kabay main jab baland hovi asr ki azaan
ghoray say karbala main giray shah-e-ins ojan
tanha tha raigay garm pe zehra ka naznee
talwaron kay hojoom main taigho kay darmian
sajday ko jamma karta hova karbala ki khak
honto pe phairta hova sookhi hovi zaban
har she pe ikhteyar say maqsood-e-kainaat
zakhmon kay aitebar say ek zakhm-e-khon chakan
parda utha kay khaimay ka ek tifl-e-meh jabeen
na gah qatl gah ki janib hova rawan
mazloomi-e-Hussain kay alaam ko sochiee
bachay bhi ghar kay ho marnay ko noujawan
machla hova sagheer mujahid na ruk saka
khaimay main roktee raheen her chand bibiayan
khatron say be niyaz ye chehray say ashkar
nusrat ko be-qarar ye raftar say aAyan
mazlom-e-karbala ki taraf rukh kiay hovay
masoom dil ka dard nigahon say nuoha khwan
zulfain wo rukh pe maa ki muradon ka silsila
kano main mannaton ki wo dhori nishaniyan
tha karbala main moat ki dawat pe gamzan
kofay kay maizbano ka masoom mehman
pohncha aur aisay waqt main pohncha chacha kay paas
nazdeek thee HUSSAIN kay ek taig-e-khon chakan
masoom nay utha diye ghabra kay donoo haath
kut kar gireen zameen pe nazuk kalaiyan
shabeer ka laal hayee chacha keh kay reh gaya
saadaat main ek aur barhi ghum ki dastan
shabeer lay kay goad main sanbhlay na thay abhi
bachay ko zibha kar gaya ek teer-jansitan
khaimay say dekhtee ho jo maadar tu kiya ajab
ay waay urz-e-karb o bala waay aasman
eltemas-e-dua
Edited by khakay batool, 10 January 2009 - 12:03 PM.