Jab Khuda Ko Pukara Ali Aagayai
Jab Ali Aagayai Zindagi Aagayee
Zindagi Bandagi Roshani Aagayai, Aggayai Agayai
1) Mot terai muhibon ko aati nahi
Aa bhi jaayai to phir bach kai jaati nahi
Mot sai kya khatar mot sai kya hazar
Is sai bachna bhi kya aagahi agayee
2) Ghusal-e-Mayyat na kehna merai ghusal ko
Hujl-e-Malbooz ko mat Qafan naam do
Main Chala hun Ali sai mulakaat ko
Jis ki thi aarazo woh gari aagayee
3) Jis ka mola tha main us ka mola Ali
Jab nabi nai kehna deen kaamil huwa
Merhaba Mustafa Rab bhi raazi huwa
Woh jo ana thi ayat wohi aagayee
4) Jibraeel aur Qambar per kya mun hatar
Dar tera chor ker koi jaata nahi
Jo ghulami ka teri mazaa paa gaiya
Raaz jis ko teri nokari aggayee
5) Teri masnad pa ghairon ko bithladiya
Naib-e-Mustafa Mazhar-e-Qibriya
To Ali-o-wali-o-Wasi hi raha
Manzilat main teri kya kami aagayee
6) Ham kai sar shaar ishq aur tawalla main thai
Jantai hi na thai nafrat-o-dushmani
Yeh Tabarrah-i-Walla kya cheese hai
Ham ko aghyaar sai dushmani aagayee
7) Khums daina mawadat ki aik shart hai
Aur na dena bhi misl-e-Fidaq hai gunah
Haq kai sadaat--o-Zehra kai makrooz sai
Jab Tabarrah suna to hassi aagayee
8) Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Waqat-e-Mushkil jo mainai girdaan ki
Wajd main khud meri bai kali agayee
9) Subhai Ashoor Akber sai Sheh nai kaha
Aai Shabeeh-e-nabi merai noor-e-nazar
Jo badar ho gayee aakhari raat thi
Ab Azaan do Sahar aakhari agayee
http://imambargah.ne.../q/ukn00025.ram
PLEASE DO NOT RUIN THIS THREAD BY "NOT" POSTING A QASIDA