ya Hussain keh ke matam mein ye zindagi bitade
jo hamien naa bhula yaro use kis tarah bhulade
aye hussain teri tasbeeh mein umar tamam guzre
aye khuda jo mout aye isi naam ki sada de
sahe karbala ke atshaan teri pyaas yaad karke
ye furaat aansuon ki kyu naa akhon se baha de
kaha hur ne sar jhuka kar mujhe baksh do aqa
mein gulam hu aye maula do jaha mein hur bana de
kaha bazu aye hussaini ke sheetaab chal aye ghode
waha pyasi hain sakina use pani hum pila de
kahi lash utha raha hain, kahi kabr khodta hain
ye musibato ke manzar kyu jigar ko naa hilade
kaha zainabe hazi se sahe deen sabr karna
jo sina ki nok par ser ye laen mera chada te
ya shimr mare thokar waha gum se larze kaba
wo sitam ke jismein arso do jaha hashr utha de
aye burhanedin aqa ye jamali ki araz hain
ye kubul karke matam dare faiz se sila de


















