Jump to content
In the Name of God بسم الله

Pani

Recommended Posts

  • Advanced Member

sharik-e-gurdish-e-haft aasman na tha pani

hamary piyaas pe kion mehrban na tha pani?

luta raha tha bohat moaj moaj khud ko magar

zameen pe apni tarhan rAaigan na tha pani

wahan ki rait lahoo chatti thee yuon mera!

rag-e-foraat may jaisay rawan na tha pani

wahan pe aag nay jhulsa diye thay mashkizay

jahan qareeb-e-saf-e-tashnagan na tha pani

simat simat kay kinaron mein be karan hi raha

raheen mahbas-e-sood o ziyan na tha pani

Aana nay toar diya jaam-e-elteja Mohsin

wagarna piyas ki had say na doar tha pani

Mahbas= jail, zindaan, qaid khana

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Batool jee! buhat hi khoobsurat kalam yahan aap ne tehreer kia Mohsin Naqvi saheb ka. Mujhe sab se achi baat yeh lagi ke aap ne Mahbas ke maani yahan tehreer kiye. Kyunke kuch alfaaz itnay mushkil hotay hain ko un ko samajhna baghair depth knowledge ke mumkin nahin hain. Aur wesay bhi yahan buhat kam logon ko adabi urdu aur shairy ka zoq maloom hai. Yahan tak ke mein bhi shayad itni depth nahin janta very honestly. Us ki wajah yeh hai ke mein Urdu daan nahin hoon aap yaqeen kijye ke mein aik Gujrati family se belong karta hoon lekin urdu kuch behtar is wajah se hai ke mein ne apni ziyada tar zindagi urdu danon mein guzari hai aur meray papa bhi gujrati ke behatreen shair reh chukay hain. Ab woh is dunya mein nahin hain lekin un ki tehreeren aaj bhi mojood hain. Moqa mila tau kisi din urdu mein translation kar ke yahan zaroor un ki shairi tehreer karoonga. Bas likhnay ka shauq meray walid-e-mohtaram se mujhe wirasat mein mila hai aur sab se barh kar yeh ke Yeh Mola ki ata hai. Werna hamari kia auqaat ke un azeem hastiyon ke zindagion ke aik pehloo ko bhi tehreer kar sakien yeh tau bas Mola hi ki inayat hai.

Mola aap ko Jaza-e-Khair ata farmayien. Aameen.

wassalam

Hadi & Saqlain

Link to comment
Share on other sites

  • Advanced Member
salam H&S,

kya karain jab khud nahi samajh mai ataa tu hum ko baqi sab ki bhi fikr lag jaati hai . :)

wah bhaee, ye naai baat maloom hovi kay aap kay Papa, gujrati kay behtereen shaair thay. bohat khoob.

zaroor nawazain un kay kalaam say, behad khushi ho gee. Perwerdegaar aap kay papa ko apni rehmat main jagha de aur un ki maqfirat farmaai. suma ameen

ilm dost waldain ka deya hovi sab say behtereen wersa, ilm hi hai. aur naik aur laaiq uolad us main ezafa kar kay agay bharati hai. aap enhi loagon main say hain jo aisay wersay ko galay say lagatay hain aur naaz kartay hain. ye bohat khushnasibi ki baat hai, H&S. es dolaat ko jitana hasil karain utna hi lutayee bhi, kay es say ye sirf bar[d] saktee hai kam nahi ho sakti.

muala Ali[as] say dua hai kay sab ko aur khas kar un ki maddah likhnay walon kay qalam ko aur rawani ataa karain. aur hamaray ye haqeer nazranay qobool hon.summa ameen

ws

(salam)

Durust farmaya aap ne. Sach keh raha hoon mein Mola ki bargah mein har waqt yehi dua karta rehta hoon ke woh hamaray ilm mein izaafa ata farmayien aur hamein alfaz ka khazana ata farmayien taake ham ehle bait-e-athaar ki shaan mein ziada se zaida likh aur parh sakein.

Aap ne meray papa ke liya itni duaien deen. Mujhe yaqeen hai woh Allah ke huzoor aap aur ham sab ke liye bhi duago hongay. Mein InshaAllah buhat jald hi un ka kalaam yahan translate kar ke post karoonga. In dinon thori official masroofiat ziada hain. Thora waqt nikaal kar zaroor tehreer karoonga. Aap ki duaon aur pazeeraee ke liye mein aap ka tahe dil se mashkoor hoon.

Mola aap ko bhi chahardah masoomeen (a.s) ke sadqe mein ilm ki woh daulat nawazein jo aik misaal ho. Aameen.

Wassalam

  • 2 years later...
  • 1 month later...
  • 7 months later...
  • Basic Members

Mohsin Naqvi Shaheed ke iss Salam ke liye bahot shukriya.

" Pani " par Josh Malihabadi Marhoom ne eik Marsiya tahreer farmaya tha.

Is Marsiye mein 59 Band haiN.

Kitabi shakl meiN ye Marsiya <wirasatali.com> par maujood hai.

Zia Mohiuddin Sahab ne iss Marsiye ke 13 Band padhe hain, jo youtube par

kisi ne upload kiye hain. Iss link par video deikha ja sakta hai.

<

>
Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

×
×
  • Create New...