Jump to content
In the Name of God بسم الله

Zahoor-e-MAULA HASAN ASKARI ASWS


Recommended Posts

  • Advanced Member

Maula Hasan Askari ASWS’s details:

Name: Hasan

Laqab: Zakiyun Askari

Kuniyat: Abu Muhammad

Father: Maula Ali-un-Naqi ASWS

Mother: Bibi Hadis Saleel ASWS

Wife: Bibi Nargis Khatoon ASWS

Date of Birth: Friday, 10-Rabi-us-Sani-232 Hijri

Place of Birth: Madina

Date of Shahadat: Friday, 8-Rabi-ul-Awwal-260

Grave: Samarah, Iraq

Cause of Death: Poisoned by Caliph Mutamid (LA)

Age: 28 years

-----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

Ek fasiq-o-fajir aalim hamaray shiyon kay liye lashkar-e-yazeed se bhi khatarnak hey kyun kay lashkar-e-yazeed ne jismon ko khatam kiya tha magar yeh aalim un kay emaan ko khatam ker deta hey.

----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

Jis rizq ki zamanat dey di gai hey woh tumhein is amal se na rok dey jo tum per farz ker diya gaya hey.

----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

Kisi gamgheen key paas izhar-e-musarrat kerna khilaf-e-adab hey.

-----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

Jahil insaan ki tarbiyat kerna aur kisi sahib-e-adat ko is ki adat se baaz rakhna, kisi maujizay se kam nahi.

----------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

1) Bila-waja hansna jahalat ki daleel hey.

2) Ghamgeen kay samnay hansna bey-adabi aur bad-aamaali hey.

-----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS was once asked of the signs of a Momin (believer). Maula listed the following signs:

1) He is one prays 51 rakaats of salaa daily.

2) He prostates on Khake Shafaa.

3) He wears rings on his right hand.

4) He repeats the verses of Azhan & Ikama.

5) He recites "Bismillah" loudly in Salaa.

6) He prays his Namaz-e-Fajr before the stars disappear and his Namaz-e-Zohar before the sun starts to decline.

7) He recite Qunoot in Salaa.

8) He dyes his hair and beard.

9) He recites 5 takbirs in Salatul Maiyyat.

-----------------------------------------------------

Maula Hasan Askari ASWS said:

Tumhara behtareen bhai woh hey jo tumharay gunah bhool jaey aur tum ne jo is per ehsaan kiya hey is ko yaad rakhay.

-----------------------------------------------------

Hawa kay dosh per Masoom khushbu ka safar

Bata raha hey kay aamad meray Imam ki hey

-----------------------------------------------------

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member

Salam Ansar bhai

SubhanAllah! Hamari janib se bhi Zahoor Imam Mola Hasan Askari a.s tamam momineen ko mubarak.

Mujhe aap ki posts ka yeh andaz buhat pasand hai kyunke is se hamein bari maloomaat bhi milti hain aur saath hi saath saaray momineen mustafeed hotay hain. Mola chahardah masoomeen a.s ke sadqe mein aap ki tamam sharaee haajaat ko pura farmayien aur aap ko deen o dunya ki har khushi se mala maal farmayien. Aameen

ws

H&S

salam,

Muala salamat rakhain aap ko. bohat umda info share ki aap nay.

Hazrat Imam Hasan Askari [as] ki wiladat mubarak ho sab momeneen ko.

kioun apnay aik jaam pe nazaan hai saqiya

14 pilanay walay hai perwa hai teri kiya

batlaai deti hon tujhay mai-khanon ka pata

batha o Kazmain o Khurasaan o Samra

khursheed muddua mera burj e sharaf mien hai

ek Kerbala mien ek mera saqi Najaf mien hai

ws

Salam Batool aapa

Buhat khubsurat intekhab aap ne yahan post kia is mauqe per. Mola aap ko Jaza-e-Khair ata farmayien. Aameen

ws

H&S

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

×
×
  • Create New...