Dosen't work, mayn woh hawaala isee liye pehlay day diyaa thaa keh sukhan feham honay kaa d'aawaa naa karr baitho . . .
ALLAMA IQBAL: Shay'eri, Falsafa, Hayaat
#27
Posted 21 July 2006 - 04:59 PM
chaahay koi kuch bhi kahe. . .
#29
Posted 21 July 2006 - 05:01 PM
Jiyaan
Panchaan??? daa aakhyaa sirr maththay . . .
^
#31
Posted 21 July 2006 - 05:25 PM
accha ab Iqbal sunaaiye na . .
dhaara to bahaay. . .
ÑÇÒö ÀÓÊی ÑÇÒ Àÿ ÌÈ Ê˜ ˜æÆ ãÍÑã äÀ Àæ
˜ªá یÇ ÌÓ Ïã Êæ ãÍÑã ˜ÿ  ˜ª Ȫی äÀیŸ
#32
Posted 22 July 2006 - 03:43 AM
Aapi g!Shaheen bhee koyee muqaddas cheez naheen hai, taareekh gwaah hai, puraanay roomiyoun say lay karr aaj takk, saamraajyoun aur fascistoun kaa nishaan rahaa hai, aaj bhee amreeka kaa nishaan hai . . . Sheikh Sahab nay usay lionize kiya tou iss wajeh say naa uss ke mahiyyat badlee, naa hee Sheikh Sahab kaa kisee cheez kou pasand karrnaa hujjat hai kisee aur parr
Smjh nahi aa rahi kurgas aur shaheen k tuqabel main aap q itna seekh paa ho gai hai'n.
kia kergas kaa khas tabqay k liye aakheri rasoomat main mazehabi ehmiyat kaa hamil hona to iss ki wajah nahi.....
mera ishara aap smjh gai ho'n gi
ÇäÓÇäیÊ ÔÑãÇۓ ی
ãÚÕæã ˜ی ÂæÇÒ Àÿ
Ïá ãیŸ ÇÊÑÊی ÌÇۓ ی
ÀÑ Ïá ãیŸ ȪÑÏæ ÔÇÀ ˜Ç Ûã
Íی Úáی ÎیÑÇáÚãá
#33
Posted 22 July 2006 - 08:33 AM
^^ Yeh to "meer dard" ka nahin?
Mujhey Ayatollah Khamenai ki Allama Iqbal par bari achchi kitaab milli hai , soocha share kar loon: Iqbal: The Poet Philosopher of Islamic Resurgence
^
Thanks Zeeshan saheb,
It is a beautiful and inspiring speech on Iqbal by the Sayyed. . .
Iqbal Academy Pakistan ne bhi issay kitaabi shakal maiN shaa'ya kiyaa hai. . .
Wasslam
#34
Posted 22 July 2006 - 12:20 PM
Aapi g!
Smjh nahi aa rahi kurgas aur shaheen k tuqabel main aap q itna seekh paa ho gai hai'n.
kia kergas kaa khas tabqay k liye aakheri rasoomat main mazehabi ehmiyat kaa hamil hona to iss ki wajah nahi.....
mera ishara aap smjh gai ho'n gi
Khul kay kyoun naheen kehtay kay Parseeyoun kee aulad ho, iss liye unn kay rasm o riwaj waghaireh say abhee takk jaan naheen churraa sakee ho . . . ishaareh kinaaye kaa kyaa kaam yahaan?
Aisaa agar hotaa bhee tou naajaaez baat naa hotee.
Laikin aisaa hai naheen.
Iss silsilay mein mayray guzashta posts daikho tou mayn nay koyee taqabil naheen kiya, naa iradeh hai karnay kaa.
Mayn nay faqat yeh kahaa thaa keh shaheen fascistoun kaa nishaan rahaa hai taareekhee taur peh. Iss peh taarekh mayree gawaah hai.
Jahan takk Islam kaa t'aaluq hai, iss mein shaaheen kou kisee qism kee koyee bhee takhsees say makhsoos naheen kiya gyaa.
Iqbal nay shaheen/uqaab kou kyuon ist'eaareh kay taur peh chunaa, eik taweel behass hai, jo iss say pehlay kayee jageh ho chukee hai . . . yeh shaa'er kaa istehqaaq hotaa hai keh woh kyaa imsaal o ist'eaarat, kyaa tashbehaat o talmeehaat estemaal karrtaa hai apnay manshaa o ma fil zameer kay iblaagh kee khaatir
Bilkul isee tareh yeh qaari kaa istehqaaq hai keh woh shaa'er kay kalaam kou qubool karey yaa radd.
Kaheen peh bhee, kisee jageh bhee, koyee bhee maee kaa laal yeh saabit naheen karr sakay gaa keh Iqbal kay kalaam kee takreem karrnaa, yaa Iqbal kee t'aazeem karrnaa, Shia, Musulmaan, yaa Pakistani par farz, wajib, yaa juzw-e-eeman waghaireh waghareh hai.
Aakhree baat. Hamm kasauteeyaan rakhnay waalay loug hain, sonay kou peetal, taambay say nakhairrnaa achchee tareh jaantay hain . . .
Edited by Rawshni, 22 July 2006 - 12:26 PM.
#35
Posted 22 July 2006 - 12:35 PM
Jis context maiN Shaheen kee tashbeeh iste'maal kee gayee hai, ussay usee maiN rakh kar dekhnay se hee Iqbal ke kalaam maiN shaheen ka kaam samajh maiN aa sakta hai. . .wagarna yooN to Maula Ali ko officially sher-e-khuda declare kar ke bhi sheroN ko koi mazhabi taqqaddus nahiN milaa aur na hee logoN ke diloN maiN sheroN ka khauf aur dar, muhabbat aur aqeedat maiN badlaa. . .
Ghaur karo, kyaa keh rahay ho . . . jo d'aawaa mausoof kay kalaam kee aafaqiyyat baaray kiya jaat hai, tumhaaree yeh daleel uss kee taisee taisee, yaa jaisey Punjabi waalay kahein gay, jehee tehee karr rahee hai
Aur yeh Mawla kou Asadullah kehnay waali relevant naheen hai . . . socho gay tou samajh jaao gay
#36
Posted 22 July 2006 - 01:48 PM
Ghaur karo, kyaa keh rahay ho . . . jo d'aawaa mausoof kay kalaam kee aafaqiyyat baaray kiya jaat hai, tumhaaree yeh daleel uss kee taisee taisee, yaa jaisey Punjabi waalay kahein gay, jehee tehee karr rahee hai
Iqbal kee shay'eri maiN aafaaqiyat hai ya nahiN. . .ye eik behes talab m'aamla hai. . .aur meri ye daleel kisi aafiqiyat ko na saabit kar rahee hai aur na gher-saabit. . .ye faqat hur cheez ko uss ko context maiN rakhnay ke liye kaam aaye gee. . .aur wo iss tarah ke:
Aur yeh Mawla kou Asadullah kehnay waali relevant naheen hai . . . socho gay tou samajh jaao gay
. . .ke agar sher Maula Ali ka nishaan ban kar bhi taqqaddus aur izzat nahiN paa sakaa. . .to Shaheen bhi faschistoN ka nishaan ban kar bura aur bad-tar nahiN ban sakaa. . .
buhat relevent baat hai. . .
#37
Posted 22 July 2006 - 02:39 PM
Iqbal kee shay'eri maiN aafaaqiyat hai ya nahiN. . .ye eik behes talab m'aamla hai. . .aur meri ye daleel kisi aafiqiyat ko na saabit kar rahee hai aur na gher-saabit. . .ye faqat hur cheez ko uss ko context maiN rakhnay ke liye kaam aaye gee. . .aur wo iss tarah ke:
. . .ke agar sher Maula Ali ka nishaan ban kar bhi taqqaddus aur izzat nahiN paa sakaa. . .to Shaheen bhi faschistoN ka nishaan ban kar bura aur bad-tar nahiN ban sakaa. . .
buhat relevent baat hai. . .
Sher Mawla Ali kaa nishaan kahan say ho gyaa?
Kalaam kaa m'eyaar tou yehee hai keh woh maavaraaey syaaq o sabaaq aur maavaaraaey zamaan o makaan ho jaata hai . . .
#38
Posted 22 July 2006 - 03:49 PM
#39
Posted 22 July 2006 - 09:17 PM
ÇÓÿ ÈÇ ÈÇ ˜ÿ äÀ јª ÊیÑÇ ÂییٔäÀ Àÿ æÀ ÂیٔیäÀ
˜À Ô˜ÓÊÀ Àæ Êæ ÚÒیÒ ÊÑ Àÿ äÇÀö ÂیٔیäÀ ÓÇÒ ãیŸ
#40
Posted 23 July 2006 - 06:59 AM
Aakhree baat. Hamm kasauteeyaan rakhnay waalay loug hain, sonay kou peetal, taambay say nakhairrnaa achchee tareh jaantay hain . . .
Masha Allah. Subhan Allah. Alhamdo lillah.
Astaghfirallah . . .
ÇÓÿ ÈÇ ÈÇ ˜ÿ äÀ јª ÊیÑÇ ÂییٔäÀ Àÿ æÀ ÂیٔیäÀ
˜À Ô˜ÓÊÀ Àæ Êæ ÚÒیÒ ÊÑ Àÿ äÇÀö ÂیٔیäÀ ÓÇÒ ãیŸ
Sambh sambh kay kay na rakh aynoun tayra aina way o aina
Keh tuttya heway tay hai hore changa sheeshgar dee nazeer wich
#41
Posted 23 July 2006 - 11:07 AM
Masha Allah. Subhan Allah. Alhamdo lillah.
Astaghfirallah . . .
Laa hawla wa laa Quwwata ill billahe al Ali al Azeem
Yeh bhool gaye thay
Sambh sambh kay kay na rakh aynoun tayra aina way o aina
Keh tuttya heway tay hai hore changa sheeshgar dee nazeer wich
Sheyr achcha thaa -- achchee satyanasi maari hai . . .
#42
Posted 23 July 2006 - 11:25 AM
Sher Mawla Ali kaa nishaan kahan say ho gyaa?
Kalaam kaa m'eyaar tou yehee hai keh woh maavaraaey syaaq o sabaaq aur maavaaraaey zamaan o makaan ho jaata hai . . .
JahaaN jahaaN Dr. sayaaq-o-sabaaq samet zamaan-o-makaan se bahar hua. . .wo ash'aar postiye na behna . . .thread ka haq adaa ho. . .
Tumm mayree baat kaa exact opposite samjhay ho. Abb pata naheen yeh behen boorhrhee hote jaa rahee hai, iblaagh kaa saleeqa iss kay haath say niklaa jaaey hai, yaa tumm nay nindaasee aur neemdili kee haalat mein mayree woh tehreer daikhee . . .
Mayn nay yeh kahaa thaa keh kalaam kee husn o khoobi, uss kay m'eyaar kaa paimaan, uss kee auj-e-kamaal he yeh hai keh woh maavaraaey syaaq o sabaaq aur maavaaraaey zamaan o makaan ho jaata hai . .
For example, Faiz Sahab kee "Duaa"aur deegar kayee nazmein. Thomas Gray kee Elegy . . . Goldsmith kee The Deserted Village, Sir Heny Newbolt kee "Vitai Lampada" aur "The Best School of All"
#43
Posted 23 July 2006 - 08:13 PM
^
uRee baba. . .
likha kyaa tha aur paRh kya gaya. . .my mistake. . .
dar asl. . .Iqbal ke baray aap ke bayanaat ke sayaaq-o-sabaaq maiN gum thaa ke aap kee baat be khayalee maiN paRh kar samjha ka aap Iqbal ka eik aur naqs nikaaltay huye farmaa rahee haiN ke Iqbal sayaq-o-sabaaq se out ho jaata hai. . .aakhir falsafee jo tha. . .
aap kee baat be shak durust hai. . .
aur suniye
aap booRhee nahin huyee haiN. . .pakkka. . .
#44
Posted 23 July 2006 - 09:54 PM
Khul kay kyoun naheen kehtay kay Parseeyoun kee aulad ho, iss liye unn kay rasm o riwaj waghaireh say abhee takk jaan naheen churraa sakee ho . . . ishaareh kinaaye kaa kyaa kaam yahaan?
Aisaa agar hotaa bhee tou naajaaez baat naa hotee.
Laikin aisaa hai naheen.
Iss silsilay mein mayray guzashta posts daikho tou mayn nay koyee taqabil naheen kiya, naa iradeh hai karnay kaa.
Mayn nay faqat yeh kahaa thaa keh shaheen fascistoun kaa nishaan rahaa hai taareekhee taur peh. Iss peh taarekh mayree gawaah hai.
Jahan takk Islam kaa t'aaluq hai, iss mein shaaheen kou kisee qism kee koyee bhee takhsees say makhsoos naheen kiya gyaa.
Iqbal nay shaheen/uqaab kou kyuon ist'eaareh kay taur peh chunaa, eik taweel behass hai, jo iss say pehlay kayee jageh ho chukee hai . . . yeh shaa'er kaa istehqaaq hotaa hai keh woh kyaa imsaal o ist'eaarat, kyaa tashbehaat o talmeehaat estemaal karrtaa hai apnay manshaa o ma fil zameer kay iblaagh kee khaatir
Bilkul isee tareh yeh qaari kaa istehqaaq hai keh woh shaa'er kay kalaam kou qubool karey yaa radd.
Kaheen peh bhee, kisee jageh bhee, koyee bhee maee kaa laal yeh saabit naheen karr sakay gaa keh Iqbal kay kalaam kee takreem karrnaa, yaa Iqbal kee t'aazeem karrnaa, Shia, Musulmaan, yaa Pakistani par farz, wajib, yaa juzw-e-eeman waghaireh waghareh hai.
Aakhree baat. Hamm kasauteeyaan rakhnay waalay loug hain, sonay kou peetal, taambay say nakhairrnaa achchee tareh jaantay hain . . .
Siraf itna pata laga hai keh Allama Iqbal peh bat ho rahi hai . . . kya bat ho rahi hai? Koi batao mujhe bhi . . .
#46
Posted 24 July 2006 - 06:36 AM
Khul kay kyoun naheen kehtay
iss liye k phir aap iss ko zaati maslaa naa bana lay'n
Iss silsilay mein mayray guzashta posts daikho tou mayn nay koyee taqabil naheen kiya, naa iradeh hai karnay kaa.
Aap ne tuqabil nahi balke iqbaal ne tuqaabul kia aap tu seekh paa hui...
Bilkul isee tareh yeh qaari kaa istehqaaq hai keh woh shaa'er kay kalaam kou qubool karey yaa radd.
AAzaadee' raey ki tu main ne koi baat nahi, aap jo marzi kahai'n.Aap ki Naqadaana fehem ki hum daad daitey hai'n.
Aakhree baat. Hamm kasauteeyaan rakhnay waalay loug hain, sonay kou peetal, taambay say nakhairrnaa achchee tareh jaantay hain . . .
Gharoor kahey ko? shooker kera'n phir.....
Baqi payn g aik baat batao aap ghar main b her waqat larhaney k liye tayar rehti ho?
Edited by miqdadnaqvi, 24 July 2006 - 06:51 AM.
ÇäÓÇäیÊ ÔÑãÇۓ ی
ãÚÕæã ˜ی ÂæÇÒ Àÿ
Ïá ãیŸ ÇÊÑÊی ÌÇۓ ی
ÀÑ Ïá ãیŸ ȪÑÏæ ÔÇÀ ˜Ç Ûã
Íی Úáی ÎیÑÇáÚãá
#47
Posted 24 July 2006 - 12:37 PM
Shaheen bhee koyee muqaddas cheez naheen hai, taareekh gwaah hai, puraanay roomiyoun say lay karr aaj takk, saamraajyoun aur fascistoun kaa nishaan rahaa hai, aaj bhee amreeka kaa nishaan hai . . . Sheikh Sahab nay usay lionize kiya tou iss wajeh say naa uss ke mahiyyat badlee, naa hee Sheikh Sahab kaa kisee cheez kou pasand karrnaa hujjat hai kisee aur parr
Yeh hai iss silsilay mein mayraa pehlaa post
Aapi g!
Smjh nahi aa rahi kurgas aur shaheen k tuqabel main aap q itna seekh paa ho gai hai'n.
kia kergas kaa khas tabqay k liye aakheri rasoomat main mazehabi ehmiyat kaa hamil hona to iss ki wajah nahi.....
mera ishara aap smjh gai ho'n gi
Yeh hai tumhaara haleemaaneh aur hakeemaaneh jawaab
iss liye k phir aap iss ko zaati maslaa naa bana lay'n
Aap ne tuqabil nahi balke iqbaal ne tuqaabul kia aap tu seekh paa hui...
Mayn nay koee taqabil kaheen kiya hee naheen thaa. Mayn sirf yeh kahaa thaa keh shaheen koee muqqaddas cheez naheen hai . . . jo keh woh fil waq'ea naheen hai . . . aur fil waq'ea tareekhee taur par fascistoun kaa nishaan rahaa hai
Seekh paa honay waali kahaan say laaye ho . . .
Mayn zaatee mas'ala banaatee bhee tou ghalat naa hotaa, magar mayn nay naheen banaya, haalankeh tumhaara oopar naql kiya huwa post mujhay seedha seedha munafeq keh rahaa hai . . .
AAzaadee' raey ki tu main ne koi baat nahi, aap jo marzi kahai'n.Aap ki Naqadaana fehem ki hum daad daitey hai'n.
Chalo, tumm hee hamein samjha dou naqd-o-nazar kyaa hotay hain, kis tareh kalaam kou parkha jaata hai, mutakkallam kee zaat kou alag rakha jata hai, yaa kalaam kou uss kee zaat kay tanazar mein bhee daikha jaata hai, aur kyaa yeh kisee tareh mumkan hai bhee keh uss kee zaat aur hayaat say nakhairr kay uss kay kalaam kee naqd kee jaa sakay?
Gharoor kahey ko? shooker kera'n phir.....
Ghuroor naheen, khud aagaahi . . .
Baqi payn g aik baat batao aap ghar main b her waqat larhaney k liye tayar rehti ho?
^ Yeh phir mayree zaat peh hamleh hai, magar, khair chorro . . .
Yeh jaan lo Miqdad, jahaan bhee razm-e-haq-o-baatil ho gee naa, yeh m'umina faulaad nazar aaye gee . . . ghar ho, daftar ho, safar ho, hajar ho . . .
Aakhree baat:
Phool kee pattee say katt jaata hai heeray kaa jigar
Mard-e-nadaan peh laikin kalaam-e-narm-o-nazuk bay asar
Shayd Iqbal hai
Edited by Rawshni, 24 July 2006 - 12:54 PM.
#48
Posted 24 July 2006 - 09:57 PM
bass behen bhaiyon . . .aisa accha nahin hai. . .hamain kisi soorat asiee baat nahin karnee chahiye ke door se kisi ko ya addressed ko ye ehsaas ho ke ye zaatiyat per hamla hai. . .ok? gentlemen aur saaf zahir hai gentlewomen [go aurton ke liye iste'mal nahin hota] ka yahee shevaa hona chahiye. . .
ab ye mauzoo' khatm. . .accha tou haaN. . .Iqbal per wapas aatay hain na. . aur Allamah kee shay'eri, falsafay aur hayaat samet zaatiyaat per bhi baat kartay haiN. . .kaisa khayal hai.?
to phir ab shaye'ri ke havaale se iqbal kee eik nazm ka ye accha sa she'r suneN. . .jis ke dusrya misray ka comma sa pehlay ka tukRaa Quratul ain Haider ke 2 part novel ka naam bhi hai:
ÈÇÛö ÈÀÔÊ Óÿ ã̪ÿ ͘ãö ÓÝÑ ÏیÇ ÊªÇ ˜یæŸ
˜ÇÑö ÌÀÇŸ ÏÑÇÒ Àÿ¡ ÇÈ ãیÑÇ ÇäÊÙÇÑ ˜Ñ
Edited by Jibran Haider, 24 July 2006 - 09:58 PM.
#50
Posted 25 July 2006 - 05:14 AM
^ chalo g theek hai jibran bhai!
Allama Iqbal shayer mashriq thay un k mashriqi hone k hawaley se mulahizaa farmay'n...
ÊÀÑÇä Ìæ Àæ ÊÇ ÚÇáöã ãÔÑÞ ˜Ç ÌäیæÇ ¡ ÔÇیÏ ˜À ˜ÑÀٔ ÇÑÖ ˜ی ÊÞÏیÑ ÈÏá ÌÇ Êی
Aur Hindusann humaaraa!
Sare Jaha'n se achaa Hindusta'n hamara,
hum bulbulen hainiski yeh gulista'n hamara!
Ghurbat men hon agar ham rehta hai dil watan me'n,
Samjho wahin hame'n bhi dil ho jaha'n hamara!
Parbat woh sab se uncha hamsaya aasmaan ka,
woh santari hamara, woh pasban hamara!
Godi men khe'lti hain iski hazaron nadiyan,
Gulshan hai jinke' dam se rashke' jinan hamara
Aiy ab-e-rood-i-ganga ! woh din hain yaad tujhko,
utra tere kinare jab karavan hamara!
Mazhab nahin sikhata apas men bair rakhna
Hindi hain ham watan hai Hindustan hamara!
Yunan-o-misr-o-Roma sab mit gaye jahan se,
ab tak magar hai baqi nam-o-nishaan hamara!
Kuchh bat hai ki hasti mitthi nahin hamari,
sadiyon raha hai dushman daur-i-zaman hamara
Iqbal! koi mehram apna nahin jahan men
Ma'loom kya kisi ko dard-i-nihan hamara!
Edited by miqdadnaqvi, 25 July 2006 - 05:25 AM.
ÇäÓÇäیÊ ÔÑãÇۓ ی
ãÚÕæã ˜ی ÂæÇÒ Àÿ
Ïá ãیŸ ÇÊÑÊی ÌÇۓ ی
ÀÑ Ïá ãیŸ ȪÑÏæ ÔÇÀ ˜Ç Ûã
Íی Úáی ÎیÑÇáÚãá
Reply to this topic
0 user(s) are reading this topic
0 members, 0 guests, 0 anonymous users













