Jump to content
Guests can now reply in ALL forum topics (No registration required!) ×
Guests can now reply in ALL forum topics (No registration required!)
In the Name of God بسم الله
Sign in to follow this  
Your-Best-Friend

Dua

Recommended Posts

Dua by Maula Sajjad ASWS:

Ya Allah!

Mein Teray un posheeda naamon kay waseelay se aur Teri is buzurgi kay waastay se jo Jalal-o-Azmat kay perdon mein hey, Tujh se sawal kerta hoon kay is beytaab nafs aur beykaraar haddiyon kay dhanchay per taras kha, is liye kay jo Teray sooraj ki tapish ko bardasht nahi ker sakta, wo Teray jahannum ki tezi ko kesay bardasht karay ga, aur jo Teray badal ki garaj se kaanp uthta hey tou wo Teray ghazab ki awaaz ko kesay sun sakta hey, lihaza meray haal per reham ferma.

----------------------------------------------------

Dua by Maula Sajjad ASWS:

Ya Allah!

Mujhay aisa bana dey kay Waldain se zalim sultan ki tarah khof khaon, aur meharban maa ki tarah sulook karoon. Maa Baap ki itaat aur in se husn-e-sulook ko meray liye aisa khushgawar bana dey jesay khuwab aaluda shakhs kay liye ek lamhay ki neend, aur piyasay kay liye thanda paani mazaydar aur mehboob hota hey, yahan tak kay apni khuwahish per in ki khuwahish ko tarjeeh doon.

Reference: Sahifa-e-Kamila

----------------------------------------------------

Dua by Maula Sajjad ASWS:

Ya Allah!

Meri umr itni lambi ker jitni Teri itaat mein sarf ho sakay, agar wo shaytan ki charagah ban jaye tou mujhay jis qadar jaldi ho sakay apni taraf bula ley.

----------------------------------------------------

Dua by Maula Sajjad ASWS:

Ya Allah!

Mein Tujh se dua sirf is liye maangta hoon kay ye Tera Hukum hey, warna mein kon hota hoon Tujhay mashwara denay wala kay meray liye kiya behtar hey.

----------------------------------------------------

Dua by Maula Sajjad ASWS:

Ya Allah!

Humein kasb-e-maishat kay ranj-o-gham se bey-niaz ker dey, aur bey-hisaab rozi ata ferma, takay talash-e-muaash mein ulaj ker Teri ibadat se ru-gardaan na ho jayen, kaar-e-kasb ka khumyaza na bhugtein.

----------------------------------------------------

* SALWAT *

Share this post


Link to post
Share on other sites

æÇáÏیä ˜ÿ áیÆÿ ÍÖÑÊ ÇãÇã Úáی Èä ÇáÍÓیä ˜ی ÏÚÇ:

Çááøªãøó ÇÔ˜øÑ áóªõãٰÇ ÊóÑÈöیóی æó ÇóËöȪõãٰÇ Úٰáی Êó˜Ñ öãóÊی æó ÇÍÝóÙ áóªõãÇ ãÇ ÍóÝöÙٰÇÀÁ ãöäøی Ýی ÕÛÑöی

À

ÎÏÇیÇ ÇöäªیŸ ãیÑی ÊÑÈیøÊ ˜ی ÌÒÇ ãÑÍãÊ ÝÑãÇ ÇæÑ ãیÑی äÀÏÇÔÊ ˜Ç ËæÇÈ ÚØÇ ÝÑãÇ ÇæÑ ÌÓ ØÑÍ ÇöäªæŸ äÿ Èäÿ ãیŸ ãیÑی ÍÝÇÙÊ ˜ی Àÿ Êæ Çöä ˜ی ÍÝÇÙÊ ÝÑãÇ

( یÀی æÀ ÏÚÇ Àÿ Ìæ æÇáÏیä ˜ÿ ÛÓá ãیøÊ ˜ÿ æÞÊ ÇæáÇÏ¡ æÑÏ ˜ÑÊی ÑÀÊی Àÿ)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Sign in to follow this  

×
×
  • Create New...