Kisi shaher mein ek sunar rahta tha. Uski aurat ek roz kuwe par pani bharne gayi. Yaka-yak shor utha ki tera ladka kumhaar ke aawe mein gir gaya hai. Woh sunarni itna royi ke behosh ho gayi. Ghash ki halat mein usne khwab mein dekha ke ek bibi naqab posh tashreef layi hain aur farmati hain ke aye aurat tu mannat maan le ke mera ladka kumhar ke aawe se sahi-salamat nikat aayega toh main Janabe Sayyada ki kahani sunugi - Salwat.
Itne mein ek taraf se shor utha ke sunarni ka ladka kumhar ke aawe se zinda wa salamat nikal aaya. Sunarni ki ghash se aankh khuli toh dekhti hai ke uska ladka samne khada hai - Salwat.
Woh khushi khushi apne ladke ko ghar le aayi aur bazar se do paise ki sheerni khareed kar padosiyo ke pass gayi aur kaha chalo mere ghar, meri mannat bar aayi hai. Janabe Sayyada ki kahani sunne chalo.
Sub aurto ne inkar kar diya. Woh roti hui jungle ki taraf chali gayi. Kuch door jakar usne ek naqab posh bibi ko dekha. Unhone kaha tu baith ja main Janabe Sayyada ki kahani sunati hun. Aur iss tarha uss naqab posh bibi ne kahani sunana shuru ki.
Shaher Madine mein ek yahudi rehta tha. Uski ladki ki shaadi thi. Woh Janab Rasool-e-khuda S.A.W.W. ki khidmat mein hazir hua aur arz ki ke maula meri ladki ki shaadi hai, agar huzur ijazat dein toh Janabe Sayyada mere ghar tashreef le Jayen.
Hazrat ne farmaya iska zikr Jababe ameer hazrat Ali alai his salam se karo. Agar woh ijazat dein toh tum Fatima ko le jana. Woh yahudi hazrat Ali ki khidmat mein aaya aur apni darkhwast pesh ki. Hazrat ne farmaya ke Janabe Sayyada ki khidmat mein arz karo. Agar woh razi ho toh tum le jao. Chunacha woh hazrat Fatima ki khidmat mein hazir hua aur shaadi mein shirkat ke liye arz kiya. Aap ne Farmaya Ali murtuza se ijazat lu jab main chalungi. Uss yahudi ne arz ki ke main janab Rasool-e-khuda S.A.W.W. aur Ameer-al-momeneen se ijazat hasil kar chuka hun ab toh aap khud hi iss amr ki mukhtar hain. Aap ne usko sawari lane ka hukm diya.
Yahudi sawari lane chala gaya tab, Janabe Sayyada ne janamaz bichha kar do rakat namaz padhi aur haath buland kar ke khuda ki bargah mein arz ki ke aye mere paalne wale main tere Rasool ki beti aur teri kaneez hun, na mere pass koi kapda hai aur na koi aur samaan hai. Aisi halat mein shaadi mein kyon kar jaoon. Abhi dua khatm bhi na hone paayi thi ke jannat ki hooren ek kashti mein jannat ke zewraat wa lebaas le kar hazir ho gayi - Salwat.
Hooron ne apne haath se Janabe Sayyada ko lebaas aur zewraat se aarasta kiya aur sawari mein bitha diya aur Jaise hi Janabe Sayyada uss yahudi ke ghar pahonchi toh aap ke noor se uska makaan roshan aur khushbu se mohattar ho gaya aur jitni bhi yahudi aurtein thi sub behosh ho gayi. Aap uss hujre mein tashreef farma hui jismein dulhan baithi thi. Khuch der baad sub aurton ko hosh aa gaya lekin dulhan ko hosh na aaya. Zab aurton ne dekha to dulhan ko mujrda paaya. Sub aurtein rone-peetne lagi aur ek shor barpa ho gaya. Zanabe Sayyada ko ye maajra dekh kar badi hairat hui. Aap ne janamaz bichha kar do rakat namaz padhi.
Aur Khuda ki bargaah mein arz kiya ke main teri kaneez-e-khas aur tere Rasool ki beti hun, tu meri izzat rakh le warna ye log yehi kahenge ke mere aate hi dulhan mar gayi. Abhi aap ki dua khatm bhi na hone paayi thi ki dulhan zinda ho gayi aur kalma padhti hui uth baithi - Salwat. Aur Janabe Sayyada se arz ki ke aap binte Rasool hain, mujhko apna deen batlaye. Aap ne usko aur 500 yahudi aurton ko musalman kiya - Salwat.
Subne aap ki badi izzat ki aur bahot hurmat ki aur aapko ek kaneez ke saath rukhsat kiya.
Ye kahani woh burqa posh mozzama sunarni se keh kar gayab ho gayi aur jab sunarni apne ghar aayi toh dekha ke un padosiyon ke gharon mein aag lag gayi hai jinhone janabe sayyada ki kahani sunne se inkar kar diya tha.
Dua karo jis tarha sadqe mein Mohammad wa ale Mohammad ke sunarni aur un dono ladkiyon ki muraad puri hui, usi tarha har momin aur har momina aur har muslim wa muslima ki bhi har muraad batoofail Mohammad wa ale Mohammad puri ho Ameen ya rabbil alameen.
Alla humma salle ala Muhammad wa ale Mohammad.