Jump to content


-

Photo

Hidayat

bahnon ki liye

1 reply to this topic

#1 bitto

bitto

    Member

  • Advanced Members
  • PipPip
  • 533 posts

Posted 15 July 2012 - 01:33 AM

Assalaam alaikum

saza be deen hone ki na poochcho
gunahon ka safar hai aur main hun

Madin-e chal k kahna tum bhee Sharib
Ye rahmat ka nagar hai aur main hun.

*************************************
Yun to banda nacheez hai hidayat kya kare
kare to faqat Mushkilkusha ke sadqe main Mushkilkushai kare


Arz hai ki sason ko faqat Moula(a.s) ke hawale karne se zyada faida nahi hota hai.Asil mushkilkushai tab hoti hai jab unka kirdar apna lo.Baharhal main apney topic par jaldi hi aarahi hon woh hai hijab.khususan hijab na karne se aaney wali pareshaniyan.
Moula Ali(a.s) apna sar hamesha dhake rahtey they.Kisi ney sawal kiya to unhone bataya ki yeh kurbatan Allah hai.

Bahnon sar dhakna to ladkiyon/aurton ke liye wajib hai.Mairay tajarbay nay mujhay kuch baten batai hain.Yun kahna aur sahi hai ki kuch logon ki pareshaniyan aur us bare main Allah se sawal keya ke ye sab kyun hai to uska jawab mujhe har bar( yun kahna ki zyadatar) yahi mila ke deen e Islam se munh modhna hai.Main in parshaniyo aur taqleefon ka zikr yahan kar rahi hon takey jo bahne yeh jhail rahi hain woh iman lakar apni pareshaniyon ko agar door karna chahen to kar len.

Hijab na karne se parishaniyan ----
1) Ladkon ke ched chad ka shikar banna aur ussi se muttaliq badnami.

2)Sar ka dard.

3)Baalon ka jhadna

4)Dandruff

5)Baalon ka waqt se pehle safed hona

6) Sar par chot lagna

7)Baalon ka nuchna kisi cheez se ya jhagde main.

8)Izzat mai kami ka ehsaas rahna

9)Baalon me lagane sahi clip ya band ka milna dushwaar hona

10) Sar ka zewar na hona aur usse mayusi aur gurbat ka ehsaas hona

11)Sar ki kisi tarah ki poshakh ka bar bar gum hona jaise ki cap/stole/scarf jo occasionally pahne jate hain aur lazim nahi samjhna.

12)Sar dhone ke liye khud ko suit karne wala shampoo /conditioner na milna jaise ki kuch bahne har product se pareshan hi rahti hain.

13)Sar dhone ki liye garmi main kholta hua pani ki saza aur thand main sar jamane wale thanday paani ki saza milna.Barsaat main jab Allah sab ko paani de raha ho tab sar dhone bhar ko bhi paani mayassar na hona.

Yeh sab taqleefain mukhtalif logon par aayin hain aur bazariya Faal e Quran e karim aur Allah ki aur asmaani kitabon se hasil kiye hue jawabon ko nazar rakhte hue main yeh compile kiya hai.

Khuda se dua hai ki tamam bahnon ko deen ki daulat ata ho aur is wajah se unki tamaam parshaniyan door hon.Aameen.

Edited by bitto, 15 July 2012 - 01:36 AM.

Ya Moula(a.s) Adrikni

#2 bitto

bitto

    Member

  • Advanced Members
  • PipPip
  • 533 posts

Posted 15 July 2012 - 01:49 AM

Hijab se muttaliq parshaniyan hon to ayat e tatheer padha karen .Hijab kar payengi.
Ya Moula(a.s) Adrikni



Reply to this topic



  


0 user(s) are reading this topic

0 members, 0 guests, 0 anonymous users