Khudawanda! ye tere sada dil bnde kidhar jaen! k darweshi bhi ayyari hae sultani bhi ayyari mughe tehzeebe hazir ne ata ki hae wo azadi k zahir men to azadi hae batin men griftari to ae Molae Yasrab(saww) aap meri chara sazi kr meri danish hae afrangi mera eeman hae zannari Allama Iqbal(ar)
ws, len aap ne to sare aam hi hmen bura behan bna deya:huh::huh: gila hae muj se to shikayat door kr len sis KB! ab hum shaer nae to kia karen, deewan hmen yaad nae!!! ye dere kuhan kia hae? anbare khas w khashak! mushkil hae guzar is men be nalae aatishnaak
(salam) go thora late ho gae magar der ayad drust ayad, Shaere Mashriq Allama Iqbal ka youme pedaesh hae , umeed hae un k leye aik soorae Fateha sb parh den ge. Aql ko tanqeed se fursat naheen Ishq pe amaal ki bunyaad rakh.
Salamun Alikum, ROZE AQDE SYEDA E Kounain Hazrat Fatima Zahra (sa) w Mola Ali(as) MUbarak Hae sehne Mustafa (saww) aur eeman ki baraat, Dulha Khuda k fazl se Haider sa khush sifat, Ehle Khuda ki Eid faroghe chaman ki baat, Ye khutbae nikah hae Bazme Tajaleyaat, Khutbe pe muhar Marziye Rabe Jalil ki Bus mouj men hae aaj shareyat Khalil ki
Na janey konsi manzil ki justujoo thi mujhey Tamaam umer chala phir bhi rahguzar main raha salam, sis KB !Dua hae Allah aap k dohra azab khtm kare, waise laptop theek rakhna to bara zaroori hae aap k leye:)
(salam) buhat acha silsila sharib bhae aap ne shroo keya hae. nazar se guzra to socha ye bhi post dete hen! kyaa kiyaa jaaye yahii Allah ko manzuur hai Dillii aakar bhii ye lagtaa hai ke Dillii duur hai :)