Qudsiyaa Taahera sardaar-e-nisaa hai Zehraa,
Himmat-e-hasti-e-aurat ki sada hai zehraa,
Aalam-e-jehl ke toofaañ na bujhaa paaye jise,
Khalq-e-zan meiñ quvvat-e-shamm-e-haya hai zehraa
Apna haqq jaanna laazim hai so ye yaad rakheñ
Markaz-e-haqq-e-haqiiqi ka pata hai Zehraa,
Ilm-o-Irfaan ka meyaar khirad se hai pare,
Ilm ke shehr ki raunaq hai ana hai zehraa,
Malka-e-khalq kahaañ or kahaañ baagh-e-fadak,
Past-fitrat ko khaber kya ho ke kya hai Zehraa
Majlis-e-sheh meiñ jab aao to khuloos-e-dil se,
Mehv-e-riqqat jo sar-e-Farsh-e-aza hai Zehraa
Gulshan-e-Ahmed-e-mursal hai mu.atter jis se,
Paiker-e-sabr-o-gul-e-arsh-e-ulaa hai Zehraa
Fakhr-e-rab ruu-e-muqaddas hai saraapaa ismat,
Dasht-e-pasti meiñ balandi ki naba hai Zehraa,
shakl-o-seerat meiñ baseerat ki har ek jumbish meiñ,
Apne hi aap meiñ qur.aan-e-khudaa hai Zehraa
Parda-e-azmat-e-niswaañ pe likha ho goya,
Deen-e-islam ki zeenat ki ridaa hai Zehraa
Shafqat-o-rehmat-e-khaaliq ki ziyaa hai Zehraa,
noor ko noor ki naayaab ata hai Zehraa
Zikr jinka hai ibadat ki har ek zeb-o-'zain',
Lauh-e-mehfooz paa tehreer-e-baqaa hai Zehraa