Chacha Ghalib ke Is Sher pe Zara Raushnee Daliye
#1
Posted 04 August 2009 - 10:37 AM
I HAVE all due respects and admiration for Ghalib CONCEDING THAT HE WAS ONE OF THE GENIUS OF HIS TIMES. AMONG VARIOUS BEAUTIFUL GHAZAL HE PENNED, the one I like most is:
hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin phir bhee kam nikle
Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle
magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle
huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
phir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle
huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle
zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle [ a really marvellous sher]
But what I did not understand in this ghazal is the following sher:
Khuda ke waaste parda na Kaabe se utha zalim,
Kaheen aisa na ho yaan bhee wohi kafir sanam nikle.
Someone should throw some light on this sher.
Shukria.
#2
Posted 05 August 2009 - 01:49 AM
Batool aapi ne hamen is qabil samjha, ham un ke ehsanmand hain.
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
Ham is shair ki tashreeh apni naqis aql ke mutabiq kuch is tarha karna chahegay ke Chacha Ghalib ka ishara un ke waqt ki sinf e nazuk ki janib hai, Us waqt khawateen amuman Kaala burqa ya abaya pehna karti theen aur chehray per niqaab hua karta tha. Chacha Ghalib ne sinf -e-nazuk ke parday ko tazeeman ghilaf e kaaba se tashbeeh di hai, zaalim se murad bedardi ke hain, Yani kehnay ka matlab hai ke apnay chehray se niqaab mat uthao, kyunke aisa na ho ke woh sinf e nazuk bhi bilkul aisi hi niklay ke jinhon ne kabhi Chacha Ghalib ka dil toda tha, yahan kaafir se murad yeh hai ke dil Khuda ka ghar hai aur us mein basay arman aap ka us per yaqeen aur jo dil tode yani us yaqeen ko tode tau woh kaafir theraya jata hai. Khulasa yeh hai ke kaheen phir se Chacha Ghalib ka dil na toot jaye.
Hamen yaqeen hai ke aap ne bhi is shair ka matlab kuch isi andaz se samjha hoga. Agar ham yahan sahi nahin samjha paye hon tau please jau aap samjhe hain usay zaroor share kijye ga. Taake ham khud ko durust karlen. Shukriah!
ws
H&S
Edited by Hadi & Saqlain, 05 August 2009 - 01:52 AM.
#3
Posted 05 August 2009 - 02:46 AM
I just love this Gazal.
I have a collection of tracks sung by Jagjit Singh which includes this gazal as well !
Do you know the Gazal "Mooh ki baat sune har koi, Dil ke dard ko jaane kaun ! Aawazo ke bazaro me Khamoshi pehchane kaun !
Edited by Nazar_Abbas, 05 August 2009 - 02:47 AM.
#4
Posted 05 August 2009 - 05:22 AM
khakay batool, on Aug 4 2009, 04:10 PM, said:
aAp nay ye ghazal likhi tu maloom hova kay jo deewan hamaray paas hai us mien manderja bala do ashaar hi nahi hain!
Yeh ghazal main-e net per se he copy kee hai.
Wiase isme se kuch ashaar maine bhee pahlee bar padhe hain.
Lekin jis sher kee baat ho rahee hai woh kafee mashoor hai aur Jagjit Singh ne is sher ko gaya bhee hai.
Quote
ws
Aap ko aapnee rai is sher per zaroor denee hogee, hadde adab ke khayal rakht-e huae bhee.
wassalam
#5
Posted 05 August 2009 - 06:39 AM
Hadi & Saqlain, on Aug 5 2009, 01:49 AM, said:
Batool aapi ne hamen is qabil samjha, ham un ke ehsanmand hain.
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle
Ham is shair ki tashreeh apni naqis aql ke mutabiq kuch is tarha karna chahegay ke Chacha Ghalib ka ishara un ke waqt ki sinf e nazuk ki janib hai, Us waqt khawateen amuman Kaala burqa ya abaya pehna karti theen aur chehray per niqaab hua karta tha. Chacha Ghalib ne sinf -e-nazuk ke parday ko tazeeman ghilaf e kaaba se tashbeeh di hai, zaalim se murad bedardi ke hain, Yani kehnay ka matlab hai ke apnay chehray se niqaab mat uthao, kyunke aisa na ho ke woh sinf e nazuk bhi bilkul aisi hi niklay ke jinhon ne kabhi Chacha Ghalib ka dil toda tha, yahan kaafir se murad yeh hai ke dil Khuda ka ghar hai aur us mein basay arman aap ka us per yaqeen aur jo dil tode yani us yaqeen ko tode tau woh kaafir theraya jata hai. Khulasa yeh hai ke kaheen phir se Chacha Ghalib ka dil na toot jaye.
Hamen yaqeen hai ke aap ne bhi is shair ka matlab kuch isi andaz se samjha hoga. Agar ham yahan sahi nahin samjha paye hon tau please jau aap samjhe hain usay zaroor share kijye ga. Taake ham khud ko durust karlen. Shukriah!
ws
H&S
Salam bhai H&S,
Aap kee baat mein ek pahloo to hai , magar dil ko yeh baat gavaara nahin hotee.
wassalam
#8
Posted 12 August 2009 - 02:58 PM
khakay batool, on 12 August 2009 - 02:47 PM, said:
˜یÇ Ûã Àÿ ÇõÓ ˜æ ÌÓ ˜Ç Úáی ÓÇ ÇãÇã Àæ
ÇÊäÇ Èªی Çÿ ÝᘠÒÏÀ!˜یæŸ ÈÏÍæÇÓ Àÿ
ye bhi ghalib hi ka shair hai es kay baray mien kiya khayal hai
Mumkin hai issi liyay lafz shayad shair mei lagaya ho
"Meikhar hoon shayad kay na jannat mei ja sakoon"
#9
Posted 17 August 2009 - 04:55 AM
MOHIB E AHLAYBAIT, on 12 August 2009 - 02:00 PM, said:
Mai khar hoon syahad kay na jannat mei ja sakoon
Mumkin hia baad-e-marg he kuch kaam asakoon
Eindhan banaday mujhko jahanum ka eh khuda
Her dushman-e-Ali ka kaleja jala sakoon
Salam mohib bhai
Kha[n] saheb ki shairy ka yeh andaaz sinf e zu maani kehlata hai. Mundaraja bala qata ko hi lelen is mein bhi aap ko zu maani mehsoos hongay. Ab yahan (mai khaar) yaani sharabi jauke manfi pehloo nazar aata hai, doosray zavye se agar len tau yahan aik musbat pehloo bhi nazar aata hai jeesay kha[n] sb yeh kehna chahtay hain ke woh Maula ke behad chahnay walon se hain, un se buhat muhabbat rakhtay hain yaani un ki muhabbat ke jaam peetay hain, yaani Maula ki zaat un ke wastay buhat hi gira[n]qadr hai, tau yeh baat un ke liye tau buhat hi dili hai magar deegar log jauke maula se muhabbat ko naozubillah ghalat tasawwar kartay hain un ke nazdeek yeh muhabbat shayad gunah ho bidat ho tau is wajah se unhon ne yeh farmaya ke "Mai khar hoon syahad kay na jannat mei ja sakoon" Baat darasl yeh hai ke daur e hazir ko bhi malhooz-e-khas rakhna padhta hai. Aur phir aap aagay dekhen ke unhon ne mawaddat-e-Maula ko kis khubsoorati se bayan kia hai. Ke Maula se muhabbat o mawaddat rakhnay walay chahe kitnay bhi gunah gaar kyun na hon kisi na kisi taur dushmanan-e-ehlebait ko mu[n] taur jawab dena chahtay hain. Yahan "shayad" lafz buhat hi gehraee rakhta hai jesa ham ne apnay izhar-e-khayal mein bataya.
Wesay aur hazraat bhi please yahan apnay izhaar-e-khayal se hamen mustafeed farmayien. Shukriah.
ws
H&S
#10
Posted 17 August 2009 - 04:58 AM
Talash mujh ko na ker dasht-e-rehbar mein aey Ghalib
Nigah-e-dil se zara dekh teray paas hoon mein
When I want to talk to the Almighty Allaah, I offer Namaz
When I want the Almighty Allaah to talk with me, I read Quraan
Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa-Ajjil Farajahum, Ajjal Allaah o Ta'alah Farajak Wa Sehal Allaaho Ta'alah Makhrajak Wa Zahoorak Wa Rehmatullaahey Wa Barakatahu
#11
Posted 17 August 2009 - 12:33 PM
khakay batool, on 17 August 2009 - 07:01 AM, said:
ye matlab tu darakht say ultay latak ker padhnay per bhi mushkil haim!!!!
Aap ne mukammal comment kar diya H&S ke is izhar-e khayal per apne is juml-e se...aur aisa maloom hua ke aap Ibne Safee kee Qadr daan hain.
Main bhee aisa hee samajhta hun ko H&S ne kuch zyada hee tasawwur se kam liya hai is baar...magar daad is baat kee hai Hadi sahab ne jo mahsoos kiya use waisa hee likh diya... na tasanno na banawat.
NasirKazmi ka yeh sher yaad aa gaya.
bahot hee sadah hai tu aur zamana hai aiyyar,
Khuda karey ke tujhe shahr ke hawa na lage
Hadi bhai sher bahot sada hai aur isme zu-maanee waalee koee baat nazar nahin aatee..
Han kuch goshe aap ne achche paida kiye hain mawaddat ko le kar......jo achche hain
Wassalam
#12
Posted 17 August 2009 - 11:33 PM
khakay batool, on 17 August 2009 - 07:01 AM, said:
ye matlab tu darakht say ultay latak ker padhnay per bhi mushkil haim!!!!
sach sach bataaiyie H&S, Sharib walay shair ka matlab kis say likhwaya tha?
agar aisay padhain tu es ka matlab ye bhi ho sakta hai phir tu, k
''mien khaar hoon''
yani kanta hon! jabhi tu jahannum ka endhan banna asaan hai!
ya phir youn padh lain, '' mien khwar hon'' yani es duniya mien hamaisha nashad raha khwar raha, yun ab jahannum ka endhan bana liya jaaon tu kuch kaam aaon!!!
Perwedegar kha[n]chachoo ki ruh ko qarar ata kari. ameen
aap nay bhi hamaray mahawaray wala gear laganay ki koshish ki hai shayed..lol
ws
Salam Batool aapi
Aap aur sharib bhai ne buhat hi bareek beeni se hamaray urdu ke paper ko check kia hai. Aur zahir si baat hai ke laiq students ke papers ki checking buhat hi sakht hua karti hai, yehi wajah rahi ke secondary board mein chand numbers kam honay ke bais all Karachi position se reh gaye. Warna aadmi ham bhi thay kuch kaam ke. Aap donon ne abhi bhi kaafi halka haath rakha, lehaz se kaam le gaye. Haalankay ham ne yeh tashreeh usulan ghalat ki hai. Haan magar aik pehloo daal kar sambhal liya. Hamara yeh manna hai ke apni field mein expert hona zaroori hai, masalan agar aap doctor hain tau practice complete honi chahye, Engineer hain tau apni field per uboor hona chahye. Isi tarha agar aap urdu adab ko len tau yeh field bhi aik gehra samandar hai jab tak is mein ghauta nahin lagayengay is ki gehrayee ka andaaza nahin laga saktay. Ham tehray beech ke musafir. Aap hazraat ne jau hamari islah farmayee woh hamaray liye mashhal e raah hai. Ham ne apni soch ke aitebar se tashreeh kar di thi. Warna kha[n] saheb ko samajhna itna aasaan nahin. Maula aap donon hazraat aur ham sab ko ilm ki roshni se munawwar farmayen. Aameen
ws
H&S
#13
Posted 18 August 2009 - 03:20 AM
khakay batool, on 15 August 2009 - 02:20 PM, said:
bhaee aap nay sirf 'raushnee' dalnay ko kaha tha, 'rai' denay kay liyie kaheen nahi likha tha. waisay bhi H&S nay kafi tafseel say ye khidmat anjaam dee hai.
waisay H&S aur aap mil ker SC per classes bhi de saktay hain. khas ker ghalaib ko samajhnay kay liyie. kiyoun kay jo kuch samajh mien aai zaroori nahi har aik us mani ko khoobsoorat alfaaz bhi pehna sakay.
bahar haal, hum kehna ye chah rehay hain kay achay ilmi dicussions hotay rehna chahiyie hain.
ws
Salam Batool aapi
Kahan jee ham tau abhi tifl e maktab hain, In faraiz ko aap hi anjam dejye. Kyunke yeh mansab aap hi behtar sambhal sakti hain. Haan jab kisi muqam per pohanchengay tau zaroor is mansab ko bhi sambhal hi lengay magar filhal muazrat.
ws
H&S
#14
Posted 18 August 2009 - 10:32 AM
Hadi & Saqlain, on 17 August 2009 - 11:33 PM, said:
Aap aur sharib bhai ne buhat hi bareek beeni se hamaray urdu ke paper ko check kia hai. Aur zahir si baat hai ke laiq students ke papers ki checking buhat hi sakht hua karti hai, yehi wajah rahi ke secondary board mein chand numbers kam honay ke bais all Karachi position se reh gaye. Warna aadmi ham bhi thay kuch kaam ke. Aap donon ne abhi bhi kaafi halka haath rakha, lehaz se kaam le gaye. Haalankay ham ne yeh tashreeh usulan ghalat ki hai. Haan magar aik pehloo daal kar sambhal liya. Hamara yeh manna hai ke apni field mein expert hona zaroori hai, masalan agar aap doctor hain tau practice complete honi chahye, Engineer hain tau apni field per uboor hona chahye. Isi tarha agar aap urdu adab ko len tau yeh field bhi aik gehra samandar hai jab tak is mein ghauta nahin lagayengay is ki gehrayee ka andaaza nahin laga saktay. Ham tehray beech ke musafir. Aap hazraat ne jau hamari islah farmayee woh hamaray liye mashhal e raah hai. Ham ne apni soch ke aitebar se tashreeh kar di thi. Warna kha[n] saheb ko samajhna itna aasaan nahin. Maula aap donon hazraat aur ham sab ko ilm ki roshni se munawwar farmayen. Aameen
ws
H&S
H&S
Bhai, hum kul jama yeh kah saktein hain ke :
"jee khush hua hai aap kee tahreer dekh kar"
Bahot umda aur shaista jawab diya hai....
Aap kee baat sahee hai ....hum sab hee yahan tifle maktab hain....Urdu Adab ke muamle mein aur yeh hamari field nahin hai...magar magar:
Urdu hamari Madri Zuban hai ...is liye ham sab ek tarah kee dastaras bhee rakhte hain Is zuban per tifle maktab hot-e hu-e bhee.
wassalam
#15
Posted 19 August 2009 - 02:54 AM
Quote
..jee shukriya, laikin aap nay bhi takalluf say kaam liya hamaray baray mien, derasl aap kehna chah rehai hain ''aik dhondo hazaar miltay hain'
Quote
Dar asl yeh jumla axar Imran ke munh se padha karte theiy novel mein....is liye aisa laga mujhe....bachpan per Parveen Shakir ka yeh sher yaad aa gaa:
"woh bachpane kee neend to ab khwab ho gayee,
kya umr thee ke raathuee aur so gaye"
Main aap kee is baat se muttafiq hun ke Chacha ko Khan kah kar bulana kuch behtar nahin hai ,unke Mirza hone per sawa khada kar sakta hai....Chacha kee nagawaree jaiz hai ..
WASSALAM
#16
Posted 19 August 2009 - 04:02 AM
Baat darasl yeh hai ke ham ne unhen kha[n] saheb kaha KHAN nahin kaha, kha[n] aik zaat hai jau buhat si casts mein paye jati hai, urdu dano[n] mein bhi lehaza hamara ishara woh tha na ke ham ne unhen KHAN pukara. Doosri baat yeh hai batool aapi ke aap aik network start kijye jis ka naam ho "Rooh online" kyunke yeh aizaz sirf aap hi ko mila hai ke mirza saheb aap se e-mail per rabita rakhtay hain. Acha hai isay jari rakhye. Wesay aik baat hamaray zehn mein aye hai ke ab agar un ka koi shair aap ki samajh se baalatar ho tau aap un se through e-mail tashreeh bhi pooch sakti hain, kia khayal hai. Business point of view se bhi yeh buhat hi soodmand karobaar hosakta hai, Net cafe "Rooh online". lijye ham ne aap ki naukri ka masla bhi hal kar dia. Ab naukri choren karobaar kijye, apna karobar
ws
H&S
#17
Posted 19 August 2009 - 03:38 PM
Mumkin hia baad-e-marg he kuch kaam asakoon
Eindhan banaday mujhko jahanum ka eh khuda
Her dushman-e-Ali ka kaleja jala sakoon
Har dushma-e-Ali a.s. ka kaleja jala sakoon... bhaai Ghalib ne to tabarra ki hud ker di hai
Har dushman-e-Ali a.s. per lanat !
#18
Posted 20 August 2009 - 01:27 AM
Mai khar hoon syahad kay na jannat mei ja sakoon
Mumkin hia baad-e-marg he kuch kaam asakoon
Eindhan banaday mujhko jahanum ka eh khuda
Her dushman-e-Ali ka kaleja jala sakoon
Ab tak is per sab ne apnay apnay khayalat ka izhaar kia, ab aap donon hazraat tafseelan is per roshni dalye. Badi nawazish!
ws
H&S
#19
Posted 21 August 2009 - 10:10 AM
Hadi & Saqlain, on 20 August 2009 - 01:27 AM, said:
Mai khar hoon syahad kay na jannat mei ja sakoon
Mumkin hia baad-e-marg he kuch kaam asakoon
Eindhan banaday mujhko jahanum ka eh khuda
Her dushman-e-Ali ka kaleja jala sakoon
Ab tak is per sab ne apnay apnay khayalat ka izhaar kia, ab aap donon hazraat tafseelan is per roshni dalye. Badi nawazish!
ws
H&S
Salam brother,
Aap ko shayad yaad ho ke Pakistan ke ek minister ne Hz. Ali per ek kitaab likhee thee kuch baras pahle, jis mein Ghalib ka ek khat bhee publish hua tha.Mujhe Kitaab ka naam yaad nahin aa raha haifil waqt.
Us khat ka mazmoon yeh tha ke ek Aalim-e Ahle Sunnat{Muftee sahab} ne Ghalib ke "banda-e Ali" kahne pe kufr ka fatwa de diya tha.
Ghalib ne us muftee ko address kar ke ek khat likha tha jis mein nasr mein Inhee khayaalat ka izhar kiya gaya tha ke......:
Waise to maien jahnuum mein jaoonga nahin kyon ke mutaquid-e Maula hun, magar agar jaana pada apnee sharab khoree kee adat ke bais to ai muftee tujhe main wahan Jahannum ka indhan ban kar jalaaoonga...
Yeh ashaar unhee khayalat kee terjumanee karte hain ....lehaza hamein ya KB ko mazeed kuch likhne kee zaroorat nahin kyonkee Chcha ne khud hee apnee rai ..nasr mein likh dee hai
Waise koee confirm kar-e ke kya yeh ashaar Deewan-e Ghalib mein maujood hain ?
wassalam
#20
Posted 22 August 2009 - 06:27 AM
sharib, on 21 August 2009 - 10:10 AM, said:

Salam bhai sharib
Hum jis jawab ke muntazir thay woh aap ne Chacha ke alfaaz mein khud hi de diya.
"Waise to maien jahnuum mein jaoonga nahin kyon ke mutaquid-e Maula hun, magar agar jaana pada apnee sharab khoree kee adat ke bais to ai muftee tujhe main wahan Jahannum ka indhan ban kar jalaaoonga..."
Buhat shukriyah!
ws
H&S
#21
Posted 22 August 2009 - 10:00 AM
Hadi & Saqlain, on 22 August 2009 - 06:27 AM, said:
Hum jis jawab ke muntazir thay woh aap ne Chacha ke alfaaz mein khud hi de diya.
"Waise to maien jahnuum mein jaoonga nahin kyon ke mutaquid-e Maula hun, magar agar jaana pada apnee sharab khoree kee adat ke bais to ai muftee tujhe main wahan Jahannum ka indhan ban kar jalaaoonga..."
Buhat shukriyah!
ws
H&S
aap ko hamare jawab se taskeen huee, ye khushee kee baat hai.Hz Ali kee taareef to har woh sakhs karega jo intellectually azeem ho aur usne inke bare mein padha ho.
Apne gunah ko sar-e aam qabool karna aur haq Hz Ali ke ta-aluq se kah dena, kitne sahabiyon ko bhee naseeb nahin hua.
Woh so called sahaba jinohn-e Ghadeer ba nafs-e nafees dekha tha,saqueefa ke baad aur bahot baad tak khamosh rahe.
Ab aisa sach agar 1300 baras ke baad ,ba-bang-e dahal, koee waqt kee aham aur azeem shakhsiat bol rahee hai,to uskee kitnee qadr aur kitnee pazeerai hone chaihiye...aap samajh sakt-e hain.
Sharab peena ek gunah hai , Islam ke mana karda cheezon mein se hai...aur Ghalib Uska mujrim hai, magar woh Irfan mein kahin aag-e hai, Khuda-e afzal ke chunindah bandon ko pahchan-ne mein usne ghaltee nahin kee.
Yeh gunahgaar badtar hai ya woh sahabee jo Khulee talwar nikalwa raha , musalmano ke jaiz khaleefa ke khilaaf, "armed mutiny" karwa raha hai Hz. Ali ke khilaaf....woh zyadah badtar hai....
jamhoor aaj tak yahee faisla nahin kar sakee.
That is why I often say "Sunnism is all about dilemma".
They have not been able to decide even after 1400 years....many key issues and are living in a dilemma.
Baat zara lambee ho gayee ....magar I was unable to resist myself.
wassalam
#22
Posted 23 August 2009 - 12:22 PM
khakay batool, on 22 August 2009 - 12:56 PM, said:
gokay Ghalib ki shairi mien ye baat dhaki chopi nahi kay wo zindegi bhar Allah say shikwa hi kertay rehay, laikin sachchay dil say maddah e EhlayBait zaroor they. laikin zara es shair ko bhi dekhain,aur matlab samjhaain.
laghzish e pA ko hai balad, naghma, ya Ali ! madad
totay gar aEina Asad ! subhe ko kho.n baha samjh
(ye 'subhe' ceen wala hai soaad wala nahi.)
ws
Ye home work waali aadat aap ko kab se lag gayee KB.Hamaree laghzishein hamee tak rahn-e deejiye.
Ab agar aap ghaur karien to maine apne is thread mein "isee baat ko samajhne kee koshish kee hai" KE Ghalib ka Khuda ke baar-e mein kya rawaiyya hai unke Ashaar ke hawal-e se...
Aur us sher par aapkee rai abhee ham tak nahin pahonchee...
"khuda ke waaste parda na Kaab-e se utha zalim,
kahin aisa na ho yaan bhee wohee kafir sanam nikle"
wassalam
#23
Posted 26 August 2009 - 01:42 AM
khakay batool, on 25 August 2009 - 08:31 AM, said:
shair waqaai samajh mien nahi aya tha, kiounkay dosray micray mien tu lgta hai kay wo toba per yaqeen rakhtay they, ya hum hi ghalata samajh rehai hain?
jab hum Umray per gaai they tu kabay ki charon diwarain dekhaeen thee Tawaaf kertay waqt. entehaai mazboot hain. siwaai aik DER kay aur koi rasta nahi hai ander janay aur baher anay ka. ab sawal ye paida hota hai kay ye jis kisi kay bhi nikal anay ka khatra hai....wo ander gaya kaisay??? etnay motay motay taalay padhay hovay hain us aik DER per aur aik guard bhi mojood rehta hai her waqt..........pata nahi, hamari tu yehi samajh mien aya hai!!
Aeinda say, shair sirf H&S ya hum poochain gain kay samjh mien hum dono kay nahi ata, aur aap sirf matlab bataain gain.
ws
Salam Batool aapi
Badi hi safai se aap ne khud aur hamen is tashreeh ke bhanwar se nikala, wesay aik baat mannay ki hai ke aap ka dimagh bada chalta hai MashaAllah! Sharib bhai ab zara sambhal ke rahye kyunke ab Homework ki tughyani aap ki janib mode di ja chuki hai.
ws
H&S
#24
Posted 31 August 2009 - 12:09 PM
khakay batool, on 26 August 2009 - 02:33 PM, said:
achcha kiaya na, werna ye Tashrih ka nahi Mazahiya shairi ka thread ban jata. waisay samajh nahi aa raha hai kay mahe Ramzaan mien shairi likhni chahiye hai kay nahi? jab tak dimagh chalTA rehay acha hai, agar kaheen dimagh CHAL gaya tu! LOL
agla shair bataain koi mushkil sa.
ws
BAHOT ACHCHEE TARAH hamein duboya hai....aap dono nein
Magar Wah Chacha wah..is mauque ke liye bhee ek sher likh gaye :
"hum kahan ke dana theiy ,kis hunar mein yakta theiy,
be sabab hua Ghalib dushman asman apna"
Isee liye to kahtein hain:
"huee mudaat ke Ghalib mar gaya per yaad aata hai ,
woh her ek baat pe kahna ke yun hota to kya hota
hats off to you Mirza Asadullah Khan Ghalib.
Reply to this topic
0 user(s) are reading this topic
0 members, 0 guests, 0 anonymous users