Karbala Aur Imam Hussain A.s
#1
Posted 22 January 2012 - 02:35 PM
Yahan is bath ka zekir kerna zaruri hain ke Macca mai hajj ko umra mai tabdeel kernay ke pachay kia awaamil karferma hay sirf us waqt ke logon yad deelana maqsood tha ke hajj kernay se zayyada zaruri hai Islam ko bachana.
Baz log yee sawal bhi kertay hai ke jab karbala jana tha auraton aur bachon ko Q lay gaye?
Imam a.s ko pata tha Roz e Ashura ke baad kia merhalay ayeengay. Yahan un beezamir logon mutawaja kerna tha aurton aur bachon ki bath zaruri samj leengay jab bacha Rota hai ya koi aurat bath kerti hain tu log mutawaja hotay hain. Lekin afsoos Kufa aur Sham ke logon per.
Imam Hussain a.s ko kisi ki Hamdardi ki zarurat nahi thi sirf us ka maqsad yee tha k us ke Qurbani bhi us ke bhai Imam Hasan a.s ki Qurbani ki tarha chopayi na jai. Aur Imam a.s iss mai kamyab bhi howay.
Agar ma'rifat ke sath deka jai tu NOUK E SINAAN per Quran pernay wala ser jooda honay ke baad apna Qamrband ki hefazat kernay wala Pani ki feryad Q kerta hai?
Sirf aur sirf hum aur app ki tawajo hasil kernay laye Dunia ko batanay ke laye ke Haq kon hain aur Batil kon.
Khuda ki Qasam! Us ke laye pani ki kia awqat thi.
Jo zehan tabdeel ker sakta hain HUR ko apni tarf la sakta hain wo Jang ka Naqsha bhi tabdeel ker sakta hain. Yee sub mai ma'rifat se kah reha hon. Is ke laye mary pas koi daleel ya book ka reference nahi.
SALAM YA HUSSAIN A.S
#3
Posted 23 January 2012 - 12:38 AM
Afsoos ho us umat per jo, Nawasa e Rasool (s.a.w.w) per her Sitam ko dekta reha aur Khamosh reha.
"Dunia badtareen hotay ja rehi boray logon ki waja se nahi balke Achay logon ke khamoshi ki waja se" (Imam Hussain a.s)
#4
Posted 23 January 2012 - 01:02 AM
#5
Posted 23 January 2012 - 01:52 PM
Her moseebat ko maat deti rehi.
Bibi sakina s.a ka naam atay he mai hakaan ho jata hon ke bibi app ke chotay chotay zekhamon ko salam, kabi may sochta hon ke karbala ki pyas sakht thi ye zandaan ke tareeki, mai sari yee soch soch ker ke roota rahonga. Bibi raihayi tu nahi mili zandaan tara hamesha hamesha tara Naseeb howa. Karbala per lekna asaan nahi hai.....
#6
Posted 24 January 2012 - 03:21 AM
Mukhtalif shubhaat jaisay:
Q Imam Hussain a.s nay qayam kia or baqi Aimma nay khul kar qayam nahi kia ?
Aisay kon say halaat paish aa gae k qayam ki zaroorat pari ?
Yazeed ney Imam Hussain ko lalkara ya Imam Hussain a.s nay Yazeed ko lalkara, ?
Imam Hussain kis jaga ka qasd kar k niklay thay, kia pahlay say karbala jana maqsood tha ? Agar pahlay se Karbala jana maqsood tha tou Kofa k qareeb q aye or irada tabdeel q kia ?
Mutalba e Bait k baad Gaar may panah q na lay li ? jaisa k kisi hamdard nay mashwara b deya, k ap kisi gaar may pana lay lain or Yazeed ki maut ka intezar karain,
********
Hum majmoi tour per Hussain a.s ko boolnay ka mauqa buhat he qum deytay hain, agar humari majliso may Hussain a.s khitaab karna b chahtay hain tou hum unhay kahtay hain:
Imam Ap beth jain ap ki batain humari samjh nahi atee hum ap ki shaan bayan kartay hain,...
Q hum minbero se in shubhaat ka jawab nahi sun patay ? q aj k dour may aik Hussaini ko apni koi zimaydari he nazar nahi atee ?
Ayain may dawat e Fiker deyta ho sotchain gour karain, hum ahsaasaati rona tou buhat rotay hain, aye Karbala se apnay liay Raah e Hul talash karain...
Edited by talib e ilm, 24 January 2012 - 03:22 AM.
#8
Posted 25 January 2012 - 10:22 AM
Imam Hussain a.s ke pyas aur bibi aur bachon ke pyas ka zekir hum majlason mai sontay hai kabi mahsoos nahi ki. Jab pyas lagti hai tu ansan ka jo jisam hai wo behal hojata hai aur jab pyas 3dino ka ho aur sath kanay ko bhi kuch na ho. Lekin uss ke bawajood wo jang lari jo karbala ko KARBALA bana gaya.
#9
Posted 25 January 2012 - 12:24 PM
"Islam ke Damun mai bus iss ke siwa kia hai"
"Aik zurb e Yadullah Aik sajda e Shabbiri"
karbala ke maidan mai wo ashaab e Hussain a.s jo zabaha honay ke laye Intizaar mai karay thy wo mout se gally lagany ke laye beechain thy aur mout khufzada.
Iss laye tu maray Mola a.s nay kaha tha ke "Muj jaisy Ashaab na maray Nana Rasool ullah (s.a.w) ko malay aur na maray Baba Ali a.s ko"
maray Mola Hussain a.s nay jab subh ke Namaz ke bad apnay Ashaab se fermaya...
"maray aur app sub ke Qatal honay ka Ezan sadir hochoka hain sabr kerna app sub pr waajib hain" tu un sub ke chahray chand ki tarha chmaknay lagay.
Koi sabit nahi ker sakta bara dalair Q na ho jo hans hans ke mout ko gallay lagain. Yee munzar sirf karbala mai nazr aya. Karbala mai sirf Yazid laeen nay nahi Mout nay bhi shekashat kayee hain.
#10
Posted 25 January 2012 - 01:10 PM
#11
Posted 26 January 2012 - 12:06 AM
#12
Posted 26 January 2012 - 12:27 AM
2. Abdullah ibne Zubair ibne awaam.
3. Abdullah ibne umer ibne khaitab.
Imam a.s nay karbala may qayam kiya aur shahadat payi.
Ibne zubair nay chup ker kahain pana lee Yazid ke marnay ke bad mecca pr hamla kiya aur Mecca ke hukomran ban gaye.
Ibne umer nay balhay bai't se inkaar lekin baad shaid wo maan gaye Qk Shami hakomat mai us ki bath maani jati thi.
#13
Posted 27 January 2012 - 07:32 AM
"jatni dair se Zulam ke khailaf otogay otni he bari Qurbani deeni paray gee" Hazrat Imam Hussain a.s
Karbala aur Imam Hussain a.s ka maqsad samjnay ki zarurat hai wo maqsad e Hussaini kia tha jis ke khatir Imam a.s nay apna sub kuch lota deya apna ghar bar chorr diya.
Aj ka ansaan jo pasti aur gomrahi ki tarf ja reha hai agar zara sa karbala ki tarf mutawaj hojai tu wo Nijat pa sakta hai.
Maqsad e Hussaini rah e Nijat hai.
Aj karbala aur maqsad e Hussaini ki sub se zayada zarurat hai Qk aj bhi wahi Yazidi daur hai aj bhi wahi kuch kiya ja reha hai Yazid laeen kerta tha lekin kufi ban ker khamosh hai kiya hum se poucha nahi jai ga ke zulam deek rehay thy aur khamosh Q thy?
Ya hum nay karbala pr rona he apna maqsad bana reka hai. Mola Hussain a.s ka maqsad yee tha ke koi bhi ho baray se bara zalum Q na ho us ke khailaf karay ho jana chahy tumara sath deenay wala koi na ho jaisy karbala may deeka gaya...............
#14
Posted 28 January 2012 - 01:05 PM
"sari musibathain Mohaboton ki waja se hain" BIBI ZAINUB S.A
"sari musibathain Mohaboton ki waja se hain" BIBI ZAINUB S.A
"sari musibathain Mohaboton ki waja se hain" BIBI ZAINUB S.A
Kufa ke darbar mai ubiadullah Ibne zayad Laeen ke us jamaly ke(deko tumharay mardon ke sath kiya howa) ke jawab mai Shareek ul Hussain a.s nay fermaya "Sari mosibatain Mohabaton ki waja se hain"
#15
Posted 29 January 2012 - 11:43 AM
#16
Posted 29 January 2012 - 12:21 PM
Ay karbala mujhay app se bahut kuch pochna hai aur app se bahut kuch jana hain. App nay deka tha ke maray Mola zayada pyasy thy ya Shazadi Sakina s.a. Mujhay pata hain Ay karbala ke serzameen app un ke pyas ka paimana nahi ker sakaygi.
Maray shazadi ka hosla payan ker dey jab wo Tal e Zaibia per kari ho ker apnay bhokay pyasay bhai ki jang dek rehi thi. Khuda ki Qasim maray Shazadi ka hosla Alfazon mai bayan nahi kiya sakta. Tu karbala nay kaha main wo nahi payan ker sakta.
#17
Posted 29 January 2012 - 12:45 PM
Karbala nay kaha..........
Sun Ay guhnigar Ay zaban pr Ali Ali kahnay walay sun....
Wo jo bhara ghar aik din main lota gayee wo sabiron ke sardar thy wo hoslon ke chitan thy. Wo muzloom thy majboor nahi. Wo gharib thy beeakhtiyar nahi.
#18
Posted 29 January 2012 - 01:44 PM
Sun Ay Hussain pr Ronay waly sun....
Wo bahut pyasa tha lekin kis ko kahta.. Khuda ke Qasam.. Jab shazada Ali Akbar a.s ayee ke baba mujhay thora sa pani dey tu maray Mola nay kaha ke Ali Akbar apni zaban maray zaban pr rek dey app ki pyas thori kam ho jai gee.... Hey Mazlooma... Ali Akbar nay fermaya baba app tu mujh se zayada pyasay ho..
Sun... Wo shazadi jo kamsin thi pyas ko bhool gaye jab apnay damun pr Aag ke phoolon ko deka.
Sharikatu Hussain a.s ka hosla janna chahtay ho tu sun... Jis nay Imamat ko apnay pusht pr otaker imamat ke sahara deya un ka hosla dekna chahtay ho.
#22
Posted 22 April 2012 - 04:54 AM
Matam ki sadaa suunte hai matam nahi karte
Wo log bhala samjhenge kya makame shahdat
Jo eid to karte mohaRram nahi karte
Haiderium Qalandram Mastam
Banda e Murtaza Ali Hastam
Peshwa e tamam Rindanam
Ke Sag e Koo e Sher e Yazdanam!
I am Haideri, Qalandar and Mast (intoxicated with inspiration)
I am a slave of Ali Murtaza
I am leader of all saints
Because I am a DOG of the lane of "Allah's Lion" Referring to ALI (as)
:yaali: :yaali: :yaali:
#23
Posted 24 April 2012 - 08:31 AM
Baar Baar
Seenay laga kar Zainab [s.a.] O Hassan
[a.s.] ko Baar Baar
Jo Dar gira tha Phelu-e Bint-e Rasool
[s.a.] per
Ro Ro ker Shah [a.s.] ney Daikha ussi
Dar ko Baar Baar
#24
Posted 26 April 2012 - 04:07 AM
Madar, aey vaye Musibat,
Shehzaadi-e-Konain gayin Janib-e-
Kousar, aey vaye Musibat.
Jo mujh pe masa'ib pade gar din pe
wo padte,to shab mai badalte,
Masooma-e-aalam Ye bayaan karti
theein aksar,aey vaye Musibat.
Aur zulm-o-sitam itne pahadon pe jo
padte, ho jatey wo tukde,
Farmaya jab ye zulm huye had se guzar
kar, aey vaye Musibat.
Ya raton ko roya karen, ya royen wo
din ko, samjhaiye inko,
Haider se kaha ahle Madina ne yeh
aakar, aey vaye Musibat.
#25
Posted 27 April 2012 - 12:25 PM
Tera Raaj Kahan Hy ? Wo Khoon Se Aaluda
Tera Taj Kahan Hy ? Zinda Hy Hussain
Hamesha Hi Rahe Ga ! Yazeed La'anat k Siwa
Teri Yaad Aaj Kahan Hy ?
Reply to this topic
1 user(s) are reading this topic
0 members, 1 guests, 0 anonymous users













