Assalam o alaikum, I know it's a little late but for all the future references, here are soem amendments to the wordings of KHAYAL-E-FATIMA Khayaal-e-Fatima, deen kii hai aabru Zainab -2 Ali Imam kii sajdon mein arzoo, Zainab Hai zay say zeenat-e-AJDAD yay say yakta hai toh noon say yeh naboowat kii mohsina thehrii Jo bay kay raaz ko, kholoon to bay Ali, BOLA Thi baab-e-ilmi ki beti, muallima tehri Misaal-e-Fatima Zahra hai hubahu Zainab Mujhay Hussain kii bay misl sajdagah kii qasam kahiin na hoti namaz-o-qurâan kii baatain Manaat-o-LAAL kii, pooja bahaal ho jaati Na karteh log dahar mein imaan kii baatain Sunaan-e-khutbay jo, jaati na KOO- BA-KOO Zainab Janab-e-AKBAR E ZEEJAH kii parvarish kar kay maqam-e-aamna khaliq say paa gaeen bibi Janab-e-Abid-e-beemar kii bakaa, kay liyay Dayaar-e-shaam mein sar nangay aa gaeen bibi Ali kii tarha thii, baatil kay roo- baroo Zainab Ajeeb-e-aalam-e-ghurbat thah shaam mein logo rasan mein qaid thii BAALON say muh chupaaye huay chahar-samt se honay lagee thii sang, baari hui jo daakhil-e-bazaar sar jhukaaye huay bachatii deen ko ho gayi lahu lahu Zainab _____ Janab e Syed e Sajjad aik din logo, chalay to gir, paray agla qadam utha na sakay yun shimr KORAY ko lehrata agaya,, yukdum, HARAM GHAREEB ko mal'oon say bacha na sakay ajeeb yaas say tuktee thee chaarsoo Zainab Kabhee Sakina ko, daitee rahee dilaasay woh Kaheen Rubab ka ghurbat, mayn ghum batatee theen, Kabhee Sajjad kay ashkon ko saaf kartee theen Kaheen woh Farwa ko apney galay lagatee theen, Baree kathan thee jo kartee thee justujoo Zainab ______ hajoom-e-aam se guzri toh ek aurat ne ali kii beti ko pathhar uthaa ke maara thah BAHA JO KHOON toh chehray pe ek naqab BANA YEH PARDADAAR kii FATHAH ka ek ishaara thah chali thi jaanib-e-darbaar surkh roo Zainab ____________ Dyar- e- ghair mayn, Tauqeer pardeh daaree ko ALI KI BAITI nay kuch is tarah bachaya tha BANAYA BAALON SE PARDAH TO DAR PE KHAAK E SHIFA zaban pay lehja-e shair- e khuda sajaya tha Ali kay lehjay mayn kartee theen guftugoo Zainab Khayaal-e-Fatima, deen ki hai aabru Zainab....