Jump to content
In the Name of God بسم الله
  • entries
    2
  • comments
    0
  • views
    1,261

About this blog

An urdu poetry section in the honor of Sayyadat un Nisail Alameen, the great Lady Hazrat Fatima Zahra (عليه السلام)

Entries in this blog

Noor ko noor ki Naayaab Ata Hai Zahra (AS)

Qudsiyaa Taahera sardaar-e-nisaa hai Zehraa, Himmat-e-hasti-e-aurat ki sada hai zehraa, Aalam-e-jehl ke toofaañ na bujhaa paaye jise, Khalq-e-zan meiñ quvvat-e-shamm-e-haya hai zehraa Apna haqq jaanna laazim hai so ye yaad rakheñ Markaz-e-haqq-e-haqiiqi ka pata hai Zehraa, Ilm-o-Irfaan ka meyaar khirad se hai pare, Ilm ke shehr ki raunaq hai ana hai zehraa, Malka-e-khalq kahaañ or kahaañ baagh-e-fadak, Past-fitrat ko khaber kya ho ke kya hai Zehraa Majlis-e-sheh meiñ jab aao

Zainuu

Zainuu in Belief

Khaatoon-e-Jinaañ Fatima Zehra (a) ki sana hai

Ismat ka samander rif.at-e-sharm-o-haya hai, Qurañ bhi hai qur.aan ki azmat ka pata hai, Sajdoñ meiñ khadijaa haiñ munavvar hai do alam, godi meiñ payamber ki dur-e-arsh-e-ulaa hai, Kya shaan hai jhuk jaati haiñ ashraaf ki nazreñ, Ye fakhr-e-nisaa rutbe meiñ nabiyoñ se siwa hai, Haiñ Aasiya, Maryam, kahiñ havva bhi safoñ meiñ, Masroor haiñ sab mehfil-e-khatoon-e-safaa hai, Gar chaah ye hai sanche meiñ ismat ke ho kirdaar, Shehzaadi ki hasti ki ziyaa dars-e-nisaa

Zainuu

Zainuu in Belief.

  • Recently Browsing   0 members

    • No registered users viewing this page.
×
×
  • Create New...