assalam u alaikum Maira sawal ye hai k kya tasbeeh say faalnama nikalna theek hai? main nay logon ko daikha hai k wo tasbeeh Bibi Fatima zahra ko uper say pakar ker dua parh k bibi say sawal poochtay hain k kya aisa ho ga ya nahi?? ager to tasbeeh daain-baain jhoolna shuru ho jae to jawab 'nahi' tasawwur kiya jaata hai.. ager aagay peechay jhoolna shuru ho jae to 'haan]' hota hai.. kya is ka kisi aaimma a.s ya kisi puranay mustanad waaqiyay main ziker aaya hai?? kya aisee koi cheese hotee b hai?? ager hotee hai to humaray aaimma ka is baray main kya hukum hai??? jawab k liyay bahut shuker guzaar honga! shukriya