Jump to content
In the Name of God بسم الله

Recommended Posts

  • Advanced Member
Posted (edited)

Chandd din pehle Rawshni se Makalmay ka silsila shuru kiya tha jo Allah karam se bohat achcha chal raha hai

Suwaal to ziyada Jibran Haider, mein aur Angel hi karr rahay hein, magar aur logon, khas taur peh Ali_Imran ne barray khubsurat suwaal kiye

Umeed hai usee tareh is naye topic mein Bhaa Jibran Haider se bhi achay achay suwaal hongay, aur Urdu forum peh aanay waale apne apne hisab se suwaal karr ke hamm sabb ko is shakhs ke khyaalat se kuch jaankari hasil karne ka moqua denge

Edited by Aasee
  • Advanced Member
Posted

Aik suggestion agar samajh aaye to

Meyri raey mein:

Eik waqt mein 10 se ziyada suwaal na post kiye jaeyien.

Jibran Bhaa se request ye hai keh jawab jis qadr tafsili ho sakay dayn

Guest blessedflower
Posted (edited)

Aik suggestion agar samajh aaye to

(bismillah) (salam)

Woh kehte hain na, ''common sense is not so common.'' :!!!:

Edited by blessedflower
  • Advanced Member
Posted

(bismillah)

1. Minhaj Siraj kon tha?

2. Dr. Sayyed Abdullah ki wajh-e-shohrat kya hai?

3. Allama Niaz Fatehpuri baray kuch bataein

4. Ibne Batuta ziyada muwaqqar sayyah tha ya Marco Polo?

5. Abul Fazl aur Faizi, 'aalim thay ya dramaybaz

6. Bohat sarey log Ghazna ke Mahmud ko mehez eik qabaeli lutera gardante hein?

Aap ki nazar mein woh kya hai aur jo hai, kyun?

7. Ala al din jahansoz kon tha, aur uss ne kya kya jahansozi ki?

8. Mir Yaqut eik tarikhi shakhsiyat guzri hai. Inn hazrat ki wajshohrat kya thi? Tafsil se . . .

9. Hindustan ke kon se farmanrawa ne sab se Zille Ilaah aur Sahib-e-Quran ke alqab

ikhteyar kiye?

10. Aap ki raey mein kya kisi khatkar ka aise alqab ikhteyar karna jaez hai?

oo mery bhai

main jab yeh suggestion deta tha tu tub kya hota tha???

O meyre aththaiween [28th] ke chaad, unn interviews aur inn dialogues ka farq dekh . . . agar samajh aa sake to . . . :angel:

  • Advanced Member
Posted
O meyre aththaiween [28th] ke chaad, unn interviews aur inn dialogues ka farq dekh . . . agar samajh aa sake to .

aahoo

samajh gya hooon

bohat achi tarah sey

Posted (edited)
Chandd din pehle Rawshni se Makalmay ka silsila shuru kiya tha jo Allah karam se bohat achcha chal raha hai

Suwaal to ziyada Jibran Haider, mein aur Angel hi karr rahay hein, magar aur logon, khas taur peh Ali_Imran ne barray khubsurat suwaal kiye

Umeed hai usee tareh is naye topic mein Bhaa Jibran Haider se bhi achay achay suwaal hongay, aur Urdu forum peh aanay waale apne apne hisab se suwaal karr ke hamm sabb ko is shakhs ke khyaalat se kuch jaankari hasil karne ka moqua denge

Bohat achcha topic banaya hai, balkeh yeh kyuon naa keh doon, mein bhee inhee khutoot peh sochch rahee thee tumm baazi lay gaye

Iss banday say dialogue mein bohat maza aaye gaa

Allah karay saaray behen bhaee khoob "tikaa" kay mazay mazay kay sawaal daaghein . . .

Edited by Rawshni
Posted

Bismillah

1. Tumm b'aaz pehlu'on say, thaith Seraik ho. T'aaleem kay liye Welayat mein ho. Cultural

shock kaa kuchch tajrubeh hai? Tafseel say baat karrnaa . . .

2. Zimnann . . . Cultural shock . . . yahaan aa kay Urdudaani damm torre gayee . . .

Saqafatee yaa tehzeebi sadmeh kehnay say baat banntee hee naheen, mafhoom adaa

hotaa hee naheen . . . kyaa kehtay hain buzurgaan-e-deen beech iss mas'alay kay

3. "Al faqro fakhri" Mawla kaa barra mash'hoor qaul ha . . . kis faqr kee baat thee

aur woh ba'ess fakhr kis binaa peh hai

4. Shia-Sunni unity kaa bohat charcheh hai iss site peh. Tumhaaray khyaalaat iss baaray?

5. Munafeqat tumhaaray nazdeek kyaa hai?

6. Kyaa Pakistan kou atom bomb banaana chaahiyeh thaa?

7. Mein aksar kehtee hoon Pakistani establishment nay Pakistani awaam kou geo-political

claustrophobia mein mubtila karr rakhaa hai . . . tabsereh?

8. Taareekh apnay aap kou dohraatee hai, pehlee baar alamiyeh hotaa hai, doosree

baar bhaandpann . . . tumhaara kyaa khyaal hai?

9. Samaaj mein taharrak kee bunyaad kyaa hai? Tumhaara nazariyeh?

10. "Khaar-e-watan azz sunbul o rehaan khush tar" yeh haqiqat hai mehez jazbaati

roomaaniyat pasandee?

  • Veteran Member
Posted (edited)
Chandd din pehle Rawshni se Makalmay ka silsila shuru kiya tha jo Allah karam se bohat achcha chal raha hai

Suwaal to ziyada Jibran Haider, mein aur Angel hi karr rahay hein, magar aur logon, khas taur peh Ali_Imran ne barray khubsurat suwaal kiye

Umeed hai usee tareh is naye topic mein Bhaa Jibran Haider se bhi achay achay suwaal hongay, aur Urdu forum peh aanay waale apne apne hisab se suwaal karr ke hamm sabb ko is shakhs ke khyaalat se kuch jaankari hasil karne ka moqua denge

Ay lo. . .

Khuda ke banday ye kya kar rahay ho? Mujh se sawaal kar ke kya milnay waala hai aap ko? main tou ultaa aap se mukalma shroo' karnay waala tha. . .

Waisay bura phanssa hooN. Dekh lo logoun ne badlaa lenaa shroo' kar diya hai. Ab najaanay ye silsila kahaan jaa kar rukay. . . :unsure:

Ya Maula. . .khayr howay

aahoo

samajh gya hooon

bohat achi tarah sey

Haan Tajdar main bhi. . .mujhay to iss main koi Amreeki saazish lagti hai. hai na?

Allah karay saaray behen bhaee khoob "tikaa" kay mazay mazay kay sawaal daaghein . . .

lijiye sawaal 'karnay' kee bajaaye 'daghnay' kee baatain honee lageen. :(

Ehbaab ke tevar bataa rahay hain ke ye mukalmay se zyaada eik jaan levaa parchaa saabit hoga.

hath haula rakhiyo. . .bibbbbiiiii

Edited by Jibran Haider
Guest blessedflower
Posted (edited)
^

Bibbi Rehmat Gull

Aap to apne aap ko khasi wakhri tayp ki bandi pesh karti ho

(bismillah) (salam)

Ye ''Wakhri'' kiya hota hai? :unsure:

Jibran bhaee se aik sawal jo kaafi arse se dimagh main mandlaraha tha:

ye aapkai signature main . . .and those who husbanded the Golden Grain! jo typa hua hai iska kiya matlab hai? Woh kon hain ''who husbanded the golden grain''? Aur iske maani kiya hain?

Edited by blessedflower
  • Veteran Member
Posted

(bismillah)

Bhaiyya, iss se pehlay ke main kisi bhi sawaal ke javaab main apnee chonch hilaa'on, eik arzee sun lou.

[Mum says] Mujhe payda huye juma' juma' aath [8] din huye hain. Abhi ilm-o-adab se rooshanaas hona shroo' hua hoon. ma'aloomat sifar nahin to sifar ke aglay adad ke marhalay se zyaada nahin. Mujhe kisi bhi discipline main ba-shamool Adab-o-shay'eri aur khusoosan Taareekh aur Mazhab main zara see bhi mahaarat nahin.

Barray logoun se mukalmay ke dauraan dusray logoun aur mukhtalif mauzu'aat per baat kee jaatee hai jab ke aam taam insaanon se unhee ke baaray main. Lehaaza ye bataaiye ke iss mukaalmay kee theme kyaa honee chahiye? :unsure:

1. Minhaj Siraj kon tha?

Agar main poochoon ke Shah Abdullah kaun tha? tou aap ka kyaa javaab hoga? Kaunsa wala Shah Abdullah? Mistree Shah Abdullah jiss ne hamaara Rahimyarkhan wala makaan ta'ameer kya tha. Urdan ka maujooda baadshaha? Saudia ka maujooda Aamar? Abdullah Shah Ghazi ya koi aur?

Zara context banaao na baba. . kaheen to zehen thehray ke saheb kiss hazrat kee baat kar rahay hain.

Kaafi saaray Siraj yaad aa rahe hain. Ghaliban aap ka ishaara Minhaj Siraj Saheb-e-Tabqaat-e-Nasiri kee taraf tou nahin? Chengiz Khan ke daur main ghaliban ye Baghdad main tha. apnee zindagee ka beshtar hissa' iss ne rozee kee gharz se mukhtalif baadshahon aur hukumraanon ke dar per un kee khidmat karnay main guzaaree. Farigh waqt main idher udher [Junoob Asia aur Afghanistan waghera] ghoom phir kar mawaad ikattha kiya karta tha taakay kutub tehreer kar sakay. Iss se zyaada ma'aloom nahin bhaiyya. Aap mazeed jaantay hoN to kahiye na!

2. Dr. Sayyed Abdullah ki wajh-e-shohrat kya hai?

Sisso Rawsh ne ooper cultural shock ke zayl main Urdudani ke damm torrnay kee baat kee hai. tafseel woheen unhen javaab ke dauraan hazir karoon gaa. ishaaratan itna ke kya din thay wo jab main school main hota tha. farigh waqt hota tha. course kee kutub kabhi nahin parrheen magar un dinon Urdu adab buhat parrha. Tab hee kaheen eik aadh kitaab Dr. Sayyed Abdullah kee bhi parrhee ho. Saheeh se yaad nahin. Ab to ghaliban 5 saal se ooper honay ko aaya main ne Urdu kee siwaye eik do ke, koi bhi kitaab theek se nahin parrhee.

Dr. Abdullah kee koi khaas wajah-e-shohrat to yaad nahin aa rahee magar Urdu tanqeed main buhat barra naam hai. Pichlee sadee ke chand most influential aur giants main se eik hain. Maghribi andaaz-e-naqd-o-nazar ko desi tareeqon se mumaasil karnay ke ilaawa, tanqeed main nayee jehet mutaa'arif karaanay ke saath saath, hazrat ne buhat se mukhtalif mauzu'aat per kutub tehreer kee hain. Ghaliban nazm bhi kehtay thay. Wallahu 'Aalam.

3. Allama Niaz Fatehpuri baray kuch bataein

Pichlee sadee ke pehlay nisf' aur shroo' nisf daum main Urdu adab ka ehem naam hai. Nigar ke havaalay se issay jaanta hoon. sunaa hai buaht accha parrcha tha. Nigar main hee Bar-e-sagheer kee aazaadi se pehlay Arabi, Farsi, Urdu aur Taareekh-e-Islami per gehree nazar rakhnay walay eik hindu Malik Ram ne Khilafat-o-Imamat per Ghadeer ke mauqay per eik taareekhee mazmoon likha tha. Niaz Fatehpuri ne cchaap diya. Uss ke baad Sunniyon aur Shion main chall parree. taqreeban 2 saal tak harr maa koi na koi mazmoon likh maarta tha. meri nigah main, uss daur main masla-e-Khilafat-o-Imamat per wo eik buhat hee behtareen aur sood-mand behes thee. Shayed aap main se kisi kee nazar se guzree ho.

Niaz Fatehpuri ko eik tabqaa mulhid bhi kehta hai. Uss ke nazriyaat aam line se buhat mukhtalif thay. Mazhab main falsafa-e-m'ojazay se inkaar, aur kisi bhi mazhab bashamool Islam kee daagh bel dalnaa, usska tarraqee karna aur usska maujooda shakal main rehnaa, uss ke nazdeek kabhi bhi naqs se paak [flawless] nahin ho saktaa.

eik aur baat ye ke Niaz Fatehpuri ke saath "Allamah" likhnaa acchee khasee tohmat hai. waisay hee jaisay Dr. Iqbal ke saath Allamah likhna mazheqa khez hai, laikin ghaliban abb ye titles naam ka hissay bann gaye hain!

4. Ibne Batuta ziyada muwaqqar sayyah tha ya Marco Polo?

Marco Polo ne apne zyada tar safar [ya buhat saray safar] Kublai Khan ke sheh per usske paisay se eik emissary ke taur per kiye. Uske safaron ka daira buhat vaseeh hai magar Ibn-e-Batuta ke safaron se zyaada nahin, neez Ibn-e-Batuta ne ghaliban faqat eik safar [Hindustan se Cheen tak] Hukumatee ohday-daar ke taur per kiyaa thaa. Baqee sab khudd.

Iss baat per bhi jhagrra hai ke aaya Marco China tak gaya bhi tha ya nahin? Baazoun ko aisa lagta hai ke Uss ne wahaan tak k qissay bayaan kiye jahaan tak wo gayaa nahin. Ab ye baat kitnee durust hai kitnee nahin. Marco Polo khud jaanay ya Marco Polo ka khuda.

5. Abul Fazl aur Faizi, 'aalim thay ya dramaybaz

Dramaybaaz kiss havaalay se?

Parrhay likhay bhai thay. Uss daur ke mutaabiq un ka maskann kisi ilm dost hukumraan ka darbaar hee ho saktaa tha. 'Akbar nameh' se aaj hamain Akbar aur daur-e-akbari kee zyada tar ma'aloomaat Abul Fazl ke tufail miltee hain. Hukumraan ka dast-e-raas honay kee wajah se bias bhi jagah jagah milay ga. koi herat kee baat nahin.

Barra bhai Faizi shay'er honay ke saath saath part time mua'rrikh bhi thaa. Riyaazi per "Lilabati" likhee uss ne. iss ke saath saath Raja Todar Mall ke saath mil kar zameen maapnay ka aur hisaab kitaab ka jo tareeqa banaa gayaa, uss ke asraat aaj tak bar-e-sagheer ke patvaar system main maujood hain.

________

Bhaiyya, subah ke teen bajj rahay hain. aur Subh Uni ke liye jaldee nikalnaa hai. abhi itnay hee lo, baqyaa udhaar. . .javaabat ko jaldee jaldee expect na kijiye ga. aglaa hafta uni aur kaam per buhat hectic hoga. sou dheeraj rakhiyo.

Allah khush rakhe.

  • Advanced Member
Posted

(bismillah)

1. Aap ne Aasee Bhaee ko jawab detey huway khasey inkesar se kam liya hai. Inkesar shaksiyat ka hissa hai ya . . .

2. Dr. A. Q. Khan barra admi hai ya Professor Abdul Salam?

3. Rawshni Baaji waley makalmey mein aap ne kaha hai hai keh makalma unn ke khayalat o nazriyat jan ne ki koshish hai [shayad alfaz kuch mukhtalif hon] to Aasee ne agar aap ke khyalat nazariyat jan ne ki koshish ki hai to iss mein kya arrchan hai?

4. Talim mukamal honey ke foran b'ad Pakistan aa jaeyein ge ya bahar hi rehne ka irada hai?

5. Qadama ne char funoon-e-latifa pehchanwaey - mosisqi,shaeri, khitabat, aur khattati; raqs, sangtarashi, musavari waghaira ko kyun funoon-e-latifa mein shamil nahin samajhte they?

  • Advanced Member
Posted (edited)

Jaate jaate kuch suwaal aur:

6. Aap ko pata hai Rawshni Baji ko Farsi nahin aati. Aap ne Farsi adab baaray uss se thoke hisab se sawaal kiye hein. Kyun?

7. Neutrality kys hoti hai?

8. Zulm ke khilaf awaz na uthana bajey khud zul hai. Iss se ittefaq karte hein yaikhtelaf?

Tafsil se kahiye ga

9. Insan insan peh zulm kyun karta hai?

10. Samaj ya muashra kya hai. Kya ye b'zat-e-khud jabr aur zulm ka eik mazhar nahin?

Edited by chotibaaji
  • Advanced Member
Posted

jibran bhai sey chand sawalat

mery sawalat zara siyasi nauwiyat k hongy tu mind na kijjiye ga

lol

1.aisa mehsos hota hai k aap RAWSHNI khala sey ziyada hee maroob hain iss ki kya wajha hai?

2.kuch logon ka yahan khyal hai k RAWshni aur AASEE aik hee siky k doo rukh hain aap ka kya khyal hai?

3.kae jaghoon per yeh mehsos kiya gaya hai k aap RAWshni khala i haan main haan milaty hain? waqai?agar haan tu kyun?

4.SAIR__O__SALOOK ka kya matlab hai?

5.fav sport konsa hai?

6.wapisi kab hai?

7 mery liye aap ik cheese laa rhy thay yaad hai?

8.shiachat per time ...................???complete da sentence

9.koi zindagi ka mahoos tareen lamha bayan kijiye

  • Veteran Member
Posted
6. Bohat sarey log Ghazna ke Mahmud ko mehez eik qabaeli lutera gardante hein?

Aap ki nazar mein woh kya hai aur jo hai, kyun?

Afghaniyon ke liye wo hero hai, Hindustaniyon ke liye zaalim luteraa. Doosree baat ye ke uss kee shaksiyat ke gird Mussalmanon ne jo eik Islami Nooraani haala banaa rakha hai, wo saraasar ghalat hai. aur ye sirf Mehmud Ghaznavi ka hee qissa' nahin. Harr major Mussalman hukumraan ke gird, Muhammad bin Qasim se le kar Tipu Sultan tak, eik haala qaim kar diyaa gayaa hai jiss ki wajah se Mussalmaan hukumraanon ko buhat hee pohanchee cheez banaa kar pesh kiya jaata hai.

Eik taqbaa Ghazna ke Mehmud ko typical Mechavillian hukumraan gardaanta hai magar baat is se zaraa kucch "dungee" hai. Ghulaam, Subuktagain ke betay Mehmud ko eik chotee se sultanate virsay main milee. jo sultanate milee, na wo uss kee cheez thee aur na uss ke baap kee. Us ke baap se jitna hua uss ne kiya. betay se jitna hua, uss ne utnaa kiya. aur bhalaa kyaa kiya?. . .Apnee gaddee mazboot kee. harr havaalay se. chaahay uss ke liye kucch bhi kyun na karnaa paray. aur phir agar aisa hukumraan aql-o-khirad ka thorra buhat maada rakhta hai aur siyaasee samajh boojh se kaam layta hai tou apnee sultanate ko kisi hadd tak kaamyaab [faqat siyaasi havaalay se] aur mazboot banaa sakta hai.

Mehmud Ghaznavi ke Ghazni ke baahar saray hamlay bashamool Hind per hamlon ke, sab apnee sultanate ko mazboot karnay, revenue ikhatta karnay, naqshay per zyada se zyaada ilaaqon per apnaa naam likha dekhnay kee khwaahish thee na ke iss ke peechay ko aur muharrakaat thay. Ab museebat ye hai ke [sunni] Mussalmaan bhi to hai aur Jehad ka aala bhi haath main hai. so ye aala iste'maal kiya gayaa. bayeena usee tarah jaisay Saddam ne Kuwait aur Iran main "Jehad" kiya tha aur Filisteen main jehad kee baatain kia karta tha. [saddami Jehad kee baatain to yaad hain na?].

Puraanay zamaanay ke zyada tar Mussalmaan aamaron kee eik khaas baat ye thee ke Ilm-e-adab kee parvarish zuroor kartay thay. Qartaba ke ayyashon ne bhi apne aas paas barray barray Mua'rrakh aur fayalsuf jama' kar rakhay thay. Balaad-e-Islamiyah aur Europe ke chandd mash'hoor kutub khanon main se chand barray kutub khanay woheen thay. Un ke baad ye tradition Faras, Aghan aur Hindustan kee Muslim saltanaton main chaltee rahee. . .khayr. . .tou Ghaznavi bhi ilm-o-adab per buhat paisa kharch kiya. Firdausi, Behaqi aur Al-Beruni waghera uss ke darbaar main aaya jaaya kartay thay.

Jab Mehmud Ghaznavi ke marnay ka waqt qareeb aaya aur ussay andaza ho gaya ke ab payaam aya ke aaya, tou uss ne apne bayt-ul-maal kee ek ek ashrafee barray maidaan main jamaa karaayee, sara khazana eik jagah pile up kiya. dekh kar royaa aur barra royaa. . .ke itna sabb kucch hai meray pass aur jab maroon ga tou kucch bhi saath le kar nahin jaa sakoon gaa. [maaf kijiye gaa fil-waqt havaala senay se qaasir hoon]

Ooper kee chand baaton se ghaliban aap ko iss sawaal ka javaab mil gaya hoga ke Ghazna ka Mehmud meri nigah main kya hai aur kyun hai?. . .aur sha'yed tafseel se!

7. Ala al din jahansoz kon tha, aur uss ne kya kya jahansozi ki?

Iss sawaal ke saath bhi wohee masalaa hai jo 'Shah Abdullah kaun hai' waalay sawaal ke saath ho saktaa hai.

Jahaan tak meri yaad'dasht kaam kartee hai, ye naam ghaliban kisi Farsi speaking hukumraan ka hai jiss ne idher udher jangain kar ke kaafee jaghen fatah kar ke jalaayee hongee. . .Ghaliban Afghan-o-Hind main Ghauri line ke kisi farmaa-ravaan ka naam hai. aur kucch bhi ma'aloom nahin. aap ko khabar ho to bataaiye ga.

8. Mir Yaqut eik tarikhi shakhsiyat guzri hai. Inn hazrat ki wajshohrat kya thi? Tafsil se . . .

Oh teri khayr. . .

Chunn chunn ke taaq-e-nisyaan se naam laaye ho bhaiyya. Ab mujhe kyaa ma'aloom ke Mir Yaqut kaun tha aur uss kee wajh-e-sohrat kyaa hai? Main faqat do Yaquton ko thorra buhat jaanta hoon. Eik wo nageena jissay angootee main jarra jaata hai aur doosra wo Turk Calligrapher, Yaqut Al-Musta'asmi, jiss ne fan-e-khattaatee kee buhat khidmat kee.

Ye waala kaunsa Yaqut hai?

9. Hindustan ke kon se farmanrawa ne sab se Zille Ilaah aur Sahib-e-Quran ke alqab ikhteyar kiye?

Arab main to nahin magar balaad-e-Farasi main ye rawaayat buhat chalee. Harr doosree hukumraan ke saath iss qisam kee lambay chorray khitaabaat aur pata nahin kya kya likhay aur parrhay jaatay thay. Mughlon ne buhat iste'maal karwaaye. Ghaliban sab se zyada Akbar ne. Sure nahin hoon.

10. Aap ki raey mein kya kisi khatkar ka aise alqab ikhteyar karna jaez hai?

Bhalaa bandaa wo banay hee kyun ke jo wo nah ho? aur agar bantaa hai tou saraasar na-insaafi karta hai. aur naa-insafi kisi soorat ja'iz nahin. Gher-ikhlaaqee harkat hai. buree baat hai.

Doosree baat ye ke mazhabi havaalay se main nahin samajhta ke ye koi buhat barra masala hai kyun ke aisay hukumraan ya shaksiyaten jab apne aap ko sahib-e-quran aur fakhar-e-Islam kehlwaa rahay thay, tab wo apne liye be-khatayee ka da'va nahin kar rahay thay. Aur waisay bhi maghrib ho ya mashriq jo bhi barre seat per beth;ta tha "defender of the faith" bann jaata tha. Wallahu 'Aalam.

  • Veteran Member
Posted
mashallah yahaan per khoob badlay utaray ja rahay hain... :!!!:

kuch sawaal mae bhi poochna chah rahi hoon.

.ijazat hai :Hijabi:

^

Khulee ketchehri lagee hai. koi kucch bhi keh pooch saktaa hai. Mujh ghareeb ko ijaazat denay ya na denay ka ikhtiyaar kiss ne diya. . . :blush:

Lahoul parrh kar Bismillah karo.

  • Advanced Member
Posted
^

Khulee ketchehri lagee hai. koi kucch bhi keh pooch saktaa hai. Mujh ghareeb ko ijaazat denay ya na denay ka ikhtiyaar kiss ne diya. . . :blush:

lainay kay dainay parh gaye hain.. :P

^

Lahoul parrh kar Bismillah karo.

:angel:

Guest blessedflower
Posted

Bicharai ko saans to laylenai do bhaee..itnai sarai sawal kiye hain usko pata naheen kahan se shuru karai jawab dena. Ab itni mohlat to exams main bhi dee jati hai...tsk tsk.

Bhaee Jibran, good luck answering these questions. :D

Posted (edited)

Chall Allah, tayree yaaree

1. N'emat Ullah Wali baaray kyaa bataa sakktay ho?

2. Wali, ghauth, qutb, abdal, qalandar, mahboob-e-zaat -- kyaa aata hai zehen mein?

Jo darjeh bandyaan hein, inn kee hudood kyaa hein?

3. Salik kaun hotaa hai. Oopar waalay mein sawaal jo darajat likhay hein, salik iss tarteeb-e-maratib mein mussalimeh darjeh kyoun naheen, iss silsilay mein apna nazaryeh bayaan karo.

4. Rabiah Basri kay mut'aleq eik qisseh bohat mash'hoor hai. Ishaareh samajh rahay ho tou bayan karo, aur b'ad azz bayaan haam naqis faham waaloun kay liye tashreeh bhee?

5. Mawlavi kehtaa hai "Mawlavi hargiz Mawlaa-e-Rum na bantaa agar woh Tabraizi kaa ghulaam naa hotaa" Iqbal Sialkotee eik jageh kehtaa hai "Woh eik sajdeh jo daytaa hai hazaar sajdoun say najaat" Mawlaaiyyat aur mukti kay liye ghulaamee kyoun?

6.

äÏ ÓæÒی ÎæیÔÊä ÑÇ ÔãÓö ÊÈÑیÒی ÒÚÔÞ

ãÇæÑÇی ÓæÎÊä ˜ÇÑی äãیÏÇäã æ ÔãÚ

Maa varaa-e-sookhtankaari???

7.

ã˜Çäã áÇ ã˜Çä ÈÇ ÔÏ äÔÇäã Èی äÔÇä ÈÇÔÏ

äÀ Êä ÈÇ ÔÏ äÀ ÌÇä ÈÇÔÏ ˜À ãä ÇÒ ÌÇäö ÌÇäÇäã

Mann azz Oo? Wa hameh azz Oo? Oo hameh? Wa mann hameh? Oo b'zaat-e-manam Khud ra numayad? Che goyeim jaan-e-khwaher?

Mawlavi mohtaram, Mansoor Mat'oon o M'atoob?

Che goyeim?

8. Allah nay Malaekah say kaha "Jo mayn jaantaa hoon tumm naheen jaantay" Khidr nay Musa say kaha "Jo mayn jaantaa hoon tumm naheen jaantay" Raanjhay kou jaan naa aur Raanjha ho jaanay mein fassleh kyaa hai? Tumhaaree nazar mein?

9. Khoda Khwahee aur Khodagaahee mein farq?

10. Mayn paagal keh tumm? Keh donoun? Dalael o baraheen qaat'e say wazeh karo

Edited by Rawshni
  • Veteran Member
Posted (edited)
1. Tumm b'aaz pehlu'on say, thaith Seraik ho. T'aaleem kay liye Welayat mein ho. Cultural shock kaa kuchch tajrubeh hai? Tafseel say baat karrnaa . . .

Jaisa ke aap ko ‘ilm hai ke main pasmaanda Seraik ke eik chotay se gaaon se ta’aluq rakhta hoon. Saree umr woheen rahaa, aur zurooratan saath walay sheher main ta’aleem hasil kee. Eik lehaaz se sab se pehla Cultural Shock, agar issay keh saktay hain tou, Rahimyarkhan se Lahore aa kar lagaa. Us shifting se pehlay kisi barray sheher se kisi qisam ka koi wabastagee na thee. Laikin insaan jahaan jaa kar rehnay lagta hai, dheeray dheeray us mua’shray kee buhat see cheezain sha’ooree-o-laa sha’ooree taur peh apne mizaaj main jazb kar layta hai. Pakistan se Bartaniya aa kar bhi mere saath kucch aisa hee hua.

Wo tamaam qadaren, ehmiyaten, rawaayaat, hamaaree saqaafat kee hissiyaat aur jamaaliyat jissay hamm kaafee hadd tak mazhab se relate kartay hain, Bartaaniya aa kar eik imtehaan se guzarnay lageen. Balkeh yoon kahoon ke behtar hoga ke meray falsafay aur priorities ka imtehaan shroo’ ho gayaa.

Main kisi bhi hamm-aahangee ya farq ko dekhnay ke ba’ad hans kar be-dheyani se pass-pusht nahin daalta. Nateeja ye niklaa ke Welaayat ke mua’ashray aur apne mu’ashray main la-sha’ooree taqaabul karnay lagaa. Kucch baatain achee lageen, kuch sakht buree.

Yahaan ka media [electronic and printed] yahaan ke awaam ke andaaz aur rehen sehen ka sab se barra tarjuman hai. Isee se yahaan ke murrawwajja qadaron ka andaaza hua hai. Doosra masdar awaam-un-naas se baraah-e-raast raabta hai.

Mujhe jiss cheez ne sab se zyada pareshaan kiya, wo yahaan ke logon ka nangaa pann hai. Ye buhat arsay tak hazam nahin ho sakaa. Hua to kher ab bhi nahin magarr koi cheez musalsal dekhtay aur tajribah kartay rahen to aadat ho jaatee hai shayed. Mere mamoon, jo haal hee main Pakistan shift huye hain, wo kehtay hain ke yahaan rehnay ke liye banday ko thorra buaht baygherat ban’na parta hai. Warna kaam nahin chalta.

Paid, locked aur subscribed channels per jitna porn dikhayen inkee marzee. Magar Analogue signal rakhnay walay on air free National TV Channels per harr acchay buray, shareef razeel, chotay barray, bacchay boorrhay, mard aur aurat ko jo jo in ke channel feed kar rahay hain wo meri samajh se baahar hai.

Yahaan pooray bartaniya main Sports ke naam se eik Daily Tabloid chapphta hai jo harr dukaan per harr chotay barray ke liye maujood hai. Iss sprorts naam ke akhbaar main [agar akhbaar keh saken tou] khalis porn chapphta hai.

Zimnan, ITV aur BBC per in ke talk shows aatay hain. Haftay main do chaar aa hee jaatay hain. Faarigh auqaat main kafee dekhay hain. Uss platform per buhat loug aa kar apne masa’il pesh kartay hain aur audience se mashwara chahtay hain. Un tamaam masa’il ka 80 % hissa’ sex, cheating, girlfriend boyfriend, break ups per mushtamil hota hai. Picchlay dinon eik 40 saala aurat apne 20 saala betay ke saath logoun kee malaamat ka javaab denay iss gharz se TV per aayee ke agar wo apne sagay betay se sex kartee hai, aur agar ussay aur uss ke betay aur uss ke partner ko koi aitaraaz nahin hai, aur agar wo kisi ko nuqsaan nahin pohancha rahay, tou logoun ko kya museebat hai ke wo private ma’amlay main taang arraayen? Baqaul uss aurat ke aisay loug immoral hain.

Jism, faqat eik jism hai. Jaanvaron kee hadd tak. Wa bass! Iss se zyada kucch ehem nahin hai. Agar in logoun kee Siyasee falsafay kee bunyaad J.S.Mill per qaaim hai to in ke tehzeebee aur nafsiyaatee falsafay kee bunyaad bila shak-o-shuba Fruedian falsafa hai, jiss ke mutaabiq harr insaan ka ultimate incentive yahee hai.

Isee ke ziman main, yahaan ke logoun ka akela pann aur tanhaayee. Aksar kee koi family nahin hai. 6th. 7th ya 8th partner ke aaj kall reh rahay hain. Wo bhi naa ma’aloom kiss samay chorr kar chalta banay. Isee tarah ke aur buhat se ma’amaalat.

Doosra ye ke logoun kee eik barre ta’adaad yahaan baykaaree ke masalay se do-chaar hai. Karnay ko koi kaam nahin. Ya to haftay main 2 din kaam kar ke itna kamaa laytay hain ke aasaani se kharch chalaa laytay hain ya phir hukoomat paaltee hai. Aisay logoun ka eik hee shugal hai. Yaa to harr rouz shaam ka intazaar karna aur group ke saath baahar jaa kar sharaab noshee karna aur kisi night club main beth kar kisi ko hook karna taakay raat guzaaree jaa sakay ya phir koi aisa kaam karna jiss per aql mehv-e-tamaasha-e-lab-e-baam reh jaaye. Yahaan mere house mate Robert ka yahee shugal hai. Dyslexic hai so hukoomat paal rahee hai. Aur iss ke pass karnay ko kucch bhi nahin.

Ooper kee baatain iss masalay per broad tabsareh to qat’an nahin hain. Magar main ne wo chand baatain highlight kar deen jo ke, mere liye, Pakistan se iss mua’ashray main aa kar, in ke life style, priorities aur umoomee ravish dekh kar eik accha khaasa shock tha. .aur aaj bhi hai. . .neez. . .ye baatain door beth kar in ke mua'ashray ka muta'laa karnay ya kisi do chaar din ke short visit se samajh nahin aateen.

2. Zimnann . . . Cultural shock . . . yahaan aa kay Urdudaani damm torre gayee . . .

Saqafatee yaa tehzeebi sadmeh kehnay say baat banntee hee naheen, mafhoom adaa

hotaa hee naheen . . . kyaa kehtay hain buzurgaan-e-deen beech iss mas'alay kay

Buzurgaan-e-deen ka to Allah ko pataa magar cultural shock ke saath zabaan ke masalay bhi, ghaliban eik hadd tak, sab ke liye namoodaar hotay hain. Zabaan ka barrier meri nigaah main buaht barra barrier hai.

Yahaan eik Jhang kee family hai. Bacchay yahaan kee paydaish hain. Maan jhang kee dehaatann hai. Aaj 35 baras yahaan guzaar kar bhi eik lafz angrezi ka nahin bol saktee siwaye Hello aur Bye ke. Uss ke bachon ko Punjabi [ya jhangee] ya Urdu waghera nahin aatee. Bacchay maan se communicate nahin kar saktay. Baap ke zariye kaam chalta hai. Kya ajeeb baat hai na?

Edited by Jibran Haider
Posted
Afghaniyon ke liye wo hero hai, Hindustaniyon ke liye zaalim luteraa. Doosree baat ye ke uss kee shaksiyat ke gird Mussalmanon ne jo eik Islami Nooraani haala banaa rakha hai, wo saraasar ghalat hai. aur ye sirf Mehmud Ghaznavi ka hee qissa' nahin. Harr major Mussalman hukumraan ke gird, Muhammad bin Qasim se le kar Tipu Sultan tak, eik haala qaim kar diyaa gayaa hai jiss ki wajah se Mussalmaan hukumraanon ko buhat hee pohanchee cheez banaa kar pesh kiya jaata hai.

Eik taqbaa Ghazna ke Mehmud ko typical Mechavillian hukumraan gardaanta hai magar baat is se zaraa kucch "dungee" hai. Ghulaam, Subuktagain ke betay Mehmud ko eik chotee se sultanate virsay main milee. jo sultanate milee, na wo uss kee cheez thee aur na uss ke baap kee. Us ke baap se jitna hua uss ne kiya. betay se jitna hua, uss ne utnaa kiya. aur bhalaa kyaa kiya?. . .Apnee gaddee mazboot kee. harr havaalay se. chaahay uss ke liye kucch bhi kyun na karnaa paray. aur phir agar aisa hukumraan aql-o-khirad ka thorra buhat maada rakhta hai aur siyaasee samajh boojh se kaam layta hai tou apnee sultanate ko kisi hadd tak kaamyaab [faqat siyaasi havaalay se] aur mazboot banaa sakta hai.

Mehmud Ghaznavi ke Ghazni ke baahar saray hamlay bashamool Hind per hamlon ke, sab apnee sultanate ko mazboot karnay, revenue ikhatta karnay, naqshay per zyada se zyaada ilaaqon per apnaa naam likha dekhnay kee khwaahish thee na ke iss ke peechay ko aur muharrakaat thay. Ab museebat ye hai ke [sunni] Mussalmaan bhi to hai aur Jehad ka aala bhi haath main hai. so ye aala iste'maal kiya gayaa. bayeena usee tarah jaisay Saddam ne Kuwait aur Iran main "Jehad" kiya tha aur Filisteen main jehad kee baatain kia karta tha. [saddami Jehad kee baatain to yaad hain na?].

Puraanay zamaanay ke zyada tar Mussalmaan aamaron kee eik khaas baat ye thee ke Ilm-e-adab kee parvarish zuroor kartay thay. Qartaba ke ayyashon ne bhi apne aas paas barray barray Mua'rrakh aur fayalsuf jama' kar rakhay thay. Balaad-e-Islamiyah aur Europe ke chandd mash'hoor kutub khanon main se chand barray kutub khanay woheen thay. Un ke baad ye tradition Faras, Aghan aur Hindustan kee Muslim saltanaton main chaltee rahee. . .khayr. . .tou Ghaznavi bhi ilm-o-adab per buhat paisa kharch kiya. Firdausi, Behaqi aur Al-Beruni waghera uss ke darbaar main aaya jaaya kartay thay.

Jab Mehmud Ghaznavi ke marnay ka waqt qareeb aaya aur ussay andaza ho gaya ke ab payaam aya ke aaya, tou uss ne apne bayt-ul-maal kee ek ek ashrafee barray maidaan main jamaa karaayee, sara khazana eik jagah pile up kiya. dekh kar royaa aur barra royaa. . .ke itna sabb kucch hai meray pass aur jab maroon ga tou kucch bhi saath le kar nahin jaa sakoon gaa. [maaf kijiye gaa fil-waqt havaala senay se qaasir hoon]

Ooper kee chand baaton se ghaliban aap ko iss sawaal ka javaab mil gaya hoga ke Ghazna ka Mehmud meri nigah main kya hai aur kyun hai?. . .aur sha'yed tafseel se!

Iss sawaal ke saath bhi wohee masalaa hai jo 'Shah Abdullah kaun hai' waalay sawaal ke saath ho saktaa hai.

Dakait?

Jahaan tak meri yaad'dasht kaam kartee hai, ye naam ghaliban kisi Farsi speaking hukumraan ka hai jiss ne idher udher jangain kar ke kaafee jaghen fatah kar ke jalaayee hongee. . .Ghaliban Afghan-o-Hind main Ghauri line ke kisi farmaa-ravaan ka naam hai. aur kucch bhi ma'aloom nahin. aap ko khabar ho to bataaiye ga.

Khiljiyoun mein say thaa

Oh teri khayr. . .

Chunn chunn ke taaq-e-nisyaan se naam laaye ho bhaiyya. Ab mujhe kyaa ma'aloom ke Mir Yaqut kaun tha aur uss kee wajh-e-sohrat kyaa hai? Main faqat do Yaquton ko thorra buhat jaanta hoon. Eik wo nageena jissay angootee main jarra jaata hai aur doosra wo Turk Calligrapher, Yaqut Al-Musta'asmi, jiss ne fan-e-khattaatee kee buhat khidmat kee.

Ye waala kaunsa Yaqut hai?

Razia Sultan kaa shohar thaa

Posted

^

Uss kaa paaswoed dilaa dou tou uss kay accopunt say login ho aaye karoon gee; bohat soun kou thandd parr jaaye gee . . .

Bar sabeel-e-tazkireh; Aasee kay yaa kiee kay bhee kiye huway swalaat par doosroun kou tabsareh karrnaa mamn'oo hai kyaa?

^

{aap ke do aasaan sawaal handaaye hain. baqe aglay dinon main nimtaaon gaa. abhi issay buhat samjhiye}

Jawan mundyaan day haal waikho zara . . .

Mayn budhdhee ammaan . . .

  • Advanced Member
Posted

Arey Arey yeh Mukalmaa kab shuru ho gaya

hmmm!

Intelectual bhiraa se...

main b sawal poochtaa hoon abhi....

Suwaal to ziyada Jibran Haider, mein aur Angel hi karr rahay hein, magar aur logon, khas taur peh Ali_Imran ne barray khubsurat suwaal

:mad:

oyee taayaa

jo main ne itney sawal poochhay woh kisi kHatey main he nahi??

  • Advanced Member
Posted

Shabb-e-Eid ka Guldasta

1. Josh Malihababdi ne Hitler ki shan mein nazmein kahin? Kya ye achi bat thi?

2. Chillianwala ka kya qiaa tha?.

3. “Aseen aan Meer Mannon Jaan day soay, utton utton laaprray haiththoun doon sawaanay haoy” Yeh kon loug apnay mutaliq kehte the?

4. Najam ul Hasan Syed ki Takht L’hore parhi hai?

5. Zaigham Hussain Naqvi al Bhakrri ka kam nazar se guzra hai?

6. Dr. Mubarak Ali ko aik khas tabqay mein kaafi qadr ki nigah se dekha jata hai. Pakistani tarikh aur samaj baray inn ke nazaryaat se muttafiq ho?

7. Pakistan bann ne ke forann b’ad markaz mein Muslim League ki hukumat nay Sarhad mein Dr. Khan Sahib ki hukumat ko bila jawaz bartarf kar diya diya tha. Tumharay khayal mein iss bat ka Pushtun qaumparasti say koyi nata hai?

8. 1933 mein Germany kay intekhabaat mein National Socialist [Nazi] Party aksariyyat lay kar bar sar-e-iqtidar aye thi. 1946 ke Hindustan ke intekhabaat mein judagana tareeq-e-entekhaab kay zareeay Muslim League musulmaanoun kee numainda jamat kay taur peh saamnay aayi. Kyaa yeh donon partyaan fascist nahin thin?

9. Dulla Bhatti aur Ahmad Kharal baray kya kaho ge?

10. Dosso Case kya tha?

Arey Arey yeh Mukalmaa kab shuru ho gaya

hmmm!

Intelectual bhiraa se...

main b sawal poochtaa hoon abhi....

Suwaal to ziyada Jibran Haider, mein aur Angel hi karr rahay hein, magar aur logon, khas taur peh Ali_Imran ne barray khubsurat suwaal

:mad:

oyee taayaa

jo main ne itney sawal poochhay woh kisi kHatey main he nahi??

Hum Kazmi tum Naqviyoun kay daaday laggtay hain, taaye nahin

Ali_Imran baahar kaa aadmi hai . . . Urdu forum mein ziyada active nahin siwai uss eik topic mein . . . aur suwaal uss ke khase teekhe tekhe the

  • Veteran Member
Posted
3. "Al faqro fakhri" Mawla kaa barra mash'hoor qaul ha . . . kis faqr kee baat thee

aur woh ba'ess fakhr kis binaa peh hai

Meri kyaa majaal ke uss faqr baaray labb kushaayee karoon jissay Mawla ne apnee liye fakhr qaraar diya. Uss qaul kee kya azmat, uss kee kaisee riff’at jo Mawla-e-kainaat ke dehen se nikla. Issay to pooree tarah se Khuda jaan sakta hai ya khud hazrat. Bass faqat itna hee ke ye faqr, asl-e-wujood-e-Hazrat hai. Ye wo be-niyaazi hai, wo qalandaree hai, aisee darwaeshi hai jo sirf aur sirf iss jahaan-e-faani ko teen talaaqen de kar hee hasil kee jaa saktee hai. Kiss main itna damm hai ke iss dunia ko teen talaaqen de de?

Ye amar hai apnee zaat ko iss dunia aur iskee chashniyon ke muqablay main markaz-e-awwal-o-aakhir banaa lenay ka aur wo zaat jo markez banay, iss jahaan-e-fani main zaahiri wujood aur adam wujood har dou main Baari ta’ala ke huzoor ghutnay tayk kar sar jhukaa kar, apne aap ko ghulami main pesh kar ke, harr shay se aazaad ho jaatee hai. aur faqat aisee hee zaat mazkaz bann saktee hai.

4. Shia-Sunni unity kaa bohat charcheh hai iss site peh. Tumhaaray khyaalaat iss baaray?

Main iss baat qaa’il nahin hoon ke Imam-e-zamaana ke zahoor se pehlay Mussalmanon ke mukhtalif masaalik main kisi qisam kee durust aur dayr-paa reconciliation ho saktee hai. Ye Shia-Sunni masala, apnee awwaleen shakl main hayaat-e-risaalat maab main bhi maujood tha aur taa-Mehdi rahe ga.

Meri lughat main Shia-Sunni Unity ka eik hee mafhoom hai aur wo saaday alfaaz main ye hai ke “jiyo aur jeenay do”. Zyada ehem wo rawwaiyyah hai, jo aai’ma-e-ahl-e-bait khusoosan Baqir-al-‘uloom aur Sadiq-e-aal-e-Muhammad ne zulmat kee ghataaon ke kucch thamm jaanay ke dinon main apne muhibbeen ko parrhayaa wa bass!

Practically speaking, mere Dahir khandaan aur khusoosan baraadari ke andar 80 % dadhyaal Sunni hai [kucch Wahhabi bhi hain] aur harr do [ya teen] masaalik ke ta’aluqaat misaalee hain. Dono fareeqain main mazhabi afraad maujood hain magar ta’assub ya kisi qisam kee koi anti-other baat nahin hai. Har koi apne hisaab se jeeta hai aur eik multi-sectarian Muslim mua’ashray main yahi maqsood hai aur is se zyada kisi shay kee zuroorat bhi nahin.

5. Munafeqat tumhaaray nazdeek kyaa hai?

Agar dahhar ka har shaks apnee zeest main eik baar ye faisla kare ke wo, har wo baat, khayaal, jazba, ehsaas, lamhaa, daqeeqa aur ilhaam raqam karay ga jo uss ke dil main kisi bhi doosray shaksh, chaahay wo walidain, shauhar/biwi, aulaad, koi aur qareebee rishta daar ya dost hee kyun na ho aur har uss cheez ke muta’aliq jo sochta hai man-o-ann eik kitaab ya mussawwaday kee shakl main likh daygaa aur uss kitaab ke muta’alay ka harr khaas-o-aam ko da’avat degaa. . .tou. . .nateejatan, na khaandaan rahega, na mua’ashra, na dostiyaan, na rafaaqatan, na mehfilen. . .eik weeraana hoga aur abtaree. Eik fasaad hoga aur badd-gumaani. Eik azaab hoga aur charcha-e-raaz haaye nehaani.

Har insaan ke dil ke daroon kaheen eik aisa pausheeda hissa [private corner] hota hai jissay wo apne aap se bhi chupaata hai aur agar kabhi jo uss pausheeda hissay kee saakht per nazar par jaye, wahaan se uthnay walee sadaaon ko la-sha’oor main sun le, eik lamhay ko kabhi kaheen koi ehsaas sadaa-e-hatif-e-ghaybi kee tarah uss kee apnee sama’aton main goonjay to wo pareshaan ho jaata hai. Andar hee andar apne aap se nazren churaata hai aur jo ho sakta hai karta hai. Astaghfaar issay ke liye hai. Kisi aur shay ke liye nahin.

Mutazkara baala amar aur ‘amal insaani mizaaj ke andar ghundhee huyee munafaqat kee sab se raw shakl hai jo elevate ho kar, iss jahaan main, mukhtalif rawwaiyon main zaahir ho kar, deegar shaklon main mujjassam ho kar buhat see cheezon ko apnee lapait main le laytee hai aur fasaad kee bunyad saabit hotee hai. Iss haqeeqat se kisi soorat inkaar mumkin nahin. Aur ye bhi kehta jaaon ke insaan iss qudartee amar per kisi hadd qaaboo tou paa sakta hai magar chutkaara nahin.

^ mushaarunn alayeh per zara ghour farmaanay kee guzaarish hai. Ye eik trivial khayaal nahin hai.

6. Kyaa Pakistan kou atom bomb banaana chaahiyeh thaa?

Atom bomb banaanay ka amal khud atom bomb ke kaam karnay se qadray mumaasil hai. Eik atom bomb banaa to chain reaction shroo’ ho gayaa aur wo tab tak nahin ruktaa jab tak mukammal na ho jaaye i.e.; mukammal tabaahee aur barbaadee na phayla de.. Iss dunia main buhat son kee buhat son se barree sakht dushmaniyan hain, aur ye baat jaantay huye bhi jiss insaan dushman zina zaday ne pehla atom bomb banaaya meri nigah main wo apnee amman ka yaar tha aur uss ke baad jo jo banaa rahe hain, unhen majbooran zina zadon ke halqon main shamil hona parr rahaa hai. Buhat hee afsosnaak situation hai ye. . .

7. Mein aksar kehtee hoon Pakistani establishment nay Pakistani awaam kou geo-political claustrophobia mein mubtila karr rakhaa hai . . . tabsereh?

Aap ne Nicolo Michiavelli kee “The Prince” parrhee hogee. Uss main Borgia ne Agathocles ke bar-aks jiss tarz-e-amal se kaam liya aur jo tareeq kaar apnaaya Pakistani establishment ko bhi mumlikat ke “intazaam-o-insaraam” ke liye wohee karnaa parr rahaa hai. Nateejah wohee hai. Borgia aur Pakistani siyasat-daan eik shatranj kee chaal chall kar fareeq ke Bishop [ya Mullah] aur ghoray dono ko giraana chahtay hain taakay awaam ke sar per, unkee raftaar kamm kar ke kisi doosray fareeq kee adam-maujoodgee main mandlaa saken.

8. Taareekh apnay aap kou dohraatee hai, pehlee baar alamiyeh hotaa hai, doosree baar bhaandpann . . . tumhaara kyaa khyaal hai?

Taareekh apne aap ko nahin dohratee. Insaan taareekh ko dohrata hai. Aur insaan bhi taareekh ko nahin dohraata. Yoon hota hai ke mushabeh asbaab-o-allal kee maujoodgee main insaan basa auqaat mushabeh illat-e-ghayee ke sabab muwaafaq nataaij kee daurr main maazi se kucch milta julta kar jaata hai wa bass.

Lehaza jab bhi taareekh ko dohraanay kee baat ho. Jiss waqiyeh ko “taareekh doharana” kahaa ja raha hai wo bhaandpann ho hee hoga. . .

Tareekh main honay waala harr ‘amal, amar, harkat, jumbish, ravish, andaaza, qadam, hamlaa, muhabbat, min jumlaa, khaas hai.

9. Samaaj mein taharrak kee bunyaad kyaa hai? Tumhaara nazariyeh?

Taharrak ka sab se barra aur ehem masdar [ya ‘maayee baap’] daroon-e-zehen tehreek hai jiss ki aglee manzil bairoon-e-zehen awaamil ko muta’asir kar ke kisi behtaree kee daagh bayl daalna hai. Jo loug rah-e-gher-raast per chalnay kee baatain kartay hain pehlay ye saabit karen ke hamm kam az kam, chall rahay hain!. . .

Ijmaalan tarz-e-deegar se arz karoon tou, eik zehen jama eik, ya’ani dou jama mazeed eik, ya’ani teen aur jama’ per jama’ ya’ani afraad se tashkeel paanay waala mua’shray aur samaaj main taharrak ki bunyaad apnee hudood kee shanaakht aur apne zehnee [ya aqlee] aur jismani [ya zakhair] kee pehchaan aur unka bar-haq aur durust iste’maal jo ke faqat aur faqat insaaf kee bunyaad per hota hai [insaf sirf adalat ka insaaf nahin]. Ye amal fard se shroo' hota hai. jumla afraad ya tanzeem se nahin.

10. "Khaar-e-watan azz sunbul o rehaan khush tar" yeh haqiqat hai mehez jazbaati

roomaaniyat pasandee?

Kucch afraad ka jitna qadd baahar nazar aata hai utnaa hee zameen ke andar hota hai [ main iss misaal ko manfee connotations main iste’maal nahin kar raha]. Aisay afraad ke liye “khaar-e-watan azz sunbul-o-rehaan khushtar tar” hotay hain. Kucch afraad ka sara ka sara qadd baahar hota hai. Zameen ke andar kucch bhi nahin. Un ke liye ye romaan pasandee hai.

Kya samjheen?

  • Veteran Member
Posted

(bismillah) (salam)

Ye ''Wakhri'' kiya hota hai? :unsure:

Jibran bhaee se aik sawal jo kaafi arse se dimagh main mandlaraha tha:

ye aapkai signature main . . .and those who husbanded the Golden Grain! jo typa hua hai iska kiya matlab hai? Woh kon hain ''who husbanded the golden grain''? Aur iske maani kiya hain?

And those who husbanded the Golden Grain

And those who = aur wo loug jinhon ne

Husbanded = dost rakhna, mehboob rakhna, befriended

The Golden Grain = Maal-e-daulat, zar-o-jawaahar

FitzGerald ke Khayyami tarjumay main se eik rubayee ka pehlaa misra hai. Mujhe iss misray main FitzGeral ke iste’maal kiye huye iste’aaray buhat khubsoorat lagay so signature main daal liya. Khayyami rubayee ka asl mafhoom tou kucch aur hai, balkeh yoon kahoon ke iss ke bar-aks hai magar mujhe faqat pehle misray se sar-o-kaar hai. FitzGerald ne rubayee kee rendering kucch iss tarah se kee hai:

And those who husbanded the Golden Grain,

And those who flung it to the Winds like Rain,

Alike to no such aureate Earth are turn'd

As, buried once, Men want dug up again.

  • Veteran Member
Posted (edited)

(bismillah)

1. Aap ne Aasee Bhaee ko jawab detey huway khasey inkesar se kam liya hai. Inkesar shaksiyat ka hissa hai ya . . .

Nah.

Drama kar rahaa thaa. . .

2. Dr. A. Q. Khan barra admi hai ya Professor Abdul Salam?

Siyasi aur mua'shartee hudood-o-qayyud paray kar ke dekhen to dono hee apnee field main parrhay likhay aur qaabil banday hain. Aur waisay bhi, kisi shaks kee qeemat wo fann hai jo uss main maujood hota hai.

3. Rawshni Baaji waley makalmey mein aap ne kaha hai hai keh makalma unn ke khayalat o nazriyat jan ne ki koshish hai [shayad alfaz kuch mukhtalif hon] to Aasee ne agar aap ke khyalat nazariyat jan ne ki koshish ki hai to iss mein kya arrchan hai?

Khayalat-o-nazriyaat unke jaanay jaatay hain jin ke khayalat jaan kar loug kuch seekh sakain, kucch paa saken.

Nahin?

4. Talim mukamal honey ke foran b'ad Pakistan aa jaeyein ge ya bahar hi rehne ka irada hai?

Javaab ye hai ke ye ma'mla purely relative hai. Mere ooper buhat zimmeh dariyan hain. Un zimmedariyon se sabakdoshi, Ta'aleem ke fauran ba?ad jiss jagah reh kar saheeh se ho sakay gee, woheen rahoonga. Haan agar long run main baat kee jaye tou Allah ke hukm se main watan aa kar rahoon ga. Mujhe faringistan main apnee tamaam zindagee invest karnay ka koi shauq hai nah muharrak.

5. Qadama ne char funoon-e-latifa pehchanwaey - mosisqi,shaeri, khitabat, aur khattati; raqs, sangtarashi, musavari waghaira ko kyun funoon-e-latifa mein shamil nahin samajhte they?

^ Ye tamaam fann bila shubaa funoon-e-lateefa ka hissah hain aur rahen ge. Islam ne khusoosan raqs per jo laat maaree thee uss ke asraat buaht gehray honay thay. Aur hain! laat maaray jaanay walee cheezon main mo'tadil sharab noshi ka mazaa, soo'ar jaisay ma'asoom janvar ke lazeez gosht se karaahat-o-nafrat aur sood jaisay behtareen business tool kee annulment bhi shamil kar lijiye.

Jahaan tak ta'aluq hai sangtarashi ka tou iss main har donoun barray makaatib-e-fikr main ishkaal hai. Mussawwari ko ulemaa 'aama ne kham-khwa badnaam kiya hua hai. [ aur yahee wo loug hain jo TV aur tasveer khinchwanay ke khilaaf hain]. meri nigah main mussawwari bilkul durust aur jaiz shay hai.

Baqi aglee baar. . .

Edited by Jibran Haider
Posted
Nah.

Drama kar rahaa thaa. . .

Ranga sayyaar

Siyasi aur mua'shartee hudood-o-qayyud paray kar ke dekhen to dono hee apnee field main parrhay likhay aur qaabil banday hain. Aur waisay bhi, kisi shaks kee qeemat wo fann hai jo uss main maujood hota hai.

Aur yeh kyaa dramaybaazi hai . . . seedhi tareh batao kisay behter samajhtay ho?

A. Q. Khan kou yaa Salaam Sahab kou

Khayalat-o-nazriyaat unke jaanay jaatay hain jin ke khayalat jaan kar loug kuch seekh sakain, kucch paa saken.

Nahin?

Parhrhay likhay naa maquool aadmee ho, kyoun naa tumhaaray khyaalaat o nazriyaat jaan nay kee koshish farmaaee jaaway . . .

Naheen?

Javaab ye hai ke ye ma'mla purely relative hai. Mere ooper buhat zimmeh dariyan hain. Un zimmedariyon se sabakdoshi, Ta'aleem ke fauran ba?ad jiss jagah reh kar saheeh se ho sakay gee, woheen rahoonga. Haan agar long run main baat kee jaye tou Allah ke hukm se main watan aa kar rahoon ga. Mujhe faringistan main apnee tamaam zindagee invest karnay ka koi shauq hai nah muharrak.

Allah behtreen musabbab al asbaab hai . . . tumhaaray liye jo bhee karey gaa, behtreen ho gaa

^ Ye tamaam fann bila shubaa funoon-e-lateefa ka hissah hain aur rahen ge. Islam ne khusoosan raqs per jo laat maaree thee uss ke asraat buaht gehray honay thay. Aur hain! laat maaray jaanay walee cheezon main mo'tadil sharab noshi ka mazaa, soo'ar jaisay ma'asoom janvar ke lazeez gosht se karaahat-o-nafrat aur sood jaisay behtareen business tool kee annulment bhi shamil kar lijiye.

Sood aur riba dou alag alag cheezein hain, riba haraam hai . . .

Abb kehnaa aap Chotibaaji kay naam say logon honaa bhool gayeen . . .

Posted
Jaisa ke aap ko ‘ilm hai ke main pasmaanda Seraik ke eik chotay se gaaon se ta’aluq rakhta hoon. Saree umr woheen rahaa, aur zurooratan saath walay sheher main ta’aleem hasil kee. Eik lehaaz se sab se pehla Cultural Shock, agar issay keh saktay hain tou, Rahimyarkhan se Lahore aa kar lagaa. Us shifting se pehlay kisi barray sheher se kisi qisam ka koi wabastagee na thee. Laikin insaan jahaan jaa kar rehnay lagta hai, dheeray dheeray us mua’shray kee buhat see cheezain sha’ooree-o-laa sha’ooree taur peh apne mizaaj main jazb kar layta hai. Pakistan se Bartaniya aa kar bhi mere saath kucch aisa hee hua.

Wo tamaam qadaren, ehmiyaten, rawaayaat, hamaaree saqaafat kee hissiyaat aur jamaaliyat jissay hamm kaafee hadd tak mazhab se relate kartay hain, Bartaaniya aa kar eik imtehaan se guzarnay lageen. Balkeh yoon kahoon ke behtar hoga ke meray falsafay aur priorities ka imtehaan shroo’ ho gayaa.

Main kisi bhi hamm-aahangee ya farq ko dekhnay ke ba’ad hans kar be-dheyani se pass-pusht nahin daalta. Nateeja ye niklaa ke Welaayat ke mua’ashray aur apne mu’ashray main la-sha’ooree taqaabul karnay lagaa. Kucch baatain achee lageen, kuch sakht buree.

Yahaan ka media [electronic and printed] yahaan ke awaam ke andaaz aur rehen sehen ka sab se barra tarjuman hai. Isee se yahaan ke murrawwajja qadaron ka andaaza hua hai. Doosra masdar awaam-un-naas se baraah-e-raast raabta hai.

Mujhe jiss cheez ne sab se zyada pareshaan kiya, wo yahaan ke logon ka nangaa pann hai. Ye buhat arsay tak hazam nahin ho sakaa. Hua to kher ab bhi nahin magarr koi cheez musalsal dekhtay aur tajribah kartay rahen to aadat ho jaatee hai shayed. Mere mamoon, jo haal hee main Pakistan shift huye hain, wo kehtay hain ke yahaan rehnay ke liye banday ko thorra buaht baygherat ban’na parta hai. Warna kaam nahin chalta.

Paid, locked aur subscribed channels per jitna porn dikhayen inkee marzee. Magar Analogue signal rakhnay walay on air free National TV Channels per harr acchay buray, shareef razeel, chotay barray, bacchay boorrhay, mard aur aurat ko jo jo in ke channel feed kar rahay hain wo meri samajh se baahar hai.

Yahaan pooray bartaniya main Sports ke naam se eik Daily Tabloid chapphta hai jo harr dukaan per harr chotay barray ke liye maujood hai. Iss sprorts naam ke akhbaar main [agar akhbaar keh saken tou] khalis porn chapphta hai.

Zimnan, ITV aur BBC per in ke talk shows aatay hain. Haftay main do chaar aa hee jaatay hain. Faarigh auqaat main kafee dekhay hain. Uss platform per buhat loug aa kar apne masa’il pesh kartay hain aur audience se mashwara chahtay hain. Un tamaam masa’il ka 80 % hissa’ sex, cheating, girlfriend boyfriend, break ups per mushtamil hota hai. Picchlay dinon eik 40 saala aurat apne 20 saala betay ke saath logoun kee malaamat ka javaab denay iss gharz se TV per aayee ke agar wo apne sagay betay se sex kartee hai, aur agar ussay aur uss ke betay aur uss ke partner ko koi aitaraaz nahin hai, aur agar wo kisi ko nuqsaan nahin pohancha rahay, tou logoun ko kya museebat hai ke wo private ma’amlay main taang arraayen? Baqaul uss aurat ke aisay loug immoral hain.

Jism, faqat eik jism hai. Jaanvaron kee hadd tak. Wa bass! Iss se zyada kucch ehem nahin hai. Agar in logoun kee Siyasee falsafay kee bunyaad J.S.Mill per qaaim hai to in ke tehzeebee aur nafsiyaatee falsafay kee bunyaad bila shak-o-shuba Fruedian falsafa hai, jiss ke mutaabiq harr insaan ka ultimate incentive yahee hai.

Isee ke ziman main, yahaan ke logoun ka akela pann aur tanhaayee. Aksar kee koi family nahin hai. 6th. 7th ya 8th partner ke aaj kall reh rahay hain. Wo bhi naa ma’aloom kiss samay chorr kar chalta banay. Isee tarah ke aur buhat se ma’amaalat.

Doosra ye ke logoun kee eik barre ta’adaad yahaan baykaaree ke masalay se do-chaar hai. Karnay ko koi kaam nahin. Ya to haftay main 2 din kaam kar ke itna kamaa laytay hain ke aasaani se kharch chalaa laytay hain ya phir hukoomat paaltee hai. Aisay logoun ka eik hee shugal hai. Yaa to harr rouz shaam ka intazaar karna aur group ke saath baahar jaa kar sharaab noshee karna aur kisi night club main beth kar kisi ko hook karna taakay raat guzaaree jaa sakay ya phir koi aisa kaam karna jiss per aql mehv-e-tamaasha-e-lab-e-baam reh jaaye. Yahaan mere house mate Robert ka yahee shugal hai. Dyslexic hai so hukoomat paal rahee hai. Aur iss ke pass karnay ko kucch bhi nahin.

Ooper kee baatain iss masalay per broad tabsareh to qat’an nahin hain. Magar main ne wo chand baatain highlight kar deen jo ke, mere liye, Pakistan se iss mua’ashray main aa kar, in ke life style, priorities aur umoomee ravish dekh kar eik accha khaasa shock tha. .aur aaj bhi hai. . .neez. . .ye baatain door beth kar in ke mua'ashray ka muta'laa karnay ya kisi do chaar din ke short visit se samajh nahin aateen.

Buzurgaan-e-deen ka to Allah ko pataa magar cultural shock ke saath zabaan ke masalay bhi, ghaliban eik hadd tak, sab ke liye namoodaar hotay hain. Zabaan ka barrier meri nigaah main buaht barra barrier hai.

Yahaan eik Jhang kee family hai. Bacchay yahaan kee paydaish hain. Maan jhang kee dehaatann hai. Aaj 35 baras yahaan guzaar kar bhi eik lafz angrezi ka nahin bol saktee siwaye Hello aur Bye ke. Uss ke bachon ko Punjabi [ya jhangee] ya Urdu waghera nahin aatee. Bacchay maan se communicate nahin kar saktay. Baap ke zariye kaam chalta hai. Kya ajeeb baat hai na?

Mayn late 1990s mein Switzerland mein rahee hoon Pakistan say baahar aana jaana bhee rehtaa hai.

Mayray hisaab say nangapann 80's mein urooj peh thaa, ahisteh ahisteh kamm ho raha hai

Jinsi akhlaaqiyaat kou agar eik taraf rakh diya jaaye, tou umoomi taur peh angrez, aur baqi mandeh Europe waalay bhee, kyaa hamm Pakistanyoun say badarjaha behter naheen hain

Insaan dostee, mushkil mein doosroun, ajnabiyoun kay bhee kaam aana, qaul kay pakkay, agar aap kay kuchch karr naheen sakktay tou saaf keh dayn gay, aasrey mein naheen rakhein gay . . . qarz layn gay tou umoomi taur peh waadeh peh waapis karr dayn gay . . .

Khair chorro . . .

Stratford upon Avon gaye, British Library, India Office Library, Art Galleries . . .

York mein kahaan ho, wahaan eik qadeem, taareekhi cathedral bhee hai, War of the Roses kay zamaanay kaa . . . daikha?

Bosworth Field bhee ziyada door naheen hai . . . hai naa?

Jahaan rehtay ho koyi Urdu, Punjabi, Seraiki bolnay wala hai?

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

×
×
  • Create New...