muslim bin Aqeel a.s ke shahadat ke waqt wo kahan thy kaha jata hai ke wo us din kufa ke shaihir se bahir thy?

Mukhtar aur Suleman alkhurzai alag alag Q lary?

Qatilaan e Hussain a.s ko maarnai ke bad Ibrahim ibne Malik e Ashtar se Ekhtilaf Q paida howa?

Jab kufa ke logon nay Qatilaan e Hussain a.s ka badla lainay ke laye Ahle baite ke gharany ki tarf se Ijazat lainay ke sharth Rek dee tu Mukhtar Imam Zain ul Abdeen a.s se Ijazat Q nahi lee?

Mukhtar ka beta Imam Baqir a.s ke pas ata hai aur kahta hai ke kufa ke log maray walid Mukhtar ko jhota kahtay hay may app ke Zabaan e Mubarak se Haqeeqat janna chahta hon Q?

YEE AISY SAWALLAT HAI JIN KA JAWAB MAI 2 SAAL MAY NA DOHND SAKA...

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Yahan yee batata chalon ke mujhay mukhtar ke Qayam per koi shaq nahi aur he maray Dil may us ke laye us ki izat kam howi hai In sawallat ka jawab may jaldi nikaal longa......

Apnay behan ka bhai Ibne saad lanti ko marnay wala jhota nahi ho sakta.

Apnay behan ka shohar Ibne saad

(sorry missing howi hai previous )

Mukhtar ki zindagi jail aur zandaan mai bhi keti hai sirf Ahle baite ki Mohabat ki wja se. Iss ko bhi nazr andaaz nahi kiya ja sakta hai. Aur yee nazr andaaz nahi kiya ja sakta ke Imam zain ul Abedeen a.s aur Imam Baqir a.s nay mukhtar ko Dua'n may bhi yad kiya hai.

Mukhtar jab zandaan mai waqiya ke bad tu us nai Abdullah ibne umer ko aik khath leka ke maray rehai ke leye sifarish ki jai. Aur ibne umer ki sifarish per wo jail se bahir ayee lekin mukhtar se kufa ke baray baray serdaron ke zamanath lee gayee ke wo mawjooda hakomrano ki khilaf koi qadam nahi utayee ga jaisa ke mukhtar nay jail he may Elaan kia tha ke wo Qatilaan e Hussain a.s Intiqam lain gay....

Rehai ke bad mukhtar iss jostajo may thy ke kis Mohiban e Ali a.s ko motahid kiya jai.

Iss silsilay may wo kuch arsa Macca mai bhi moqeem rehy aur Abdullah ibne zubair ka sath bhi deya

Abdullah ibne zubair shami hakumat ke khilaf thay aur macca may waqiya karbala ko bunyad bana ker log ko apnay sath milaya aur macca mai alag hukomat qaim ke.

Mukhtar nay socha ke Ibne zubair ka sath mil jai tu wo apna Intiqam asani se lee saky ga iss laye wo Ibne zubair ke sath mil gaye. Lekin bad jab pata chala ke yee bhi Ahle baite ke dost nahi sirf Ahle baite ka naam istimal kia hukomat per Qabza ker nay ke laye tu Ibne zubair ke bhi mukhalf howay.

Ab mukhtar nay apnay behanoyi Abdullah Ibne umer ko bataya ke ap nay bhi tu Yazid laeen ke BAITE se inkaar kiya tha. Tu mara yee yee Irada hai Macca ke log ap ko bahut Ihtiram aur izat ke nazr se deektay hay Ibne zubair ke muqablay mai. Lekin Ibne umer nay saf inkaar kiya..

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Ibne zubair ko jab in bathon ka pata chala wo mukhtar ki mulalif howy macca se mayos ho ker waps kufa ayee yahan dobara log ko aikta kerna shoroh kiya suleman sard alkhurzai ke sath na ban sakti (jo aik sawal hai apni jaga ke Q nahi bani dono Qatilaan e Hussain a.s ka Intiqam lena chahtay hai)

Suleman wo hai jo Imam Hussain a.s ke shahadat ke bad bahut roye hai is ki waja yee thi ke us nay Muslim bin Aqeel a.s ke hath per baite se inkaar kiya tha aur kaha tha ke wo Imam Hussain a.s ke hath per baite kerain gay.

Mukhtar nay sub logon ke us nay macca mai Mohammad ibne Hanifia a.s se Qatilaan e Hussain a.s se intiqam ke muta'liq ijazat lee hai.

Kufa may Yazid laeen ke halak honai ke bad koi khas hukomat nahi thi macca ke hukomaran Ibne zubair nay kuch khas noma'inday yahan beaj reky thy ke kufa per apna hukomat qayam ker deen.

Mukhtar ko logon mashwira deya ke agar Ibrahim ibne Malik Ashtar ka beta humray sath mil jai tu hum mazbooth hongay.

Ibrahim se bath ke gayi lekin bahut mushkil se maan gaya

Ibrahim malik e Ashtar ka beta hai.

Yee asaan kam nahi tha. Lekin yee batata chalon ke iss Intiqam mai Imam zain ul Abedeen a.s ka koi amal dakhal nahi yani koi reference or koi book muhjay nahi mil saka ke Imam a.s ke ijazat nama ho.

Yee asaan kam nahi tha. Lekin yee batata chalon ke iss Intiqam mai Imam zain ul Abedeen a.s ka koi amal dakhal nahi yani koi reference or koi book muhjay nahi mil saka ke Imam a.s ke ijazat nama ho.

Lekin Suleman ke pas bhi ijazat nama nahi tha jo Ibne zayad ke khailaf laraty howy shaheed howy

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

salam,

ye theek hai ke Mukhtar ne Imam e Waqt (as) se baqaida ijazat nahi li.

Laikin ye sawal ab bhat porana sa lagta hai. ab es ko yun sochna chahiye ke Imam Waqt, Hazrat Zain ul abideen (as) ne Mukhtar ko koi tanbhi kioun nahi bhaiji aur na roka na hi wapas bulaya!!!

9 Rabi ul Awaal ka din Eid e Zahra (as) ke naam se na manaya jata agar Hazrat Zain Ul Abideen (as) us laeen ka sir dekh ker nahi muskoratay. Maula (as) ki muskorahat es baat ki dosri daleel hai ke Maula (as) Mukhtar se razi thay.

es baray men hum etna hi samjh paiyen hain

shukriya.

ws

Edited by khakay batool
Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Jab mukhtar jail mai thy tu mesam e tamar bhi usi zandan mai qaid thy.

Mukhtar ke Aank ka zakham dek ker Mesam e tamar usy yee kah ker basharat dee "mujhay ap ke aank ka zakham ghalt fehmi mai mubtila ker deeta hai tum bary kam ke laye mab'us keye gaye ho sheetan se bach ke rehna aur pawon ke aik ghara aye ga wo tumhain jahanum tak lee jai ga. Mukhtar nay us ke bad Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam ka elaan kiya. Jahan tak Imam e waqt a.s se ijazat nama ka sawal hai wo us waqt ke kufa ke un logon ka motaliba tha.

Wo logon yee tasali chahty thy ke wo jo bhi qadam utaain wo asool e Imamat ke khailaf na ho.

Jahan tak mai nay research ki hai Imam a.s nay ijazat iss laye nahi dee ke tareekh dan kal ko yee lek daingay ke karbala ka badla leya gaya aur Imam a.s aisa nahi chahtay thy Qk yee gharana hamesha se Maaf kernay per mashoor hai.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Sham aur kufa ke logon ke bewafai ke baray mai batata chalon ke us waqt 2 tarha ke khayalth reknay walay log thy aik wo jo Ma'uya ke daur mai deendar bhi rehna chahtay thy aur hukomat hami bhi, jo kamzor aqeeda rekthy thy aur dosray wo log jo na tu marnai se darthy thy aur he ma'uya ke siyasat ka shekar howy jo waqiya karbala ke dauran ya karbala poanch gaye ya phir zandan. Aur mukhtar ko bhi inhe logon ko sath maila ker Intiqam leena tha.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

So Mukhtar nay socha ke kuch siyasat se he kam leya jai. Mukhtar ke iss amal se wo log jo suleman ke hami thy aur suleman ke shahadat ke bad wo mukhtar ke shamil howy thy, naraaz bhi howy. Qk un logon ko kufa mai hukomat qayam kernai se koi serokar nahi wo seeda seeda intiqam chahtay thy aur mukhtar pahlay kufa mai hukomran banna chahta tha.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam siyasi maqsad ke laye leya gaya ya hub e Hussain a.s tha?

Agar Intiqam takhat ke laye nahi tha tu Muslim bin Aqeel a.s ke shahadat ke waqt wo kahan thy kaha jata hai ke wo us din kufa ke shaihir se bahir thy?

Mukhtar aur Suleman alkhurzai alag alag Q lary?

Qatilaan e Hussain a.s ko maarnai ke bad Ibrahim ibne Malik e Ashtar se Ekhtilaf Q paida howa?

Jab kufa ke logon nay Qatilaan e Hussain a.s ka badla lainay ke laye Ahle baite ke gharany ki tarf se Ijazat lainay ke sharth Rek dee tu Mukhtar Imam Zain ul Abdeen a.s se Ijazat Q nahi lee?

Mukhtar ka beta Imam Baqir a.s ke pas ata hai aur kahta hai ke kufa ke log maray walid Mukhtar ko jhota kahtay hay may app ke Zabaan e Mubarak se Haqeeqat janna chahta hon Q?

YEE AISY SAWALLAT HAI JIN KA JAWAB MAI 2 SAAL MAY NA DOHND SAKA...

Jab mukhtar jail mai thy tu mesam e tamar bhi usi zandan mai qaid thy.

Mukhtar ke Aank ka zakham dek ker Mesam e tamar usy yee kah ker basharat dee "mujhay ap ke aank ka zakham ghalt fehmi mai mubtila ker deeta hai tum bary kam ke laye mab'us keye gaye ho sheetan se bach ke rehna aur pawon ke aik ghara aye ga wo tumhain jahanum tak lee jai ga. Mukhtar nay us ke bad Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam ka elaan kiya. Jahan tak Imam e waqt a.s se ijazat nama ka sawal hai wo us waqt ke kufa ke un logon ka motaliba tha.

Wo logon yee tasali chahty thy ke wo jo bhi qadam utaain wo asool e Imamat ke khailaf na ho.

Jahan tak mai nay research ki hai Imam a.s nay ijazat iss laye nahi dee ke tareekh dan kal ko yee lek daingay ke karbala ka badla leya gaya aur Imam a.s aisa nahi chahtay thy Qk yee gharana hamesha se Maaf kernay per mashoor hai.

salam,

ye jumlay qari ko confuse ker hey hain!

jab Mukhtar ijazat lenay nahi gaiye tu phir koun gaya tha ijazat lenay jis ko Imam (as) ne ijazat nahi di??

ws

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Mukhtar ke baray may faisla kerna asaan nahi. Mukhtar ke Qayam may jo Khala hai wo pur kerna zaruri hai. Mukhtar ke baray mai Tareekhdan jo bhi faisla day may yee kahon ga ke jin logon ko Qatal kiya gaya wo iss se bhi baray saza ke haqdar thy.

Yahan iss bat ka zekir kerna bhi zaruri hay agar Imam Hasan a.s ke imamate ke zamana deka jai tu Mukhtar Imam a.s ke sath kisi jang mai shamil nahi aur na he wo Imam a.s ki Qubat hasil hai. Mukhtar kufa mai apnay zameeno ke dekbal mai mashghool hai.

Yee mukhtar he hai jo Imam Zain ul Abedeen a.s ko Syed o Shohada a.s ki Tazeeyat tak nahi kerty jab wo Madina waps atay hai.

Mai khud Aik aisy Dorahay per kara hon ke kuch faisla nahi ker pa reha hon ke ....Aik tarf Mukhtar ka wo azeem intiqam hai jo nazr andaaz nahi kiya jata dosray tarf sawallat ka tanaazat ka aik Tofaan hai. Jis ko nazr andaaz nahi kiya ja sakta.

Imam Hussain a.s ke Shahadat ka sun ke Ibrahim ibne Malik Ashtar tark e Dunia hota hai. Qatilaan e Hussain a.s ke Intiqam ke baray sunta hai tu Mukhtar ki army ka salar ban jata hai. Mukhtar kufa aur basra may apna hukomat qaim kernay ke baad jab Ibne Zubair ke larnay ki tayari kerta hai tu Ibrahim akhri jang mai Ibne zubair ke tarf chala jata hai. Aur Mukhtar ke army intishar ka shikar ho jati hai jo sheekishat ka ba's banti hai

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Ba Qaul e Mukhtar ke wo kufa aur basra may Mola Ali a.s ke tarha he hokumat kerna chahta hai. Wo yee tu kah gaye lekin ker na sake. Muy samjta hon ke mukhtar nay Mesam e Tamar ke bath pr pora ghoawar kia hota tu aj Qayam may khala na hoti. Jis tarha Waqiya karbala may koi khala nahi hai Aik complete Qayam hai.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Kya mukhtar shami logon ke bewafai ka shekar howay?

Kya Mukhtar nay akhar may kuch faislay ghalt kaye jo ibne zubair ke khailaf shekashat ke sabab banay?

Kya Ibrahim ibne Malik Ashtar ibne zubair ke saiyasat ka shekar howay ya Mukhtar he ghalti pr thy?

Kufa aur basra may hokumat bannay ke bad aisa kiya howa jo Mukhtar ki nakami ka sabab bana?

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Assalaam alaikum

Mukhtar(a.s) ne ladai hub e Ahlebait(a.s) he ki liye ki.Unhone koi siyasi maqsad se ya takht ki wajah se ladai nahi ki.Takht jo mila so to ye Allah ka wada tha.Jo Ahlebait(a.s) ki muhabbat mainapni jaan dena gawara samjhe.Badshah to aur bhi hoye hain to ye samajhna chahiye ke badshah hone ke mani siyasi bheja rakhna zaroori nahi.Bahot se mazhabi log duniya ki tarikh main shahenshah bane hain.

Mukhtar(a.s) ke bare main jab tazkira karo to zara ehtaraman unhe kaho use nahi.

Mukhtar(a.s) ki kuch majboriyan thin ki jin ki wajah se woh pehle lad nahi sake.Na to unhe Muslim(a.s) se bhi bohat mohabbat thi.

Ibrahim bin Malik Ashtar(a.s) Janab Mukhtar(a.s) ke dost the.Woh unse alag nahi hue they,balki kahin ladte ladte thak ke phas gaye the aur unhe khauf tha ki woh jaise he wahan se paltengay to sari mehnat barbad ho jayegi,aur wahan log phir opponents ke sath milkar ek bahot badi fauj bana kar Mukhtar(a.s) par buri tarah attack karke sab ko tabah kardenge.Isi khauf na aur unki ki fauj ki bemari aur azari ne unhen fauran na palatne diya.Mukhtar(a.s) ko kyunke halat ka kuch andaza nahi tha ki Ibrahim bin Malik Ashtar ki fauj ka kya bura haal hai,isliye woh naraz ho gaye aur ye kaha ki SHAYAD woh bhi takht o taj main zyada interest rakhne lage hain.Waise agar tumne kisi ne agar Mokhtarnama complete dekha ho to Janab e aali ye bhi to aap ki durust ankhon ne ye scene dekha hoga ki Ibrahim bin Malik Ashtar(a.s) Janab Mukhtar(a.s) ki maut ki khabar sun kar gash khakar gir pade. :cry: .

Ab ye kehna padega ke sawal karne walom ka hi bheja siyasi hai na Mukhtar e Saqafi ka aur na Ibrahim bin Malik Ashtar ka.

Aur janab e aali un dono ki auladon me rishte bhi hue.To complete knowledge ke bagair kuch na kahiye.Aur unke bachchon ka byah phir saadat me hova to yun janab e aali main usi nasal se hun.Kyun jee :wacko: :shaytan: .Ab toba karlo kisi ko galat na samjho.

Waise mujhse darna nahi.

Edited by bitto
Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Maray pyary dost bitto...

App nay sirf Mukhtar ke baray mai Film deki hai koi kitaab nahi pari.

Mai Syed Zada hon Imam Zain ul Abedeen a.s ke Awlaad mai se hon aur Hangu ka Rehnai wala hon jis ko Dosra karbala kaha jata hai.

Jahan tak Mukhtar ka jawal hai iss pr mai nai 2 saal tahqeeq ki hai. Tum mukhtar ke baray mai kuch bhi nahi jantay maray dost8-)

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Mukhtar e Saqafi ke mulaliq mai nay abi tak jo bhi bayaan kiya hai yee sub Tarikh ka hisa hai aur mai apnay ap se kuch nahi lika. Mukhtar ke baray mai Iran mai jo tahqeeq howi hai wo 20 saal mai mokamal howi aur may wo sara tehqeeq dek choka hon. Mukhtar ke bahadri ko maray salam ho may Al e Rasool(s.a.w) hon aur ka Al e Rasool(s.a.w)pr ahsaan hai. Lekin jo such us ko bhi tasleem kerna chahyee. Mari Dua hai ke may jis tarha 61 Hijri ko apnay Ankon se dekna chahta hon usi tarha mujhay Mola 66 Hijri deknay ke laye maray ankon ko Maa'rifat ke Roshni dey dain.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Assalaam alaikum

Maarifat ki baat apne ki to bata dun ki maarifat haasil karna aasaan nahi.Iskiliye apko chahiye ki taqwa aur perhezgari ikhtiyar karen.

Taqway main pehli shart to main ko khatam karna hai.Ki main hi kuch hon,baqaya to sab bekar hain.Ye sochta wahi hai jismain taqwa ka beej na boya gaya ho.Maarifat haasil karna mushkil hai magar haan namumkin nahi.Iskilye aapko sidiyan chadhni hongi.Jismain se ik sidi meray kahne par chadh jaiye.Woh yeh ke apne se aalaa aur buland martabe ke insaan ko criticise karna chod den.Practically aap kahan aur kahan Hazrat Mukhtar(a.s).Jinhe duaon main Ahlebait(a.s) yaad rakhen woh criticism ke liye nahi hain.Agar aap unki izzat karengay aur Jihadiyon ka muqqamal martaba aur Ahlebait (a.s) se muhabbat aur khoon ke rishton ko nazar andaz na karen gay tabhi aap ko maarifat haasil hogi.Apnay bada sakht alfaaz istimaal kiya apne aap ke liye maarifat agar toufeeq kahte to sahi lagta.Maarifat to unhen haasil hai ki jo duniyabi shikast se dare nahi rahe mustaqeem par rahe aur mawaddat ke taqazon ko pura kiya.

Jihadiyon ko criticise karna bahot bada gunah hai aur gunahgaar kabhi maarifat haasil nahi karta hai.

baharhal main bhi Aal e Rasool(s.a.w.s) aur aulad e Ali(a.s) hon.Bas farq yeh hai ki meray shajre main ye sab jihadi bhi aagaye kyun ke inke han ki ladkiyaan saadat main biyahi gayin.Aur Hazrat Mukhtar(a.s) aur unjaise aur jihadiyon ki auladon sab sadat main absorb ho gayin.Ye kahin alag se nahin hain.

Edited by bitto
Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Assalaam alaikum

Ek baat aur aap dhyan main rakhiye ke aap aulad e Zainul Iba(a.s) apne aap ko hi na samajh kar apne app ko auron ke mukabil zyada aala aur behtar na samjhen.Kyun ke baad karbala ke waqiae ke Imam Zainul Abideen (a.s) hi bache the Imam Husain(a.s) ki aulaad main.Aur aapko shayad pata nahi ki jitne bhi syed ab duniya main hain unmain se zyada tar log ya kahiye ke sab ke sab aulad eSajjad(a.s) hi hain.Imam ke kai auladen thi.Meray maloomat main to ye hai ki unke 8 ya das betay thay.Aur unsab ki shadiyan istarah huin.Ek ki Hazrat John ki beti se.Ek ki Hazrat Mukhtar ki beti se,ik ki Ibrahim bin Malik Ashtar ki beti se,ek ki Hazrat Muslim bin Aqeel ki beti se,ek ki janab Kindi koi the karbala ke shahedon main the unki beti se,ek ki Mohammed bin Hanafiya ki beti se ya unki granddaughter se aur ek ki Ruqayya binte Hazrat Abbas Alamdar(a.s) se hui.Later on ye hua ki inmain se kuch ki sirf betiyann huin ya baqi bachin aur phir insab ke rishte aapas main hi hue.Aur jo Hazrat Mukhtar aur Hazrat Ibrahim bin Malik Ashtar ki auladon jahan kahin aur jihadiyon aur shahedon ki aulad main ki thi to unke bhi sirf ek waqt ladki hi rahi nasal main jo phir saadat main byahi gayin.To sab shaheed aur jihadi saadaat ho gaye.To janab e aali aap kis shajre se hain.??

Edited by bitto
Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Salam...

App ki malomat ko dad. Yahan yee clear ker dain ke jin ke shadi saadat mai hon wo bhi Syed howay. App ko batadon ke main nay Ma'rifat ka dawa nahi Ma'rifat ki dua ki hai. Mukhtar e Saqafi maray otana he qabil e Ihtiram hai jis tarha app ko. Mujhay Allah himat na dey k main un pr Ilzaamat laga don yee jo kuch main nay lika hain yee tarikh ka hisa hain. Ab app ke zaihen mai kia chal reha hai wo mujhay pata nahi main aik talib e ilm hon aur such parta hon aur such likta hon. Mai zaidi hon aur pakistan ke us hisay se taluq hai jahan hum Rocket louncher aur martor ke barsat mai jaloos nikaaltay hai. Kahna bahut asaan hai aur kerna bahut mushkil. Ghar bait ker Ali Ali bahut hai kabi humaray tarf akay dekna. Hum Roz janazy otatay hai. Ya kisi se District Hangu ke baray poch laina. Tumhain bhi ma'rifat ka sabaq yad ajay ga. W/S Shukira

Hum wo hain ke Ali a.s ke naam pr marthy hain ya phir maarty hain. Maray baray apna zehan saf kerna. Waisay mujhay jin se N.o.c chahyee wo mujhay pata hain. App se kam iz kam nahi. Mola app ko seeda rasta deeka dain maray sath.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Assalaam alaikum

Tumhare is naadaan se jawab ko padh kar is waqt waqai mujhe bahot hasi aa rahi hai.Janab e ali aap chahe hangu ke hon ke aaj ke zamane main karbala hi main kyun na rahte hon ,phir bhi hum aap aisi azim hastiyon se badh kar nahi hai aur ye kahne wale koi nahi ki hum folan folan shaks woh bhi purane zamane wale ke bare main puri maloomat rakhte hain.

Aap ne apne aap ko zaidi to bataya magar afsos ke aap apna shajra tak nahi jante aur azim hastiyon ka mazak udate hain yeh kar ki jis ki shadi syed se ho gayi to woh bhi sayed hain.Obviously unki auladen to Syed hain.King Yazdigard syed nahi the magar unki beti saheba Shahzadi Sheharbano ka nikah Imam Husain(a.s) se hova.To khud he batao ki inki aulad Syed hain ya nahi.Tumhari aqal waqai khudgarzi aur khudpasandi ki wajah se sahi nahi kaam kar rahi hai.Dahshatgard hone se martaba buland nahi hota hai aur nahi koi maarifat haasil hoti hai.Tum istarah ki dhamkiyon se mujh jaise purani online Jihadi ko lalkar nahi sakte ho aur nahi dara sakte ho :shaytan: .Tumhare jaise maine yahan kai dekhe hain. :shaytan:

Mera kahna yeh hai ki tum apne aap ko itna behtar na samjho ke Imam(a.s) ke doston aur sahabiyon se zyada achcha samajhne lago aur unke kirdar par ungli uthane lago.Tumhe apni aukat pata honi chahiye.

Waise mera dil bilkul saaf hai.Ab kaho ki tumhara hai ya nahi??

Edited by bitto
Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Salam...

Mara shajra e Nasab zarur batata liken yee topic Mukhtar ke baray mai hain may apnay baray app ko kisi aur jaga pr detail se bayan kerdonga. Mohtarama mujhay app se larna nahi hain aur na he main sub se aala hon yee app ko lag raha hai. May khak tha aur khak hon pahlay study ker lo phir muj se bath kerna. Muj jaisy log app nay bahut dekain hongay. Lekin mai nay app jaisay log nahi deekain app ko masla kia hain. Main apnay laye ma'rifat dua ki us pr bhi app itiraz main Hangu ke mazalim bayan ki us pr bhi itiraz. Main hamesha se apnay app bahut kamzor aur khaksar samjta hon. Mujhay salah tu app nay deydee likin ma'zrat ki sath kabi akilay mai apnay app pr bhi fiker zarur kerna ke app kahan pr kari ho. Mola app ko Hidayat dee maray sath. W/salam

App jatni bhi purani ho lekin practicle app nay kuch nahi deka yee jihad jihad bool jawogee.

App jatni bhi purani ho lekin practicle app nay kuch nahi deka yee jihad jihad bool jawogee.

Tum bahir betnay waly log kitabi shia ho practicle shia kia kabi deka he nahi. Esslaye atna zaban chal reha hai Mohtarma Jihadi

Qurbani kia hoti yee kitabon mai parha hai kabi deya nahi un logon se pocho jo shia maslaq ke laye Roz pahray pee karay hai un se pochlo jin ke bachay her waqt morchazan hotay hai un se poch jin ke sirf iss laye jalayee gayee ke wo Ali a.s ka naam laitay hain mara ghar 2 bar jalaya gaya hai lekin tum in sub deshatgardi kahti na. Bath kerti jihadi hon........

Humari zandagi bani ummia aur us awlaad se larthy larthy gozri hai.

Humari zandagi bani ummia aur us awlaad se larthy larthy gozri hai.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Shaid may nay ko kuch zayada he kah diya ap ki koi Dilazari nahi kerna chahta tha ap ka apna point of view hai ho sakta hay app bahut kuch janti ho main tu kuch bhi nahi hon Mujhay ma'f kerna agar ap ki dilazari howi ho..... Shokiria

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • Advanced Member

Mukhtar ke baray may bahut kuch leknay ke bad kuch arsa ke laye may nay tarikh ke books ko aik tarf rak ker socha aur dil se, ghaib se madad manga......

Mujhay kuch iss tarha jawab mila jo shaid maray dil ki awaz thi......

Mukhtar un logon ko marna chahta tha jo Allah ki mojrim thay, Rasool(s.a.w) ke mojrim thay. Mojrim ko saza dena koi jorum nahi mukhtar ko ijazat lenay per majboor kiya gaya iss ke baghair kufa ke log sath denay ke laye tayar nahi thy. Ab ijazat Ahle baite ke gharanay mai se kisi se bhi lee jai tu teek hain.

Mukhtar agar Kufa ke hukomat apnay control na kertay tu jin se Intiqam leena tha wo bhi kamzor log na thy so bahlay apnay app ko un logon ke muqabila may zayada mazboot kerna zaroori tha.

Agar aqtidaar ke lalach hota tu Ibne zubair ke tarf se kufa ki hukomrani ki peeshkash ko Qabool kertay.

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Qatilaan e Hussain a.s se Intiqam siyasi maqsad ke laye leya gaya ya hub e Hussain a.s tha?

Agar Intiqam takhat ke laye nahi tha tu Muslim bin Aqeel a.s ke shahadat ke waqt wo kahan thy kaha jata hai ke wo us din kufa ke shaihir se bahir thy?

Mukhtar aur Suleman alkhurzai alag alag Q lary?

Qatilaan e Hussain a.s ko maarnai ke bad Ibrahim ibne Malik e Ashtar se Ekhtilaf Q paida howa?

Jab kufa ke logon nay Qatilaan e Hussain a.s ka badla lainay ke laye Ahle baite ke gharany ki tarf se Ijazat lainay ke sharth Rek dee tu Mukhtar Imam Zain ul Abdeen a.s se Ijazat Q nahi lee?

Mukhtar ka beta Imam Baqir a.s ke pas ata hai aur kahta hai ke kufa ke log maray walid Mukhtar ko jhota kahtay hay may app ke Zabaan e Mubarak se Haqeeqat janna chahta hon Q?

YEE AISY SAWALLAT HAI JIN KA JAWAB MAI 2 SAAL MAY NA DOHND SAKA...

(salam)

meray pas itni knowledge to nahe hai lekin phir bhe shayad ap ko thori bhut help ho jaye..

1) AMEER MUKHTAAR SAQFI aik sachay MUHIBAAN-E-ALI (A.S) thay.. Wo siyasat k liye inteqaam len ye possible nahe hai.. aur bat wazih hai ki Unhon ne IMAM HUSSAIN (A.S) k dushmano se inteqaam lena tha..

2) Shayad wo koofay se bahar bhe ho saktay hain kyun ki wo us time luqfa main rahtay thay apni dosri biwi k sath.. ziayada behtar Allah (Swt) janta hai..

3) Beher-haal, alag alag laren ya aik sath maqsad to ALI (A.S) k dushmano ka khaatima tha..

4)is ka jawab shayad pehle se he ap ko mil chuka hai.. :)

5)kyun ki AMEER MUKHTAAR ko pehle se he ijazat mil chuki the... meray pas full ref to nahe hai magar aik riwayat mojood hai ki jab AMEER MUKHAAR jab chotay thay to us waqt IMAM ALI (A.S) ne UN ko kaha tha ki AMEER MUKHTAAR, MOLA ALI (A.S) k 383313 dushman maarney k baad he khud wafaat paaen gay.. is liye AMEER MUKHTAAR ko is ki ijazat pehle he IMAM ALI (A.S) se mil chuki the.. aur us cheez se IMAM ALI ZAIN-UL-AABIDEEN (A.S) waaqif na hon, ye bhe to mumkin nahe hai.. AMEER MUKHTAAR ko siyasat ya hukoomat ki zarurat nahe the wo aik MUHIBAAN-E-ALI (A.S) thay... aur unhon ne Karbala k zulm ka badla liya tha.. kahen aur se bhe mujhay ye info mili the ki jab tak AMEER MUKHTAAR k mahal main Majlis nahe hoti the tab tak wo mahal main qadam tak nahe rakhtay thay.. is se bhe saaf wazih hai k inteqaam IMAM HUSSAIN (A.S) per huye zulm ka badla tha..

6) ap ko IMAM BAAQIR (A.S) ka jawab bhe post karna chahiye idhar, agar AMEER MUKHTAAR k betay ne IMAM BAQIR (A.S) se koi question kiya hai to zaahir si bat hai IMAM (A.S) ne jawab bhe to diya hoga na.. :)

W/S

Edited by Hina_Batool
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • Advanced Member

Kuch arsa khamoshi aur kitabon se hat ker may nay Mukhtar e Saqfi ko socha aur apnay Dil ki awaz ko sona chaha....

May bahut gunihgaar hon Moula mujhay ma'rifat se mara dil Rosun ker dain.

May aksar sochta rehta reha ke Mukhtar ke baray mai mara tahqeeq Gunihgaar na ker dain.

Sirf atna kah don ke maray dil se Aik awaz ayee LABAIK YA MUKHTAR. kitabon aur tarikh may jo kuch bhi laka gaya ho jo kuch bhi laka jai ga.

Mukhtar ko parna hai Rohaniyat ke sath...

Rohaniyat bahut zaruri hai.

Jawabat......

May nai jo kuch Tarikhi kitabon se yahan tahreer kia hai...

Rohaniyat ke sath us ke jawab talash kernay ki koshish ke hai..

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Wo log khud aur Rasool ke baghi thay. Jis tarha sahabi e Rasool Tarmaah ka naam Shohada e Karbala mai shamil nahi tha usi tarha Mukhtar e Saqfi ka naam bhi shmil nahi tha. TARMAAH jo rastay mai Imam Hussain a.s se maltay hai aur Kafa na janay ki salah detay hai liken Imam a.s ka jawab nafi mai son ker Imam a.s se kahta hai ke mai apnay gharwalon se mil ker ap ki nusrat ke layee ata hon aur rastay mai he usay pata chal jata hai ke Imam a.s shaheed ker deye gaye hai. Mukhtar se Qudrat nai koi dosra kaam laina tha. Jo Qayam e Mukhtar kah laya.

Link to comment
Share on other sites

I Am a Dweller of Kufa

Time and again, Mukhtar reflected upon himself, fighting with his nafs, continually purifying his heart of anything but Allah, and making sure what he was doing really was for the sake of Allah. How easily we betray our leaders. We see the purity of their character, their faith, their strength and belief in Allah, and still Shaitan is able to whisper powerful doubts in to our ears, hearts, and souls. Having seen his praiseworthy justice, his sacrifices, and his successes in revenge of Imam Hussain, people were still blind to the truth.

http://islamicinsigh...er-of-kufa.html

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Imam zain ul Abdeen a.s aur Ima Baqir a.s ki Mukjtar ke baray mai khamoshi ke peechay kuch maslihatain hain.

1. Imam a.s nay himayat iss laye nahi ki k Mukhtar ke Qatilon ki Mukhalifat ho jathi Qk Ibne zubair ke sath Moula Ali a.s ka aik beta shamil tha (abeed ibne Ali a.s) aur Mukhalifat iss laye nahi ki k Mukhtar ko Mohammad ibne Hanifia a.s ka Asheerbad hasil tha

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Mukhtar johta nahi tha yee Ibne zubair aur macca ke logon nay pailayee thi iss ye kaha gaya ke mukhtar nay kufa ke logon aik letter daikya tha Ibne zubair ke mutabiq wo letter johta tha.

Maray knowledge ke mutabiq Mukhtar ko un logon ke sath Qayam kerna tha jo Rangbaaz thy aur un ka Itimaad nahi kia ja sakta tha so Mukhtar ko bhi wahi kerna para

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Is surat e hal mai dono Imam a.s logon ke gomrah honay ke andishay ki waja se khamosh hain.

Yee dosri bari daleel hain

Imam Hassan a.s ke zamanay mai Mukhtar ka Imam a.s sath na denay ka Itiraf bhi kia aur apni sangeen ghalti bhi tasleem kia. Jab Muslim bin Aqeel a.s Kufa pawonch gayee tu Mukhtar nai un ko apny ghar dawat kiya aur goftagu ke dawraan in bathon ka Itiraf bhi kiya k wo Imam Hassan a.s ka sath na dee ker bahut sherminda hain.

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

×
×
  • Create New...