Jump to content
Guests can now reply in ALL forum topics (No registration required!) ×
Guests can now reply in ALL forum topics (No registration required!)
In the Name of God بسم الله

Shayarie-fazeelat-e-ahlulbayt(a.s)kee


Recommended Posts

 • Advanced Member

Is waastay Ali ko utara hey apnay ghar

Koi Ali kay samnay uff tak na ker sakay

Ab tak nishan rakha hey baqi isi liye

Deewar shaq rahay kay koi shak na ker sakay

----------------------------------------------------

Yeh tou sach hey kay juk kay uthaya paani

Aur sach yeh bhi hey chullu se giraya paani

Is haqeeqat ka tou darya bhi nahi hey munkir

Piyasay Abbas ne darya ko pilaya paani

----------------------------------------------------

Bugz-e-Ali nasb ki kharabi hey shak nahi

Masoom ka yeh qoul hey is mein lachak nahi

Cheenay koi tou hum se mawaddat Husain ki

Momin ka dil hey yeh koi Bagh-e-Fidak nahi

----------------------------------------------------

Sajjad kay sajday ka hey andaz nirala

Sajjad ki soorat mein hey seerat ka hawala

Sooraj bhi hey Sajjad kay maathay ka ujala

Har sajid-o-abid ko hey Sajjad ne paala

Khaliq ne jahan jab jisay jo rizq diya hey

Sajjad kay haathon se hi taqseem kiya hey

Tha aalam-e-malkut mein Abid ka musalla

Tehra jahan Sajjad wahan tehra Mualla

Sajjad ka Allah se woh qurb hey Wallah

Wajib hey Rasoolon per bhi Abid ka tawalla

Ghar ghar mein musallay kabhi abaad na hotay

Dunya mein agar Syed-e-Sajjad na hotay

----------------------------------------------------

Link to post
Share on other sites
 • Replies 1.2k
 • Created
 • Last Reply

Top Posters In This Topic

Top Posters In This Topic

Popular Posts

(salam) Shayarie-fazeelat-e-Ahlulbayt(A.S)kee hamare saath share kariye. :) Khazane ki Zeenat ko almas kehte hain, Lage talab paani kee toh usse pyaas kehte hain Yun toh sabko paani pilaata hain dar

(salam) Ali ki bazm ka kuch aise ehtemam kare Farishte aake zameen par hame salaam kare Yeh aarzu hai ki yu zindagi tamam kare Najaf me subha kare karbala me shaam kare .. Qirdar yaqeenan masoom tha

Aankhon k Sahilon Peh hay Ashkon ka iK Hajoom....... Shayid Gham-e-hussain (R.S) Ka Mosam aQareeb Hi...

Posted Images

 • Advanced Member

Àã Êæ Úáی ˜ÿ ÚÔÞ ãیŸ ÇäÓÇä Èä ۓ

ÌیÓÿ ˜À ÞãÈÑ¡ ãیÓã æÓáãÇä Èä ۓ

یÀ ÈÛÖö Úáی ÌÓ˜ææÑÇÓÊ ãیŸ ãáÇ Àÿ

ÇäÓÇä äÀیŸ æÀ ÇÈæÓÝیÇä Èä ۓ

˜ª áæ Êæ ÇیÓÿ ʪÿ ÑÓæáö ÎÏÇ ˜ÿ ÓÇʪ

ʪÿ ˜ÇÝÑ¡ ϘªÇæÿ ˜ÿ ãÓáãÇä Èä ۓ

ÇÈ Èªی ÍÓیäیÊ ˜ی Àÿ ÏÔãä یÐیÏیÊ

ÀÑÇ ÈÏá áیÇ Àÿ ÇæÑ ØÇáÈÇä Èä ۓ

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ki tash'keel aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tar'teel aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tan'zeel aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tameel aik hay

Quran or Hussain a.s., ki teh'weel bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tarseel bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tanveer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki toqeer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taqdeer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taq'seer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tash'heer bar sinaa'n

Quran or Hussain a.s., ki tanveer bar sinaa'n

Quran or Hussain a.s., ki tad'beer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki teh'reer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taf'seer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tas'veer aik hay

Quran or Hussain a.s., ki zan'jeer bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki sham'sheer bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tad'rees aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taq'dees aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taj'nees aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taj'sees aik hay

Quran or Hussain a.s., ki takh'sees bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tash'khees bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki to'seef aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tas'neef aik hay

Quran or Hussain a.s., ki ta'leef aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tak'leef aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tan'seef bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki teh'reef bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki tam'heed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki ta'keed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki ta'eed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taq'leed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tak'rar bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tal'war bhi hay aik

jaari hay...

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ki niyyat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki khilqat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki nisbat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki fitrat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki soorat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki hur'mat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki wus'att bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki shirkat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki soh'bat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki riffat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki qismat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki itrat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki deewar aik hay

Quran or Hussain a.s., ki dastar aik hay

Quran or Hussain a.s., ki sarkar aik hay

Quran or Hussain a.s., ki raftar aik hay

Quran or Hussain a.s., pay tanqeed bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki tar'deed bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki tarteeb aik hay

Quran or Hussain a.s., ki targheeb aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tanseeb aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tash'heeb aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taqreeb bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tehzeeb bhi hay aik

Qurna or Hussain a.s., ki seerat bhi aik hay

Quran Hussain a.s., ki hurmat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., azmat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki ismat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki hay manzilat bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay aakhirat bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki taleem aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tanzeem aik hay

Quran or Hussain a.s., ki aqleem aik hay

Quran or Hussain a.s., ki taqweem aik hay

Quran or Hussain a.s., to tasleem bhi hooay

dono'n sinaa'n ki nok pay taqseem bhi hooay

jaari hay...

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ki hay aab'joo bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay aabroo bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay aarzoo bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay fikr-e-khoo bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay aik guf'tagoo

Quran or Hussain a.s., ki hay aik jus'tajoo

Quran or Hussain a.s., ki nuz'hat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki nik'hat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki nisbat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki furqat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki aadat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki hikmat hay aik si

Quran or Hussain a.s., ki tam'heed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tas'weed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tas'deed aik hay

Quran or Hussain a.s., ki teh'deed aik hay

Quran or Hussain a.s., hai'n ta'beed ka jatan

Quran or Hussain a.s., hai'n toheed ka jatan

Quran or Hussain a.s., ki tojeeh aik hay

Qurna or Hussain a.s., ki tozeeh aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tasreeh aik hay

Quran or Hussain a.s., ki tshreeh aik hay

Quran or Hussain a.s., ki talmeeh bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tasbeeh bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki hujjat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki hajat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki shohrat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki azmat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki hay maghfirat bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hay mazarat bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki itrat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki iffat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki ulfat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki nusrat bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ki soorat bhi aik si

Quran or Hussain a.s., ki seerat bhi aik si

jaari hay...

Link to post
Share on other sites
 • Veteran Member

Àã Êæ Úáی ˜ÿ ÚÔÞ ãیŸ ÇäÓÇä Èä ۓ

ÌیÓÿ ˜À ÞãÈÑ¡ ãیÓã æÓáãÇä Èä ۓ

یÀ ÈÛÖö Úáی ÌÓ˜ææÑÇÓÊ ãیŸ ãáÇ Àÿ

ÇäÓÇä äÀیŸ æÀ ÇÈæÓÝیÇä Èä ۓ

˜ª áæ Êæ ÇیÓÿ ʪÿ ÑÓæáö ÎÏÇ ˜ÿ ÓÇʪ

ʪÿ ˜ÇÝÑ¡ ϘªÇæÿ ˜ÿ ãÓáãÇä Èä ۓ

ÇÈ Èªی ÍÓیäیÊ ˜ی Àÿ ÏÔãä یÐیÏیÊ

ÀÑÇ ÈÏá áیÇ Àÿ ÇæÑ ØÇáÈÇä Èä ۓ

Aakhri she'r kya hasb-e-haal hai.

Wahh janaab! :)

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

It'rat Say Mohabbat Bhool Ga'ay

Woh Ajar-e-Risalat Bhool Ga'ay

Bus Ghar-e-Hira Ik Yaad Raha

Or Bistar-e-Hijrat Bhool Ga'ay

Kab Maal-e-Ghaneemat Bhool Sakay?

Haider Ki Inayat Bhool Ga'ay

Kaabay Ki Fazeelat Yaad Rahi

Haider Ki Wiladat Bhool Ga'ay

Ghairo'n Ko Nabi Ka Ravi Kaha

Haider Say Rawayat Bhool Ga'ay

Man Kun To Mola Sun To Lia

Phir Hukam-e-Risalat Bhool Ga'ay

Ahl-e-Bait a.s., Kay Dushmano'n Par Lanat Bay Shumar...

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Mid'hat-e-Shabbir Taira Shukria

Katib-e-Taqdeer Taira Shukria

Yaad Akbar Ki Dila Daita Hay Too

Nara-e-Takbeer Taira Shukria

Mairay Ghar Aatay Hai'n Masoomeen Bhi

Majlis-e-Shabbir Taira Shukria

Mushkilo'n Mai'n Muskurana Aa Gaya

Asghar-e-Bashir Taira Shukria

Tairay Dam Say Hay Sadaa-e-Ya Hussain

Zainab-e-Dilgeer Taira Shukria

Aaj Bhi Kaabay Say Aati Hay Sada

Sajda-e-Shabbir Taira Shukria

Rizq Milta Hay hamai'n Tairay Tufail

Dast-e-Khaibar Geer Taira Shukria

Ban Gaya Turbat mai'n Mahol-e-Kisa

Madar-e-Shabbir Taira Shukria

Karbala Bhi Sibt-e-Jaffar Ka Watan

Khuld Ki Jageer Taira Shukria

Allahumma Sallay Alaa Mohammad Wa' Aal-e-Muhammad Wa'Ajjil Farajahum Wa'Laan Allahi Adaa'ohum Ajma'een

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Haq Say Mehroom Jo Haqdar Na Hotay

Dunya Mai'n Kahee'n Zulm Kay Aasar Na Hotay

Ik Baar Jo Keh Detay Ali'un Wali'Ullah a.s.

Aey Shaik-e-Haram, Hajj Tairay Baikar Na Hotay

Abbas a.s., Ko Mil Jati Ijazat to Sitam'gar

Is Paar To Kia, Uss Paar Na Hotay

Islam Ko Jam Kar Kabhi Chalna Nahee'n Aata

Gar Ashghar-e-Basheer Madad'gar Na Hotay

Zahra s.a., Ki Qasam Jism Say Kar Daita Juda Mai'n

Matam kay Liay Hath Jo Tayyar Na Hotay !

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ki tazayin bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki talqeen bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tehseen bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki taskeen bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki tamreen bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki toheen bhi ghalat

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n haisyatai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n hamiyyatai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n nasihatai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n wasiyyatai'n

Quran or Hussain a.s., ki hai'n ulfatai'n bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hai'n soh'batai'n bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n bisharatai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n sifaratai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n tijaratai'n

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n imaratai'n

Quran or Hussain a.s., ki hai'n mooratai'n bhi aik

Quran or Hussain a.s., ki hai'n sooratai'n bhi aik

Quran or lakht-e-Risalat ki bazm aik

Quran or lakht-e-Risalat ki nazm aik

Quran or lakht-e-Risalat ki razm aik

Quran or lakht-e-Risalat ka azm aik

Quran or Hussain a.s., ka rooh-e-rawaa'n bhi aik

Quran or Hussain a.s., ka soz-e-nehaa'n bhi aik

Quran or Hussain a.s., ka islam aik hay

Quran or Hussain a.s., ka il'haam aik hay

Quran or Hussain a.s., ka har gaam aik hay

Quran or Hussain a.s., ka har kaam aik hay

Quran or Hussain a.s., kay id'gham bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay iq'lam bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka aadam bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka khatim bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka mehram bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aalam bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., kay matam bhi aik say

Quran or Hussain a.s., kay marham bhi aik say

Quran or Hussain a.s., ka arif bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aasif bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aakif bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aatif bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., kay asif jagah jagah

Quran or Hussain a.s., kay wasif jagah jagah

jaari hay.....

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ka hay intabaq aik

Quran or Hussain a.s., ka hay ishtiaq aik

Quran or Hussain a.s., ka hay insharaq aik

Quran or Hussain a.s., ka hay aitanaq aik

Quran or Hussain a.s., kay aafaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay tabaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., ka yak'saa'n bayan hay

Quran or Hussain a.s., ka yak'saa'n dhayan hay

Quran or Hussain a.s., ka yak'saa'n jahan hay

Quran or Hussain a.s., ka yak'saa'n nishan hay

Quran or Hussain a.s., ki hay aan ban aik

Quran or Hussain a.s., kay hai'n bad'baan aik

Quran or Hussain a.s., ka paigham aik hay

Quran or Hussain a.s., ka islam aik hay

Quran or Hussain a.s., ka inam aik hay

Quran or Hussain a.s., ka har kam aik hay

Quran or Hussain a.s., pay ilham bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., pay ikram bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka meezan aik hay

Quran or Hussain a.s., ka irfan aik hay

Quran or Hussain a.s., ka farman aik hay

Quran or Hsussain a.s., ka ehsan aik hay

Quran or Hussain a.s., ka unwan bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ki pehchan bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ka mushtaq aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aafaq aik hay

Quran or Hussain a.s., ka meesaq aik hay

Quran or Hussain a.s., ka ikhlaq aik hay

Quran or Hussain a.s., kay aw'raaq bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay as'baaq bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka fatir bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka zakir bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka shakir bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka baqir bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka paikar jahaa'n mai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka ansar jahaa'n mai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka masdar bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka mehwar bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka manzar bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka rehbar bhi aik hay

Quran or Hussain a.s., ka nasir jaha'n mai'n aik

Quran or Hussain a.s., ka safdar jaha'n mai'n aik

jaari hay...

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., ka dastoor aik hay

Quran or Hussain a.s., ka manshoor aik hay

Quran or Hussain a.s., ka mehsoor aik hay

Quran or Hussain a.s., ka aashoor aik hay

Quran or Hussain a.s., ka hay toor aik sa

Quran or Hussain a.s., ka hay noor aik sa

Quran or Hussain a.s., ka maqsood aik hay

Quran or Hussain a.s., ka mabood aik hay

Quran or Hussain a.s., ka mehmood aik hay

Quran or Hussain a.s., ka masjood aik hay

Quran or Hussain a.s., ka masood bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., ka mash'hood bhi hay aik

Quran or Hussain a.s., kay guldan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay marjan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ghulman aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay abdan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ehsan bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay farmarn bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay az'haan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay eqaan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay paiman aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay bustan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay luqman bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay imran bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay arman aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay khoo'ban aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay farhan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay adnan aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay hai'n gulistan aik

Quran or Hussain a.s., kay kon-o-makan aik

jaari hay....

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., kay paigham aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ahkam aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ikram aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay inaam aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ehram bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay iqdam bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay aqwal aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ahwal aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay aamal aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay af'aal aik hai'n

Quran or Hussain a.s., ki tam'saal bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., ki ash'kaal bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay teeno'n nuqaat aik

Quran or Hussain a.s., kay hai'n ir'tabat aik

Quran or Hussain a.s., kay hai'n ikh'talaat aik

Quran or Hussain a.s., kay hai'n in'zabaat aik

Quran or Hussain a.s., ki yak'saa'n basaat busss

Quran or Hussain a.s., ki ho eh'tayaat busss

Quran or Hussain a.s., kay ad'war aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay akhbar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay asrar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay absar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay gulzar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay as'maar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay aznaaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay asraaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay azyaaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ahqaaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay itraaf bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay oqaaf bhi hai'n aik

jaari hay....

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., kay insaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay isdaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay izraf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay osaaf aik hai'n

Quran or Hussain a.s., ka hay etakaf aik

Quran or Hussain a.s., ka hay etalaf aik

Quran or Hussain a.s., kay hujjaj aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay pukhraj aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay minhaj aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay amwaj aik hai'n

Quran or Hussain a.s., ki hay eh'tiaaj aik

Quran or Hussain a.s., ka har kaam kaj aik

Quran or Hussain a.s., kay dildar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay hub'dar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay gham'khoar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ansar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ehrar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay israr bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay ushshaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay il'haaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ishraaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay aafaaq aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay hai'n ishtiaq aik

Quran or Hussain a.s., kay tarz-e-wafaq aik

Quran or Hussain a.s., kay ibrar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ash'jar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay as'maar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ansaar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay adwaar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay darbaar bhi hai'n aik

jaari hay....

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., kay kirdar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay atwaar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay anwaar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay deedar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay dildar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay gham'khoar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay al'qaab mushtarik

Quran or Hussain a.s., kay asbaab mushtarik

Quran or Hussain a.s., kay ahbaab mushtarik

Quran or Hussain a.s., kay arbaab mushtarik

Quran or Hussain a.s., kay ak'waab aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay mehtaab aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay aasaar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay meenaar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ma'maar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay teh'war aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay iqrar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay inkar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay iqdar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ufkar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay shah'kar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay ma'yar aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay haqdar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay sardar bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay matloob aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay mehboob aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay us'loob aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay marghoob aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay mandoob bhi hai'n aik

Quran or Hussain a.s., kay yaqoob bhi hai'n aik

jaari hay....

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Taf'heem Ul Hussain a.s.

QURAN OR HUSSAIN a.s.

Mazeed Ash'aar.

Quran or Hussain a.s., kay paa-e-sabaat aik

Quran or Hussain a.s., kay dars-e-hayat aik

Quran or Hussain a.s., kay shehr-e-nijat aik

Quran or Hussain a.s., kay sub il'tafaat aik

Quran or Hussain a.s., ki oqaat aik hay

Quran or Hussain a.s., ki har baat aik hay

Shabbir a.s., ka sahaab hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka hisaab hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka nasaab hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka khatab hay Quran ki tarah

Quran ik kitab hay Shabbir a.s., hay imam

dono'n ki zat-e-pak ko JAZIB ka hay salam

Shabbir a.s., ka khisaal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ba kamal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., la zawal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., bay misaal hay Quran ki tarah

Quran or Hussain a.s., kay aamaal aik hai'n

Quran or Hussain a.s., kay af'aal aik hai'n

Shabbir a.s., ka samaaj hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka rawaaj hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka kharaaj hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka saraaj hay Quran ki tarah

Quran or Hussain a.s., ka har dil pay raj hay

Quran or Hussain a.s., ki ab eh'tiaaj hay

Shabbir a.s., ka hilaal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka jamal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka wisaal hay Quran ki tarah

Shabbir a.s., ka khisaal hay Quran ki tarah

Quran or Hussain a.s., ka jaah-o-jalal aik

Quran or Hussain a.s., ka har ik sawal aik

jaari hay....

Link to post
Share on other sites
 • Basic Members

(bismillah)

Dear brothers and sisters,

Salaam alaikum

This is my first post in the forum and I got really interested in this particular thread. When I was very young I used to recite a rubaaee which I don't remember at all now except for a few lines. I will be glad if someone could post the entire rubaaee over here if they happen to know it. It was something like this,

Patthar pe alam deen ka gaada kisne

do ungal pe dar e khaibar ko ukhada kisne

thanks to all of you for sharing the beautiful writings and please let me know if there are any websites of threads in forum itself having writings like these in praise of ahlulbayt(a.s)

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

æáÇÏÊ ÇãÇã ÍÓیä

ÀÇŸ Çÿ ÝᘠöیÑ! äÆÿ ÓÑ Óÿ ÌæÇŸ Àæ

Çÿ ãÇÀ öÔÈ öÇÑ ÏÀã¡ äæÑ ÝÔÇŸ Àæ

Çÿ ÙáãÊ öÛã ÏیÏÀ Êõæ ÚÇáã Óÿ äÀÇŸ Àæ

Çÿ ÑæÔäÆ ÕÈÍ öÔÈ öÚیÏ ÚیÇŸ Àæ

ÔÇÏی Àÿ æáÇÏÊ ˜ی یÏÇááÀ ˜ÿ ªÑ ãیŸ

ÎæÑÔیÏ ÇõÊÑÊÇ Àÿ¡ ÔÀäÔÇÀ ˜ÿ ªÑ ãیŸ

Çÿ ÔãÓ æ ÞãÑ ÇæÑ ÞãÑ ÀæÊÇ Àÿ یÏÇ

äÎá öãä ÏیŸ ˜Ç ËãÑ ÀæÊÇ Àÿ یÏÇ

ãÎÏæãÀ ÚÇáã ˜Ç ÓÑ ÀæÊÇ Àÿ یÏÇ

Ìæ ÚÑÔ ˜ی Öóæ Àÿ æÀ ÀÑ ÀæÊÇ Àÿ یÏÇ

ÀÑ ÌÓã ãیŸ ÌÇŸ ÂÊی Àÿ ãИæÑ Óÿ ÌÓ˜ÿ

äæ äæÑ ö ÎÏÇ ÀæŸ ÿ ÚیÇŸ äæÑ Óÿ ÌÓ˜ÿ

ÞÑÈÇä ÔÈ öÌãÚÆÀ ÔÚÈÇä ö ÎæÔ ÇäÌÇã

یÏÇ ÀæÇ ÌÓ ÔÈ ˜æ ãÍãÏ ˜Ç á ÇäÏÇã

ÞÇÆã ÀæÇ ÏیŸ¡ ÇæÑ Èšªی ÑæäÞ öÇÓáÇã

Àã áÀÁ ÕÈÍ öÔÈ ö ãÚÑÇÌ Êªی æÀ ÔÇã

ÎæÑÔیÏ ˜Ç ÇÌáÇá æÔÑÝ ÈÏÑ Óÿ æªæ

˜یÇ ÞÏÑ Êªی ÇÓ ÔÈ ˜ی ÔÈ öÞÏÑ Óÿ æªæ

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

ÔÚÇÈÇŸ ˜ی Àÿ ÊÇÑیÎ Óæã ÑæÒ ö æáÇÏÊ

ÇæÑ Àÿ ÏÀã öãÇÀ ÚÒÇ یæã öÔÀÇÏÊ

ÏæäæŸ ãیŸ ÈÍÑ ÍÇá Àÿ ÊÍÕیá ö ÓÚÇÏÊ

æÀ Ȫی Úãá öÎیÑ Àÿ یÀ Ȫی Àÿ ÚÈÇÏÊ

ãÏÇÍ ÀæŸ ˜یÇ ˜ª äÀیŸ ÇÓ ªÑ Óÿ ãáÇ Àÿ

˜æËÑ Àÿ ÕáÀ ÇÓ ˜Ç ÈÀÔÊ ÇÓ ˜Ç ÕáÀ Àÿ

یÇ ÎÊã öÑÓõá æÀÑ ö ãÞÕæÏ ãÈÇј

یÇ äæÑ öÎÏÇ ÑÍãÊ ö ãÚÈæÏ ãÈÇј

یÇ ÔÇÀ öäÌÝ ÔÇÏی öãæáæÏ ãÈÇј

یÇ ÎیÑ öäÓÇÁ ÇÎÊÑ öãÓÚæÏ ãÈÇј

ÑæäÞ Àæ ÕÏÇ äæÑ ÏæÈÇáÇ ÑÀÿ ªÑ ãیŸ

ÇÓ ãÇÀ öÏæ ÀÝÊÀ ˜Ç ÇÌÇáÇ ÑÀÿ ªÑ ãیŸ

Çÿ ÇõãÊیæ¡ Àÿ یÀ Ïã öÔ˜Ñ ÒÇÑی

ÀÑ ÈÇÑ ˜Ñæ ÓÌÏÀÁ Ô˜ÑیÀÁ ÈÇÑی

ÇááÀ äÿ Íá ˜Ñ ÏیÇ ãÔ˜á ˜æ ÊãÀÇÑی

ÝÑÏیŸ Úãá öÒÔÊ ˜ی ÇÈ Ç˜ ÀیŸ ÓÇÑی

ᘪÿ Æÿ ÈäÏæŸ ãیŸ æáی ÇÈä öæáی ˜ÿ

äÇÌی Àæÿ ÕÏÞÿ ãیŸ ÍÓیä ÇÈä öÚáی ˜ÿ

äÇÇÀ ÏÑ öÍÌÑÀ ÀæÇ ãØáÚõ ÇáÇäæÇÑ

ϘªáÇäÿ áÿ äæÑ öÊÌáی ÏÑ æ ÏیæÇÑ

ÇóÓãÇ äÿ Úáی Óÿ یÀ ˜ÀÇ Ïæš ˜ÿ ǘ ÈÇÑ

ÝÑÒäÏ ãÈÇј ÊãªیŸ یÇ ÍیÏÑ ö˜ÑÇÑ

ÇÓäÏ ˜Ñæ ÝÇØãÀ ˜ÿ ãÇÀ öÌÈیŸ Ñ

ÝÑÒäÏ äÀیŸ ÌÇäÏ یÀ ÇÊÑÇ Àÿ ÒãیŸ Ñ

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member
salam Mohib,

subhanAllah subhanAllah

yaqeenan sirf yehi do ashaar nahi hon gain. mukammal kalam ho tu meherbani say pora likhiyie. aur ho sakay tu likhnay walay ka naam bhi. kabhi hum ko hawala dena padh jaai, es liyie.

Maula [as] ajr ata karain aap ko. ameen

ws

Hisaar e Noor meri wossat e bayan mein nahi

kahan se laaoon ye quwat meri zubaan mein nahi

sana Ali ki karoon kya ke mein khuda na rasool

meri nazar ka guzar bazm e la makaan mein nahi

rasool se shab e mairaj jo hai mehv e qalam

vo mezbaan mein shamil hai mehmaan mein nahi

Ali ka baab mein hum se na behes kar waaiz

mere yaqeen ki manzil tere gumaan mein nahi

khuda se bas hai khuda ka habib mehv e qalam

qasam khuda ki koyi ghayr darmiyaan mein nahi

bhatak raha hai vo gumraahion ke sehra mein

jo ahl e bayt e mohammad ke caravan mein nahi

- Ali Mohammad Rizvi (Sachay bhai marhoom)

Edited by AliWala01
Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Jazak Allah Every one here....

Guzishtah Ash'aar kay liay yahaa'n click karai'n.

Meer Anees!

Shamma-e-Aiwan-e-Imamat

Umm ul Baneen s.a.

51

Ki Zoja-e-Muslim Nay Fida Apni Kama'ee

Baito'n Ko Raza Marnay Ki Zainab Nay Dila'ee

Sub Bibio'n Nay Daulat-e-Aulad Luta'ee

Qasim Thay So Maa'n Un Ki Unhai'n Nazar Ko La'ee

Ham Kis Say Kahai'n Chup Kay Kharay Rotay Hai'n Saf Mai'n

Amma'n To Madeenay Mai'n Hai'n, Baba Hai'n Najaf Mai'n

52

Shabbir Nay Maghmoom Jo Abbas Ko Paya

Ham-Shakl-e-Payambar Ko Isharay Say Bulaya

Ah'waal Jo Poocha To Yeh Akbar Nay Sunaya

Hay Abr-e-Alam Dil Pay Chacha Jan Kay Chaya

Kaam Aata Hay Run Mai'n To Khajal Hotay Hai'n Abbas

Daman-e-Alam Munh Pay Dharay Rotay Hai'n Abbas

53

Jis Waqt Say Naushaah Kah Lashah Hooa Pamaal

Us Waqt Say Hay Aap Kay Bhai Ka Ajab Haal

Chehra Hay Kabhi Zard, Kabhi Sabz, Kabhi Laal

Da'nto'n Mai'n Kabhi Ho'nt Kabhi Aankho'n Pay Romaal

Kehtay Hai'n Keh Ab Sooay Najaf Jaae'n Gay Abbas

Munh Raand Bhatiji Ko Na Dikhlae'n Gay Abbas

54

Hazrat Nay Kaha Sub Hay Yeh Saman-e-Juda'e

Tootay Gi Kamar Ham Say Bichar Jaay Ga Bha'e

Manzoor Tha Zaya Na Ho Baba Ki Kama'e

Kuch Un Ka Na Jaay Ga Hamari Ajal Aa'e

Bhai Kay Liay Dagh-e-Jigar Bhai Ka Gham Hay

Dhay'yan Apna Hay Un Ko Hamai'n Tan'haa'e Ka Gham Hay

55

Woh Chahtay Hai'n Johar-e-Sham'sheer Dikhae'n

Aanch Aaay Na Shabbir Pay, Ham Barchiya'n Khae'n

Khud Sina Sipar Ho Kay Baradar Ko Bachae'n

Ham Aah Kaha'n Say Jigar Is Tarah Ka Laae'n

Phir Kon Hay Maira Jo Woh Aalam Say Uthay Ga

Yeh Daagh To Piyaray Nah Kabhi Ham Say Uthay Ga

Allah Humma Sallay Alaa Muhammadin Wa Aalay Muhammad Wa Ajjil Faraja HumWa Laan Allah'hee Adaa Hum Ajma'een!

Edited by TheConvertedMomin
Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member

Vo jisko Marefat e Nafs e Mustafa hi nahi

Vo Deen e Haq ki Haqeeqat ko jaanta hi nahi

Vo jisne ajr e Risalat ada kiya hi nahi

hazaar sajday karay koyi fayida hi nahi

alam vo hazrat e Abbas ka uthaye hi kyun

Ke jismay haath katanay ka hosla hi nahi

Link to post
Share on other sites
 • Advanced Member
w/salam

ya Ali madad

maaf kijiye magar ye mukammal qalam nahi hai, jo chund sheyr yaad thay vo aapki khidmat mein pesh kardiye.

iss video mein tarannum ke saath ye qalam pesh kiya gaya hai

Sakhi Peer Moula Ali a.s., Madad!

Jazak Allah brother, Moula a.s., Salamat Rakhai'n, our aap ki tofiqaat mai'n izafa farmae'n, Elahi Ameen...!

Link to post
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.


×
×
 • Create New...