Urdu mahawaray
#1
Posted 23 April 2009 - 07:29 AM
ye wo chotay chotay jumlay hain jo hamaray bozurgon nai zaroor ye soach kay banaai thay k es terhan gheebat ki boraai zara halki ho jati ho!!!
aik say aik mazay-daar mahawara mojood hai Urdu zabaan mien.
do aAm fehem mahawaray hum bhi likhai detain hain.
maslaan,
Sou sonaar ki, aik lohaar ki
aur ye,
Soot na kapaas, kolhi say lat-tham lat-tha
[yani, bat bay bat per jhadha kerna]
aap bhi share karain, laikin agar bohat mushkil ho (farsi waghaira) tu mani aur estemaal bhi aata kartay jaain tu badha karam ho ga.
shukriya.
ws
#3
Posted 01 May 2009 - 03:56 PM
khakay batool, on May 1 2009, 08:26 PM, said:
halaq ka na taloo ka, ye maal miyan laaloo ka!!!
yanikhaya na piyabs younhi zaya ker diya.
ek aur,
GHUM NADARI BOOZ BA-KHR...
YANI, AGAR TUJHAY KOI GHUM NAHI TU BAKRIPAAL LAY.
ws
Ultay baans Burayli ko
aur
Baad Muharram ya Hussain
Doosray mahavray ka matlab hai waqt nikal janay ke baad wo kaam karna, ghaliban!
#5
Posted 10 May 2009 - 10:27 PM
woh kapray light band ker kay badaltay hain
hahahehe
When I want to talk to the Almighty Allaah, I offer Namaz
When I want the Almighty Allaah to talk with me, I read Quraan
Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa-Ajjil Farajahum, Ajjal Allaah o Ta'alah Farajak Wa Sehal Allaaho Ta'alah Makhrajak Wa Zahoorak Wa Rehmatullaahey Wa Barakatahu
#7
Posted 28 June 2009 - 08:29 PM
Sheikh puthram kabhi na mithram
jab b mithram
kuthram kuthram ..
-No Offense 2 any1 =D just thought i would share it
budhi ghori laal lagam
ek Miyaan main do talwarain nahi reh saktei
Mullah ki dohr masjid thak (Jithay di khothi, othay aan khalothi)
Yeh munh our masoor ki daal
hatheli par sarson jamaana
Laaton Ke Bhoot baathon Se Nahin Maantay
Edited by joyfulmuslimah, 28 June 2009 - 08:26 PM.
IT GOES ON....
#8
Posted 29 June 2009 - 02:16 AM
khakay batool, on Jun 29 2009, 01:12 AM, said:
salam,
bhaee aap nay tu bohat mashhoor mahawaray yaad dila diyee..... behud shukriya.
Latoon kay bhoot........sirf aap ki ammi hi nahi keten theen, balkay lagta hai ye 'kahawat' banaai hi Ammion nay thee!!!
'ye munh aur masoor ki daal', ka jawab nahi!!
ws
Salam,
Silsila muhavron ka achcha hai . Kabhee kabhee inke "origin" per bhee raushni dalee jai to achcha hoga aur dilchasp bhee. Lekin yeh asaan kam nahin hai, agar koee share kar sakta ho to zaroor kar-e.
Misal ke taur per "'ye munh aur masoor ki daal' kab kyon aur kaisey wajood mein aaya. Sirf Masoor kee daal ka hee munh se kyon comparison hai, kisee aur dal ka kyo nahin ? After all dal aur munh mein kya rishta hai waghairah waghairah.
Waise "jitne munh utnee hee batein" hotee hain , dekein is silsiley mein kya maloomm hota hai....kitne munh aur kitnee batein hain
wassalam
#9
Posted 03 July 2009 - 11:24 AM
#10
Posted 04 July 2009 - 08:34 AM
khakay batool, on Jul 3 2009, 12:45 PM, said:
han........ye hum bholay thori they.
badhi lambbbbbbi kahani hai.
aik baadsha tha. us ko masoor ki daal bohat pasand thee. laikin un ki Dadi Amman, un ko kabhi masoor ki daal khanay hi nahi deti theen. jab wo daal pakwatay, tu Dadi Amman, ye keh ker hata deten kay tum tu badsha ho, sher ki raan khao, hiran ka shikaar karo........kahan ye munh aur masoor ki daal!!!!
bas phir wo baadsha ziyada nahi jee paya aur 'masoor' kay ghum mien chal basa!!
zalim Dadi Amman un kay chaar saal baad foat hoin.
tu bach-chon youn ye mahawara ban gaya!!!
ws
Shukria, aaj is muhaware ka asl matlab samajh mein aya
Yahan to muamla ulta nikla......badshah ho kar masoor kee daal !.
Isee tarah "ilm afzai" kartee rahein aap .......
bahot shukria.
wassalam
#11
Posted 06 July 2009 - 07:17 AM
khakay batool, on Jul 4 2009, 03:15 PM, said:
chalain kuch tu samajh mien aya aap ki!!!
Allah shukr.
Quote
na qabile qabool hone wali baat is liye nahin hai ke mujhe asl wajah us muhawrey ke wajood mein aaney maloom nahin hai.
Lehaza jo be wajah samne aaygee use manaa padega warna ....na man-ne kee wajah batani padegee.
Mere pass na man-ne kee koee wajeh nahin siway is ke ke main is muhawrey ko alg zaviyee se dekhta tha.
Quote
werna aap kay ilm mien ezafa kaisay ho ga??
ws
To bataiye kisee aur muharve ke wajood ke wajah.....
wassalam
#12
Posted 11 July 2009 - 12:21 PM
khakay batool, on Jul 6 2009, 03:24 PM, said:
Salaam ,
Takheer ke liye muafee chata hun....zara waqt nahin mil pa raha hai .... waise...
Durst farmaya aap ne. Mujhe badee sharmindagee ho rahee hai ke miyaan Sharib itna bhee na ho saka tum se......
Quote
laton kay bhoot.... wali ki wajah bataain??
Yeh muhawra kuch achcha sound nahin karta lehaza kisee aur muhawre ko chune aap. Koee bhee maslaan,
"nadaan kee dosti jee ka janjaal"
wassalam
#13
Posted 16 July 2009 - 12:41 AM
Chalye itnay achay muhavron ka silsila chal raha hai aur itni achi baatien hui hain tau socha ham bhi kuch share kar lein:
Yeh muhavra tau aap ne suna hi hoga:
Nach na jane aangan tedhra
Magarmach ke aansoo bahana
Ghar ki murghi daal barabar
Aamon ka mausam hai tau socha us per kuch yaad dila dein:
Aam Khanay se kaam ya peid ginnay se
Aam ke Aam guthlion ke daam
Means eating mangoes and selling their seeds (too); to make double profit out of a sale.
Aanchal mein baat baandh rakhna
Aandhi ki tarha aya bagoolay ki tarha gaya
Aankhon ke andhay naam nain sukh
Aye tau rozi nahin tau roza
Ab pachtaye kia huvat hai jab chudyan chug gayeen khait
Bhoot sawar hona
Patthar chati per dharna
Halwai ki dukaan dada jee ki fateha
Means: spending other's riches freely.
Halwa khurdan ra ruay bayad
Means: Skill is necessary to win a prize.
Kaafi hain itnay ya kuch aur arz karoon
ws
H&S
#15
Posted 18 July 2009 - 03:21 AM
khakay batool, on Jul 13 2009, 02:43 PM, said:
aik dafa ka zikr hai k...................koi manay ya na manay,
aik 'be-waqoof' aik 'nadaan' say dosti ker baitha. 'nadaan' roaz be-waqoof ko khany per bulata aur bohat israar say, masoor ki daal khilata. jab teen haftay tak yehi hota raha tu, be-charay 'be-wqoof', ki nanhi C jaan intehaai khatray mien padh gaaiyie aur wo bus mernay hi wala tha k muhallay ki kisi badhi Bi nay din mien chaar dafa us ko neem ki yakhni, karelay kay tadhkay kay saath pilayai. tab kaheen paanch din baad us nay ankhain kholen. aur ''Lailaha Illallah'' kehta hova uth baitha.
naai zindigi pAa ker bewaqoof bohat khosh hova aur bola,''mujhay kis nay bachaya? mujhay kis nay bachaya?''
Badhi Bi nay sherma ker kaha k, ''agar mien waqt per aap ka elaaj na kerti tu Nadaan ki dosti jee ka janjaal hi ho jati!!
bus.............tab say ye baat her be-waqoof nay 'jaib' mien rakh li, aur yuon ye mahawara ban gaya.
(baad mien muhally walon kay kehnay per, be-waqoof nay Badhi Bi ko seega e zojiyat mien bhi qobool liya.....
hum ko sirf ye nahi samjh mien aya k es be charay ka naam 'be-waqoof' hi kiuon tha?????
ws
Salam ,
bahot umda tafseelat rawana kee aap ne.
Bewaquoof aur nadaan ka farq samajh mein aa gaya....
Allah aap ko doosre muhawaron kee tafsselat likhne kee bhee taufeeq de...
Ameen
Chaliye kuch is muhawre per roshni daliye...
"paanee mein rah kar magarmuch se bair"
wassalam
#16
Posted 18 July 2009 - 03:50 AM
sharib, on Jul 18 2009, 03:21 AM, said:
bahot umda tafseelat rawana kee aap ne.
Bewaquoof aur nadaan ka farq samajh mein aa gaya....
Allah aap ko doosre muhawaron kee tafsselat likhne kee bhee taufeeq de...
Ameen
Chaliye kuch is muhawre per roshni daliye...
"paanee mein rah kar magarmuch se bair"
wassalam
Salam Sharib bhai
Mudakhilat ki muafi chahtay hain. Is muhavray ka bara hi simple matlab hai.
Means: SC ke samundar mein reh kar Batool aapi se bair. Koi achi baat tau nahin hai na..
Saray SC ke members ko tambeeh ki jati hai ke SC ke samundar per under section 144 lagi hui hai. Bacchay ehtiyaat karen. SC mein magarmach ki aamad ho chuki hai.
ws
H&S
#17
Posted 18 July 2009 - 11:23 PM
khakay batool, on Jul 18 2009, 08:22 AM, said:
aap ki 'home work' denay ki aAdat bhi khoob hai.
hum koi samanderi makhlooq nahi hain. 'under water' mahawaron per roshni dalna bohat mushkil kaam hai. phir bhi aap ki maloomaat mien ezafay kay liyie hum koi team weam taiiyar ker k bhaigain gain. Ilm phelanay ki koi qeemat nahi hoti. sawab ka kaam hai!!!
aik aur mahawara hazir hai
"kuch daal mien kala kala hona"
kiya karain ye 'Daal' chipak kay reh gaiyie hai zehn say....
aur han......ye bhi " Daal na galana''
ws
jawab qabile sataish hai...
magar ghoom phir ke phir wahee daal...
kuch "chawalon" kee "sabz patton" kee ya phir "gosht" waghairah kee batein bhee kiya kijye.....
Kuch nahin to in "topics per "sabz bagh " hee dikha deejiye.
wassalam
#18
Posted 20 July 2009 - 12:49 AM
khakay batool, on Jul 18 2009, 07:50 AM, said:
Arrrrrray, hum tu bohat hi be-zabaan, aur masoom C cheez hain.
sinf e nazuk say taAlluq ka hi lehaaz ker liya hota!!!
ab hum ko un ki qadr hovi jo aisa sochtay hain!!!
aap nay tu hum ko kafi khonkhaar image de dala.
koi nahi, ye hum per qerz raha. aur hum ye qerz sood kay saath ada karain gain. inshAllah.
waisay samajh lain kay aap per bhi dafa 420 lag choki hai.
aap kay solook nay "dil pash pash ker diya"
ws
Salam aapi
Aray janab lo ab aap ki zubaan bahir aa gayee. Aur haan aap tau sinf e nazuk ho kar bhi sinf e mazboot hain isi wajah se tau dafa 144 lagwai thi. Zahe naseeb ke aap ne ham per dafa 420 laga di. Jawabi karwayee ke muntazir rahengay.
Aap ka dil pash pash hua, aap ke liye elfy hazir hai.
ws
H&S
#20
Posted 24 August 2009 - 11:48 PM
khakay batool, on 21 August 2009 - 01:30 PM, said:
aAj ka mahawara,
''Chor chori say jaai, hera phairi say na jaai''
ws
Salam Aapi
Yeh muhavra Pakistan ke politicians per poora utarta hai. Chori ke ilzaam mein jail pohanchay wahan politics seekhi aur phir seedhay hukumati seat. Aur phir aye din ki hera phairi, loot khasot. Hey ke nahin, Kia khayal hai aap ka.
ws
H&S
#22
Posted 27 September 2009 - 01:22 AM
Bakray Ki Maa Kab Tak Khair Manaye Gy
(íÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÇ ÚÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜáÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜí (Ú
ÛÖÈ ÝÇØãÉ = ÛÖÈ ÑÓæá Çááå = ÛÖÈ Çááå = áÚäÉ ãä Çááå æÇááÇÚäíä
ÇóááøÜåõãøó ÇáúÚóäú ÇóÈÇ ÓõÝúíÇäó æóãõÚÇæöíóÉó æóíóÒíÏó ÇÈúäó ãõÚÇæöíóÉó Úóáóíúåöãú ãöäúßó ÇááøóÚúäóÉõ ÇóÈóÏó ÇáÇúÈöÏíäó
#23
Posted 27 September 2009 - 12:55 PM
Unton (Camels) Ka Sath Dosty Karo,To Darwazay Unchay Rakhnay Partay Han
One More
Chamkadaron (Bats) Ka Ghar Aye Mehmaan,Hum Bhe Latkay Tum bhe Latko
(íÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÇ ÚÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜáÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜÜí (Ú
ÛÖÈ ÝÇØãÉ = ÛÖÈ ÑÓæá Çááå = ÛÖÈ Çááå = áÚäÉ ãä Çááå æÇááÇÚäíä
ÇóááøÜåõãøó ÇáúÚóäú ÇóÈÇ ÓõÝúíÇäó æóãõÚÇæöíóÉó æóíóÒíÏó ÇÈúäó ãõÚÇæöíóÉó Úóáóíúåöãú ãöäúßó ÇááøóÚúäóÉõ ÇóÈóÏó ÇáÇúÈöÏíäó
#25
Posted 07 November 2009 - 03:53 PM
Maaf kariyayga, agar pehlay likh chuka ho koi...
Naach na janoon angan taira...
Basim Ali Jafri
[...] and man is created weak (4:28)
قال الإمام علي (ع) : مسكين ابن آدم؛ مكتوم الأجل، مكنون العلل، محفوظ العمل.. تؤلمه البقة، تقتله الشرقة، وتنتنه العرقة
Imam Ali (عليه سلام) said: Pitiable is the son of Adam! His death is hidden [from him], his illnesses are invisible and his actions are recorded. A mosquito causes him pain, a gasp can kill him and [a little] sweat makes him stink.
Reply to this topic
0 user(s) are reading this topic
0 members, 0 guests, 0 anonymous users














